Page 1 of 1

"nazar aayega rab ka chehra"guzarish #22 hamd pesh

Posted: Thu Oct 05, 2006 8:39 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib


maahay ramadhan kay hawaalay say mohtaram jawaid badaayuni saahib ka diya hua micra hame.n bahut pasand aaya.is micre per hum hamd e tabaarak o ta'aala pesh kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay ......

arz kiya hai..............

aadmi dekh zara ghaur say apna chehrah
tire chehray mei.n nazar aayega rab ka chehrah

baat yeh 'taye hai' koyee shak hi nahi.n hai is mei.n
jism jiska nahi.n uska nahi.n hota chehrah

dekh sakta nahi.n aankho.n say koyee khaaliq ko
dil ki aankho.n say nazar aaye khuda ka chehrah

aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah

gar kahi.n milgaye ek jaisay hame.n dau chehray
ungliyo.n ka kabhie hota naih.n ek saa chehrah

is zamee.n say hee uge.n sainkdo.n phal duniya mei.n
zaayeqa sabka alag aur alag saa chehrah

cheez say cheez banaata hai yeh jab bhi insaa.n
fakhr karta hai banaakarkay yeh uska chehrah

shaye kay bin shaye ko banaata hai hamaara khaaliq
zarf jaisa ho 'ata karta hai waisa chehrah

jab woh qaadir hai har ek shaye peh tau hum kaisay kahe.n
"dastay qudrat say nah phir ban saka aisaa chehrah"

tire khaaliq saa musavvir hi nahi.n hai haamid
dekh kis shaan say ahmed(s.a.w.)ka banaaya chehra

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Posted: Thu Oct 05, 2006 10:30 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Hamid bh~ai aadaab!

hamid bh~ee kiYa kehne! waah aap ko na'at likh~ne meN zarrah barabar bh~ee dikkat nah huee ho gee keh aap ka to andaaz-e-sukhan hee Yahee hai.

Hamid bh~aee maqt^a' meN to aap ne bas kamaal kar diYa hai. lajawaab hai!

aor ek aor she'er hai.


aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah


kiYa kehne! waah waah bohot koob!

is i'lawah bh~ee kaee she'eer pasand aae haiN GharZ^ puree na'at hee rooH afza hai!

aor aek bat jo zeYadah pasand aaee keh Hamd aor na'at donooN ke maZ^ameen apas meN sheer-o-shakar kar keh aek nihaYat kamYaab tajribah kiYa hai. khuda wand aap ko jaza-e-khaeer se nawaze!! (aameen)


jazaak Allah!

Wassalam
muz^affar

Posted: Thu Oct 05, 2006 4:28 pm
by jawaid badauni

Azeezi Haamid Baaqree SaHaab
Aadaab

Hamd kahna sub se aasaan kaam hona chaahiye kyuuN.k ooski
Sana ki ja rahee hai jo sub se ziyadah KhubiyoN wala hai. Magar
such baat yeh hai keh Hamd kahna sub se dushwaar kaam hai
isee liye ahl.e suKhan is maidan meN kum hi mashq karte haiN.
Aap ne bohat achchee hamd kahi hai. Meri daad qubool kijiye.
Allah apki is ibaadat ko qubool farmaye aur is mubarak maah
meN aap ko ajr.e azeem se nawazeh.

JahaN tak miSraa.e tarah ka sawaal hai yeh mera miSra tou
hai nahiN. Jaisa maiN ne suna tha pesh kar diya. Maanta hooN
is miSrey se qudrat ki lamaHdood salaHiyatoN ko thoRee see
Thes lagtee hai magar shayar ke paas Allah ki ooske mahboob
ke liye kitnee moHabbat hai yeh bataney ka shayad koii aur
rastah nah tha kyuuN.k ke Khaliq ki mohaabat bhi ooske
mahboob ke liye lamaHdood hi hai. Baat yuuN bhi kahee
ja saktee thee keh "dast.e qudrat ne banaya nah phir aisa
chehrah." Magar shayad shayar baat ko ziyadah purzor
banaa kar yeh kahna chaahta tha keh Khaliq ke paas jo
kuch tha oos ne ooske maHboob ko dey diya.

