Page 1 of 1
Arooz ke baare meiN tabaadila-e-khayaal: Abdullah Nazir.
Posted: Mon Sep 25, 2006 1:19 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-MeHfil aur AHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Is laRi kaa maqSad yeh hei ke ham aapus meiN sawaalaat aur javaabaat ke zariyeA ilm-e-ArooZ ke baare meiN maAloomaat meiN iZaafah kareN.
Is silsileh meiN MuHtarami Sarwar SaaHib se kaafi madad lee jaasakti hei aur saath hee saath doosre sites per bahut se aise aHbaab heiN jin kaa adabi taAavun hamaare liye bahut mufeed caabit housaktaa hei.
Sawaalaat aur javaabaat isi laRi meiN pesh kiye jaayenge. Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Sep 25, 2006 10:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Abdullah Nazir SaHeb aadaab !
" kam aakhir jazbah-e-be ikhteYaar aa hee geYa"
i'lm-e-u'rooZ^ se muta'liq sawaal-o-jawab ka yeh silsilah nihayat Z^aruree th~a yaqina" is se khuSuSa" naYe likh~ne walooN ko baRee rehnumaae aor madad mile gee.
maiN aap ka be Had mamnoon hooN keh aap ne apnee masrufiYaat ko bala-e-t^aak rakh~te huwe t^alebaan-e-i'lm ke liYe ik dars-e-nao ka aehatamaam kar diya hai.
khuda aap ko jaza-e-khaer se naware.
ijazat chahooN ga.
Wassalam
muz^affar
Posted: Mon Sep 25, 2006 4:15 pm
by Raji
moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
mujhe bohat Khushii hai keh is meHfil meN is baare meN sanjeedgii se ek tajveez pesh kee gayii hai.
ilm-e-urooz se nabalad mujh jaise log yeh zaroor chahte heN keh is ilm kee baabat juzyaat se hee seyr-HaaSil ma'aloomaat HaaSil kar sakeN.
jab moHtaram Sarwar SaaHeb ke mashvare se Karachi ke Urdu Bazaar meN ilm-e-urooz se muta'aliq kitaab kee justuju shuroo kee tu wahaN par mujhe Dipt. Nazir Ahmed kee "Maratul Uroos" pesh kee gayii
isliye ab behtar yeh jaana hai keh internet kee meHfilooN se hee madad HaaSil kee jaaYe.
umeed hai keh mujhe is meN maaYusii naheeN hogii.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
aek sawaal? Abdullah Nazir.
Posted: Sun Oct 08, 2006 6:08 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat,
ArooZ ke Taalib-e-ilm kee Haiciat se aek sawaal karne kee jasaarat karrahaa hooN. Ummeed ke ahl-e-ilm o faZl mujhe tashaffi-bakhsh javaab dekar mamnoon farmaayenge.
Sawaal:
Kyaa maiN mandarja-e-zeil vazn ko apni ghazal meiN isteAmaal karsaktaa hooN? Agar javaab icbaat meiN hou tou uskaa javaaz kyaa hei aur beHr kee is shakl kaa naam kyaa hougaa?
Faa'ilaa'tun…faa'ilaa'tun…faa'ilun…felun
/0//0/0…/0//0/0…/0//0…/0/0
2122…….2122………212……22
aek filbadeeh miSraA:
chalgayaa jaadoo nigaah-e-yaar kaa mujh per
chalgayaa jaa/doo nigaah-e/ yaarakaa/ mujh per
faa'ilaa'tun…faa'ilaa'tun…… faa'ilun……felun.
Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.