Page 1 of 2
Lafz par Ashaar#2--"MUQADAR"
Posted: Sat Jan 29, 2005 12:19 pm
by syed bilal armaan
pahle main app sab ka shukr ada karounga. app ne mere diye gaye unwan par sher likha . is martaba ka unwan(topic) hai "MUQADAR".
is unwan par bhi app apne pasandida ashar bhejein. (-BILAL)
KUSHK PATHOU'N KA MUQADAR LE KAR
AAG KE SHAHER MEIN RAHTA HOON JANAB
Posted: Sat Jan 29, 2005 3:47 pm
by Shummu
Bahaar Aaye Tou Har Ek Phool Par Ek Saath Aati Hai
Hawa Jin Ka Muqaddar Hoo Woh Shaakhoon Mein Nahien Rehtay
--Amjad Islam Amjad
Posted: Sun Jan 30, 2005 4:06 pm
by Shummu
wah sara jee wah kya sher sunaaya hai!!
'Qateel' apnaa muqaddar Gham se begaanaa agar hotaa
phir to apne-paraaye hamse pehchaane kahaa.N jaate
Posted: Sun Jan 30, 2005 5:31 pm
by jawaid badauni
Kisi aur ka she'r yaad nahiN aa raha hai iss liye majbooran apna hi ek she'r likh raha hooN:
Un safinoN ke muqaddar pe bhaNwar bhi hai udaas
Aa gaye the jo kanaroN pe magar doob gaye
Jawaid badauni
Muscat - Oman
Posted: Mon Jan 31, 2005 7:05 pm
by jawaid badauni
Lijiye ek aur she'r yaad aa gaya, lekin yeh mera nahiN hai:
BahareN aam thiN lekin muqaddar apna apna tha...................
kahiN daman meN phool aaye kahiN daman meN khaar aaye...
Posted: Tue Feb 01, 2005 9:31 am
by syed bilal armaan
har jhil mein pani hai, har ek jhil mein laherein
phir sab ke MUQADAR mein kan'waal kyon nahi hota.
Posted: Tue Feb 01, 2005 4:28 pm
by Shummu
jawaid badauni wrote:Kisi aur ka she'r yaad nahiN aa raha hai iss liye majbooran apna hi ek she'r likh raha hooN:
Un safinoN ke muqaddar pe bhaNwar bhi hai udaas
Aa gaye the jo kanaroN pe magar doob gaye
Jawaid badauni
Muscat - Oman
aapki aamad ka shukriya Jawaid sahab :) bahut khoob sher kaha hai! wah!
Posted: Thu Feb 03, 2005 4:42 pm
by Shummu
musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe
Posted: Fri Feb 04, 2005 2:42 am
by Hashmat Usmani
abhii fil_Haal koii she'r yaad nahiiN aa rahaa gat kaa...is liye, jo yaad aayaa vo raqam kar rahaa huuN:
muqaddar aazmaanaa chaahtaa huuN
tumheN apnaa banaanaa chaahtaa huuN
Posted: Sun Feb 06, 2005 8:44 am
by Shummu
Kyon mera muqaddar hai ujaalon ki siyaahi,
Kyon raat ke dhalne pe saveraa nahi hota.
Posted: Tue Feb 08, 2005 12:33 am
by najma
muqwaddar ki jo sakhtii thii, wo mer ker bhi naheen niklii
lehed khodii gaee merii, to path,thar ki zameen niklii
Posted: Tue Feb 08, 2005 2:15 pm
by tabasum
Meri tanha safri mera MUQADAAR thi faraz
warna is sahar-e-tamana se tou duniya guzri hai.
AHMED FARAZ.