Ek imkaan yeh bhi hai keh yeh miSra mujh tak pahuNchte
pahuNchte kisee ne raaste meN badal diya ho. BaharHaal
qudrat ki salahiyateN lamHdood haiN is se kise inkaar ho
sakta hai magar doosre nukta.e nazar se keh Khaliq ne
apne maHboob ko woh ataa kiya jis se behtar ataa karna
ooske liye mumkin tha Khaliq ki osske maHboob ke liye
lamhdood moHabbat ko Thes lagtee hai. Is liye iss beHc
meN paRna hi bekar hai ab behtar yehee hai keh Naat per
tawajoo dee jaye.

Khairtalab
Jawaid

subHaanallah aapki Hamd-e-baari taAalah bahut achchi hei

Posted: Thu Oct 05, 2006 6:04 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil Hamd-e-baari TaAalaa beHad pasand aayi jiske liye duAaa hei ke aapko vohi dunyaa aur aakhirat meiN cawaab se navaaze. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.




aadmi dekh zara ghaur say apna chehrah
tire chehray mei.n nazar aayega rab ka chehrah

baat yeh 'taye hai' koyee shak hi nahi.n hai is mei.n
jism jiska nahi.n uska nahi.n hota chehrah

dekh sakta nahi.n aankho.n say koyee khaaliq ko
dil ki aankho.n say nazar aaye khuda ka chehrah

aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah

gar kahi.n milgaye ek jaisay hame.n dau chehray
ungliyo.n ka kabhie hota naih.n ek saa chehrah

is zamee.n say hee uge.n sainkdo.n phal duniya mei.n
zaayeqa sabka alag aur alag saa chehrah

cheez say cheez banaata hai yeh jab bhi insaa.n
fakhr karta hai banaakarkay yeh uska chehrah

shaye kay bin shaye ko banaata hai hamaara khaaliq
zarf jaisa ho 'ata karta hai waisa chehrah

jab woh qaadir hai har ek shaye peh tau hum kaisay kahe.n
"dastay qudrat say nah phir ban saka aisaa chehrah"

tire khaaliq saa musavvir hi nahi.n hai haamid
dekh kis shaan say ahmed(s.a.w.)ka banaaya chehra





TaraHi miSraA jab tak keh munfarid Taur per paRhaa jaaye tou baat mashkook rehjaati hei lekin shayer poore sheAr se apni baat vaaZeH karne meiN kaamyaab housaktaa hei.

MaiN bhee koushish karrahaa hooN ke naAt-e-sherif S.A.W.S kahooN aur maiN ne is miSreA ko apne maTleA meiN yooN isteAmaal kiyaa hei:

behr-e-kaunain banaayaa jo nabi kaa chehrah
"dast-e-qudrat se nah phir ban sakaa aisaa chehra"


Is sheAr meiN meri muraad hei keh jab nabi kareem S.A.W.S kaa cherah qudrat ne kaunain ke liye banaayaa to phir aisaa cheraa nah ban sakaa yaAni gunjaayish nahiN reh gayi thee ke aur kisi ko bhee unke uhde per faayiz kiyaa jaasaktaa. Is TaraH khudaa kee qudrat meiN koii shak nahiN balke uske apne faiSleh kee ta'eed kee jaarahi hei.

In dinaoN ittifaaq se maiN bahut ziyadah maSroof hooN ghar ke baAz ahem kaamaoN meiN. Is se pahle ba'Az mushkilaoN kaa saamnaa karnaa paRaa jinke sabab apne computer kee iSlaaH karne meiN bahut saaraa waqt lag gayaa.

BaharHaal, aap aur aur Jawaid Badauni SaaHib jaise Azeez aHbaab-e-sukhan per mujhe pooraa poora bharousah hei ke site ko meri kami meHsoos nah houne denge. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


shukriya

Posted: Fri Oct 06, 2006 4:25 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
Hamid bh~ai aadaab!

hamid bh~ee kiYa kehne! waah aap ko na'at likh~ne meN zarrah barabar bh~ee dikkat nah huee ho gee keh aap ka to andaaz-e-sukhan hee Yahee hai.

Hamid bh~aee maqt^a' meN to aap ne bas kamaal kar diYa hai. lajawaab hai!

aor ek aor she'er hai.


aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah


kiYa kehne! waah waah bohot koob!

is i'lawah bh~ee kaee she'eer pasand aae haiN GharZ^ puree na'at hee rooH afza hai!

aor aek bat jo zeYadah pasand aaee keh Hamd aor na'at donooN ke maZ^ameen apas meN sheer-o-shakar kar keh aek nihaYat kamYaab tajribah kiYa hai. khuda wand aap ko jaza-e-khaeer se nawaze!! (aameen)


jazaak Allah!

Wassalam
muz^affar
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahib

jaisa keh hum pehlay bhi kehchukay hai.n keh yeh sab taufeeqe ilaahi hai.
woh jo chaahta hai hamaaray qalam say likhwaata hai.hame.n yaqeen hai keh musalsal rahmate ilaahi hamaare shaamile haal hai yeh sab isee ka nateejah hai warnah kahaa.n yeh bandaye 'aasee aur kahaa.n hamde khaaliqe kaunain.

aapki musalsal mukhlisaanah hausalah afzaayee aur daad hamaaray liye kaafi muaani rakhti hai jiskay liye hum hame.sha aapkay mamnoon rahe.nge.insha allah.

allah(sbhnwt)aapko is mubaarak maheenay mei.n apni beshmaar n'emato.n say nawaaze.aameen.

allah(sbhnwt)aapkay is jazbah ko salaamat rakkhe.aameen

mukhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Fri Oct 06, 2006 4:44 am
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:
Azeezi Haamid Baaqree SaHaab
Aadaab

Hamd kahna sub se aasaan kaam hona chaahiye kyuuN.k ooski
Sana ki ja rahee hai jo sub se ziyadah KhubiyoN wala hai. Magar
such baat yeh hai keh Hamd kahna sub se dushwaar kaam hai
isee liye ahl.e suKhan is maidan meN kum hi mashq karte haiN.
Aap ne bohat achchee hamd kahi hai. Meri daad qubool kijiye.
Allah apki is ibaadat ko qubool farmaye aur is mubarak maah
meN aap ko ajr.e azeem se nawazeh.

JahaN tak miSraa.e tarah ka sawaal hai yeh mera miSra tou
hai nahiN. Jaisa maiN ne suna tha pesh kar diya. Maanta hooN
is miSrey se qudrat ki lamaHdood salaHiyatoN ko thoRee see
Thes lagtee hai magar shayar ke paas Allah ki ooske mahboob
ke liye kitnee moHabbat hai yeh bataney ka shayad koii aur
rastah nah tha kyuuN.k ke Khaliq ki mohaabat bhi ooske
mahboob ke liye lamaHdood hi hai. Baat yuuN bhi kahee
ja saktee thee keh "dast.e qudrat ne banaya nah phir aisa
chehrah." Magar shayad shayar baat ko ziyadah purzor
banaa kar yeh kahna chaahta tha keh Khaliq ke paas jo
kuch tha oos ne ooske maHboob ko dey diya.

Ek imkaan yeh bhi hai keh yeh miSra mujh tak pahuNchte
pahuNchte kisee ne raaste meN badal diya ho. BaharHaal
qudrat ki salahiyateN lamHdood haiN is se kise inkaar ho
sakta hai magar doosre nukta.e nazar se keh Khaliq ne
apne maHboob ko woh ataa kiya jis se behtar ataa karna
ooske liye mumkin tha Khaliq ki osske maHboob ke liye
lamhdood moHabbat ko Thes lagtee hai. Is liye iss beHc
meN paRna hi bekar hai ab behtar yehee hai keh Naat per
tawajoo dee jaye.

