Page 1 of 2
**one emoticon..one sher**(naya silsila)
Posted: Wed Sep 20, 2006 12:35 pm
by Shummu
Salam ahl-e-bazm..ek naye silsile ka aaGhaaz kar rahi hoon is ummeed ke saath ek aap sab is meiN baRhchaRh ke hissa lenge aur ise kaamyaab banaane meiN hamari madad karenge
Is mein karna ye hai ki ek member koi emoticon dega(yahan se ya bahar se le sakta hai) aur uspe next member ko sher likhna hai aur phir ek naya emoticon post karna hai jis pe next member likhega sher...
for example:
:rose
ab is pe aap main ye sher kahungi..
naazuki uske lab ki kyaa kahiye
panKhaRi ik gulaab ki si hai
theek??
ab main deti hon next icon:
aap sab ke participation ka intizaar rahega!!!
shumaila
Posted: Wed Sep 20, 2006 3:00 pm
by Daanish
Shumailaa SaHebaa
bohat hi dilchasp silsilay ka aaGhaaz kiya aap ne...lijiye aap ke peshkardah emoticon par shayr Haazir hai...
"mujhe deN na Ghaiz meiN dhhamkiyaaN, gireN laakh baar yeh bijliyaaN
miri sultanat yahi aashiyaaN, miri milkiyat yahi chaar par"
-Jigar Moradabadi[/b]
Posted: Wed Sep 20, 2006 3:21 pm
by Shummu
shukriya daanish jee... ab lage haathon ek emoticon bhi de dete taakh hum bhi sher sunaate hue silsile ko aage barhaate... :)
Posted: Thu Sep 21, 2006 3:56 am
by Daanish
lijiye
Posted: Thu Sep 21, 2006 9:47 am
by Shummu
laakh hoNton pe muskuraahaT ki kiran raqsaaN ho
dukh to phir dukh hai chehre se numaayaaN hoga
next:
Posted: Thu Sep 21, 2006 1:59 pm
by Daanish
laalah-o-gul pe jo hai qaTra-e-shabnam ki bahaar
rukh-e-rangeeN peh jo aaye tou Hayaa ho jaaye
Asghar GonDawi
agla 'emoticon':
:x
Posted: Sat Sep 23, 2006 11:57 am
by Shummu
Daanish wrote:
agla 'emoticon':
:x
dil bhi paagal hai ke us shakhs se vaabasta hai
kisi aur ka hone de na apnaa rakhe
next:
Posted: Tue Oct 31, 2006 12:37 am
by Abdullah Nazir
8)
barq o sharar ko maSliHat-e-waqt se thaa kaam
maiN apne aashiyaaN ko sajaane meiN reh gayaa.
:P
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Nov 01, 2006 1:05 am
by Hashmat Usmani
WEBMASTER wrote: :P
unke dekhe se jo aa jaatii hai muNh par raunaq
vo samajhte haiN k beemaar kaa Haal achchhaa hai
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:40 am
by Abdullah Nazir
hammer
is pas o pesh meiN kyaa umr guzar jaayegi
kabhi saaHil kee tamanna kabhi ToofaaN kaa khayaalk.
Shaayer: Abdullah Nazir.
:P
Nazir.
Posted: Tue Nov 07, 2006 9:03 am
by Nadir Sir'giroh
Posted: Tue Nov 07, 2006 12:44 pm
by Shummu
shareek-e-bazm dil bhii haiN, chiraagh bhi haiN, phool bhii
magar jo jaan-e-anjuman tha woh kahaN chalaa gaya
next icon:
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:53 pm
by Nadir Sir'giroh
Har ek baat ka uss ko hisaab kya detey
sawaal saarey ghalat thhey jawaab kya detey
jo ek lafz kee khushboo na rakh saka meh'fooz
humm uss ke haathh meiN sara nisaab kya detey
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:57 pm
by Abdullah Nazir
isi ummeed peh qaayim hei yeh dunyaa Nazir
wo idhar dekhne waale heiN idhar dekhenge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Nov 13, 2006 4:42 am
by Hashmat Usmani
sara_j wrote::?
na jaane kiuN hamaare dil ko tum ne dil nahiiN samjhaa
yeh sheesha toR Daalaa, pyaar ke qaabil nahiiN samjhaa
next: