Page 1 of 2
Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum
Posted: Wed Sep 20, 2006 12:20 pm
by Shummu
muskurahaT hai husn kaa zevar
ruup ba.Dhataa hai muskuraayaa karo
Posted: Wed Sep 20, 2006 2:44 pm
by zmufti
dekhanevaalo tabassum ko karam mat samajho
unhe.n to dekhanevaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
Posted: Wed Sep 20, 2006 2:50 pm
by Daanish
yuN muskuraaye jaan si kaliyoN meiN paR gayi
yuN lab kushaa hu'e ke gulistaaN banaa diya
--AsGhar
Posted: Thu Sep 21, 2006 9:48 am
by Shummu
laakh hoNton pe muskuraahaT ki kiran raqsaaN ho
dukh to phir dukh hai chehre se numaayaaN hoga
Posted: Fri Sep 22, 2006 3:23 am
by Daanish
kaha maine kitna hai gul ka Sibaat
kali ne yeh sun kar tabassum kiya--Meer
tabassum
Posted: Fri Sep 22, 2006 8:06 am
by Abdullah Nazir
tere andaaz-e-tabassum peh miri jaan nicaar
muNh chupaalete heiN gulshan meiN nadaamat se gulaab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
tabassum
Posted: Sun Sep 24, 2006 10:52 am
by Abdullah Nazir
tqabassum labaoN per nighaahaoN meiN ghuSSah
Ajab Dhang kaa hei yeh aatish-badan bhee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Oct 01, 2006 2:00 am
by hassan_bashir
miree ruuh kii haqiiqat mere aaNsuuoN se puuChho
miraa majalisii tabassum miraa tarjumaaN nahiiN hai
tabassum
Posted: Sat Oct 07, 2006 3:55 pm
by Abdullah Nazir
"Ghunche tiri zindagi peh dil hiltaa hei
Sirf aek tabassum ke liye khiltaa hei
Ghunche ne kahaa hans ke chaman meiN baabaa
yeh aek tabassum bhee kise miltaa hei."
Shaayer: Joush MaleeHaabaadi
Nazir.
Posted: Sat Oct 14, 2006 8:49 pm
by Shummu
niichii aaNkhoN meiN kuChh tabassum saa,
shoKh hai? sharam saar hai? kya hai?
tabassum
Posted: Thu Oct 26, 2006 11:58 am
by Abdullah Nazir
ik tabassum ne tire jeet lee meri dunyaa
jaane phir kab tiri taSveer nazar aayegi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Nov 17, 2006 12:52 pm
by hassan_bashir
phir aaj aik tabassum pe hosh kho baiThaa
phir aaj ishq ko dekha, fareb khaa hi gayaa!
Posted: Wed Dec 06, 2006 10:33 am
by hassan_bashir
dekhane vaalo tabassum ko karam mat samajho
unheN to dekhane vaaaaaaloN pe haNsii aatii hai
tabassum
Posted: Wed Dec 13, 2006 2:13 am
by Abdullah Nazir
tiri barq-e-tabassum se nasheman mere dil kaa kab salaamat
kabhi faryaad hei lab per kabhi aansoo heiN aankhaoN meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:22 am
by hassan_bashir
vahii iqraar meiN inkaar ke laakhoN pahaluu
vahii hoNToN pe tabassum vahii abruu pe shikan