Khairtalab
Jawaid
salaamun alaikum
biraadare azeez jawaid saahib

aapki mukhlisaanah daad aur duao.n keliye hum hamesha ki tarah aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.jazakallah

dar asl hum n'aat kehna chaahtay thay jab likhnay baithay tau hamdiya ash'aar hi nikal rahay thay..shayed allah(sbhnawt) ki yahi marzi ho yeh sauch karkay hum rukay nahi.n.jab kalaam mukammal hua tau hamaaray sher hame.n hi hairaani mei.n daal rahay thay....goya keh rahay ho.n aray ye kya....haamid aapkay qalam say aur yeh............

aur haa.n micra jo bhi keh raha ho shayer usko apnay fikr mei.n dhaal sakta hai.yahi tau har shayer ka kamaal hota hai.

aap sahi farmaarahay hai.n keh jau laa mahdood hai usper bahec karna hum jaisee mahdood makhlooq kay liye munaasib nahi.n hai.uskee qudrat kay raaz bas wohi jaanay....humko tau bas wohi karna hai jiska hukm allah(sbhnwt)t'aala nay hame.n diya hai.

jis hastee(s.a.w.a.w)ki mad'haa woh khud kar raha ho uski fazeelat kya hogee .......hamaaray azhaan wahaa.n tak abhie nahi.n pahunch nahi.n saktay......lekin aik baat 'taye hai aur woh yeh keh .... woh khaaliq hai aur yeh uskay makhsoos aur mahboob banday hai.n.

aapka apna
tiflay maktab
haamidbaaqri

Re: subHaanallah aapki Hamd-e-baari taAalah bahut achchi hei

Posted: Fri Oct 06, 2006 4:52 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil Hamd-e-baari TaAalaa beHad pasand aayi jiske liye duAaa hei ke aapko vohi dunyaa aur aakhirat meiN cawaab se navaaze. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.




aadmi dekh zara ghaur say apna chehrah
tire chehray mei.n nazar aayega rab ka chehrah

baat yeh 'taye hai' koyee shak hi nahi.n hai is mei.n
jism jiska nahi.n uska nahi.n hota chehrah

dekh sakta nahi.n aankho.n say koyee khaaliq ko
dil ki aankho.n say nazar aaye khuda ka chehrah

aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah

gar kahi.n milgaye ek jaisay hame.n dau chehray
ungliyo.n ka kabhie hota naih.n ek saa chehrah

is zamee.n say hee uge.n sainkdo.n phal duniya mei.n
zaayeqa sabka alag aur alag saa chehrah

cheez say cheez banaata hai yeh jab bhi insaa.n
fakhr karta hai banaakarkay yeh uska chehrah

shaye kay bin shaye ko banaata hai hamaara khaaliq
zarf jaisa ho 'ata karta hai waisa chehrah

jab woh qaadir hai har ek shaye peh tau hum kaisay kahe.n
"dastay qudrat say nah phir ban saka aisaa chehrah"

tire khaaliq saa musavvir hi nahi.n hai haamid
dekh kis shaan say ahmed(s.a.w.)ka banaaya chehra





TaraHi miSraA jab tak keh munfarid Taur per paRhaa jaaye tou baat mashkook rehjaati hei lekin shayer poore sheAr se apni baat vaaZeH karne meiN kaamyaab housaktaa hei.

MaiN bhee koushish karrahaa hooN ke naAt-e-sherif S.A.W.S kahooN aur maiN ne is miSreA ko apne maTleA meiN yooN isteAmaal kiyaa hei:

behr-e-kaunain banaayaa jo nabi kaa chehrah
"dast-e-qudrat se nah phir ban sakaa aisaa chehra"


Is sheAr meiN meri muraad hei keh jab nabi kareem S.A.W.S kaa cherah qudrat ne kaunain ke liye banaayaa to phir aisaa cheraa nah ban sakaa yaAni gunjaayish nahiN reh gayi thee ke aur kisi ko bhee unke uhde per faayiz kiyaa jaasaktaa. Is TaraH khudaa kee qudrat meiN koii shak nahiN balke uske apne faiSleh kee ta'eed kee jaarahi hei.

In dinaoN ittifaaq se maiN bahut ziyadah maSroof hooN ghar ke baAz ahem kaamaoN meiN. Is se pahle ba'Az mushkilaoN kaa saamnaa karnaa paRaa jinke sabab apne computer kee iSlaaH karne meiN bahut saaraa waqt lag gayaa.

BaharHaal, aap aur aur Jawaid Badauni SaaHib jaise Azeez aHbaab-e-sukhan per mujhe pooraa poora bharousah hei ke site ko meri kami meHsoos nah houne denge. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

aapki dilee mubaarakbaad aur daad ko hum tahay dil say qubool kartay hai.n aur dua kartay hai.n keh allah(sbhnwt)is mubrak maheenay keh sadqe mei.n aapki har parashaani ko door karday.aameen.

bahut bahut shukriya....

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

Re: shukriya

Posted: Fri Oct 06, 2006 10:09 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
haamidbaaqri wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
Hamid bh~ai aadaab!

hamid bh~ee kiYa kehne! waah aap ko Hamd likh~ne meN zarrah barabar bh~ee dikkat nah huee ho gee keh aap ka to andaaz-e-sukhan hee Yahee hai.

Hamid bh~aee maqt^a' meN to aap ne bas kamaal kar diYa hai. lajawaab hai!

aor ek aor she'er hai.


aik lamhay mei.n banaaye woh hazaaro.n chehray
phir bhi milta nahi.n ek chehray say dooja chehrah


kiYa kehne! waah waah bohot koob!

is i'lawah bh~ee kaee she'eer pasand aae haiN GharZ^ puree na'at hee rooH afza hai!

aor aek bat jo zeYadah pasand aaee keh Hamd aor na'at donooN ke maZ^ameen apas meN sheer-o-shakar kar keh aek nihaYat kamYaab tajribah kiYa hai. khuda wand aap ko jaza-e-khaeer se nawaze!! (aameen)


jazaak Allah!

Wassalam
muz^affar
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahib

jaisa keh hum pehlay bhi kehchukay hai.n keh yeh sab taufeeqe ilaahi hai.
woh jo chaahta hai hamaaray qalam say likhwaata hai.hame.n yaqeen hai keh musalsal rahmate ilaahi hamaare shaamile haal hai yeh sab isee ka nateejah hai warnah kahaa.n yeh bandaye 'aasee aur kahaa.n hamde khaaliqe kaunain.

aapki musalsal mukhlisaanah hausalah afzaayee aur daad hamaaray liye kaafi muaani rakhti hai jiskay liye hum hame.sha aapkay mamnoon rahe.nge.insha allah.

allah(sbhnwt)aapko is mubaarak maheenay mei.n apni beshmaar n'emato.n say nawaaze.aameen.

allah(sbhnwt)aapkay is jazbah ko salaamat rakkhe.aameen

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sun Oct 08, 2006 7:54 am
by farhan

Janab Haamid SaHib...

Hamd-e-bari-e-Tala kehnay ki sAadat per mayri janib say daad qabool farmaye....ALLAH aap ki is eebadat ko Qabool farmaye. Ameen....


talib-e-dua....

farhan

shuriya

Posted: Fri Oct 13, 2006 6:24 am
by haamidbaaqri
farhan wrote:
Janab Haamid SaHib...

Hamd-e-bari-e-Tala kehnay ki sAadat per mayri janib say daad qabool farmaye....ALLAH aap ki is eebadat ko Qabool farmaye. Ameen....


talib-e-dua....

farhan
mohtaram farhaan saahib
salaamun alaikum

aapki mukhlisaanah daad aur duao.n keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri