Page 1 of 1

hadiYah-e-na't (SWWS)

Posted: Thu Oct 05, 2006 11:05 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaraan-e-meHfil aadaab!

Guzarish 22 ke teHet hadiYah-e-na't pesh-e-khidmat hai.
moHtaram janab-e-Jawaid Badauni saHeb ka Hukm bae,c-e-takhleeq hadiYah-e-na't hai!


na't shareef


raHat-e-deedah-e-YizdaaN hai nabee ka chehra

khush naSeban-e-madinah ne woh dekh~a chehra.


ehl-e-danish ne jise shamma'-e-e'rfaan kaha

noor-e-furqaaN se munawwar hai nabee ka chehra.


bargaah-e-ehl-e-imaaN meN rahe ga daae,m

rashk-e-khursheed-o-qamar shaah-e-umam ka chehra.


raHmat-e-saYYad-e-laolaak naheeN hai meHdood

sare a'aalam ke liYe hai woh maseHa chehra.


meHw khud ho geYa khaliq bh~ee bana kar jis ko

"dast-e-qudrat se nah ph~ir ban saka aesa chehra"


muSHaf-e-rukh kee jahaaN meN koee tamceel naheeN

kese likh~kh~oN keh hai sarkaar ka aesa chehrah???


na'at kehh kar nah muz^affar maiN qalam TooR saka

mere she'rooN meN utarta naheeN unka chehrah.


muz^affar aHmad muz^affar

Posted: Thu Oct 05, 2006 4:02 pm
by jawaid badauni
Azeezi Muzaffar SaHaab
Aadaab

Aap ka mamnoon hooN keh meri farmaaiish per inti ujlat se amal kiya. Aapki N'aat dekh kar bohat dil Khoosh huwwa. Meri doa hai keh Srawar-e Kaainat, FaKhr-e Maujoodaat, aapki ke is nazraney ko qubool farmayeN aur Allah SWT aapkeo ajr.e azeem se nawazeh, aamin.

Teesre sher ke miSraa.e oolah meN shayad 'typo" ki Galtee hai, miSra wazn meN nahiN hai zara nazr.e Caani kar lijiyega.

N'aat bohat achchi hai. Tamam ashAAr Nabe.e kareem ke liye aap ki muwaddat ke tarjumaan haiN. Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

KhulooSkaar
Jawaid

Posted: Sat Oct 07, 2006 1:37 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:Azeezi Muzaffar SaHaab
Aadaab

Aap ka mamnoon hooN keh meri farmaaiish per inti ujlat se amal kiya. Aapki N'aat dekh kar bohat dil Khoosh huwwa. Meri doa hai keh Srawar-e Kaainat, FaKhr-e Maujoodaat, aapki ke is nazraney ko qubool farmayeN aur Allah SWT aapkeo ajr.e azeem se nawazeh, aamin.

Teesre sher ke miSraa.e oolah meN shayad 'typo" ki Galtee hai, miSra wazn meN nahiN hai zara nazr.e Caani kar lijiyega.

N'aat bohat achchi hai. Tamam ashAAr Nabe.e kareem ke liye aap ki muwaddat ke tarjumaan haiN. Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

KhulooSkaar
Jawaid

mohtaram Jawaid SaHeb aadaab!

nat-e-rasool-e-mabool(SWWS) ko pasand farmane par aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN aor dua' gao bh~ee hoon keh khuda wand aap ko
ajar-e-khaer se nawaze!

aap ka mamnoon is liYe bh~ee zeYaadah hooN keh ab tak aap hee ne na't shareef pasand farmaee hai.
Teesre sher ke miSraa.e oolah meN shayad 'typo" ki Galtee hai, miSra wazn meN nahiN hai zara nazr.e Caani kar lijiyega.
Jawaid bh~aee maiN ne miSa' dekh~ liya hai aap bh~ee naz^r-e-canee farma deeN. :-)

Yadihanee ke waste mamnon hoN :-)


Wassalam
muz^affr

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Oct 07, 2006 5:34 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zil naAt-e-sherif S.A.W.S bahut ziyaadah pasand aayi jiske ke liye aap dunya aur aakhirat kee tammam barkataoN ke mustaHiq heiN. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

na't shareef

raHat-e-deedah-e-YizdaaN hai nabee ka chehra
khush naSeban-e-madinah ne woh dekh~a chehra.

ehl-e-danish ne jise shamma'-e-e'rfaan kaha
noor-e-furqaaN se munawwar hai nabee ka chehra.

bargaah-e-ehl-e-imaaN meN rahe ga daae,m
rashk-e-khursheed-o-qamar shaah-e-umam ka chehra.

raHmat-e-saYYad-e-laolaak naheeN hai meHdood
sare a'aalam ke liYe hai woh maseHa chehra.

meHw khud ho geYa khaliq bh~ee bana kar jis ko
"dast-e-qudrat se nah ph~ir ban saka aesa chehra"

muSHaf-e-rukh kee jahaaN meN koee tamceel naheeN
kese likh~kh~oN keh hai sarkaar ka aesa chehrah???

na'at kehh kar nah muz^affar maiN qalam TooR saka
mere she'rooN meN utarta naheeN unka chehrah.


Saare ashAar bahut hee khoob heiN jou aapki pukhtah fikr-e-sukhan kaa nateejah heiN.

Azeezi Jawaid Badauni ne bilkul SaHeeH nishandehi kee ke aapke teesre sheAr kaa pahlaa miSraA be-beHr hougayaa hei jisko maiN aapki nazar kee chook keh saktaa hooN. Aapkaa sheAr yuN hei:

[u bargaah-e-ehl-e-imaaN meN rahe ga daae,m
rashk-e-khursheed-o-qamar shaah-e-umam ka chehra[/u]

Is pahle miSreA meiN agar aap "ehl" kee jagah "Saf" kaheN tou miSraA beHr meiN aajaayegaa.

Baar'a'gaah-e = faa'ilaa'tun = 2122
(ehl-e-eemaaN = faa'ilaa'tun = 2122 jou rukn ramal kaa Zaroor hei lekin beHr kee is shakl pahle rukn meiN tou bilkul Theek hei lekin doosre rukn meiN nahiN.)

saf-e-eemaaN = fa'ilaa'tun = 1122
m'rahega,daayem = fa'ilaa'tun = 1122
chehra = fe'lun = 22.

Ummeed ke vaZaaHut hougayi hougi.

BeHr kee is shakl meiN gunjaayish yeh hei ke pahle rukn ko "faa'ilaa'tun" ko "fa'ilaa'tun" isteAmaal karsakte heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir,


Posted: Sat Oct 07, 2006 6:50 pm
by zmufti
buhat khoob
Muzaffar bhai Allah aap ko jaza-ekhair ata kare
meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Sun Oct 08, 2006 8:04 am
by farhan


Janab Muzaffar SaHib

As salamu aalaikum wa rahamatullahi wa barakatuhu...

aap ki peesh karda nAa't mujhay bahut pasand aayii...KhaS tour per yeh shair bahut ziyada pasand aayaa..

muSHaf-e-rukh kee jahaaN meN koee tamceel naheeN

kese likh~kh~oN keh hai sarkaar ka aesa chehrah???

ik khoobsurat nAat kehnay ki sAadat Hasil karnay per mayri janib say daad peesh-e-khidmat hai...Qabool farma kar shukriya ka mouqa dijeaga....

faqt

talib-e-dua

farhan

Posted: Mon Oct 09, 2006 6:43 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Zarqa bajee aadaab!

nazranah-e-na't-e-nabawee(SWWS)ko sarahne par
aap ka teh-e-dil se momnoon hooN

khuda wand aap ko jaza-e-khaer nawaze.aameen.

ijazut dijiYe!

Wassalam
muz^affar

Posted: Mon Oct 09, 2006 6:51 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmee Farhan SaHeb aadaab! :-)

kese mizaaj haiN aap se Ghaleb" pehlee bar sharf-e-mulaqaat
naSeeb ho raha hai. aap ka khulooS hai keh aap ne khaksaar
ke kalam ko pasand farmate huwe dad se nawazah hai.

khuda aap ko salamat rakh~e!

meHfil meN aate raheeN aor raonaq-e-bazm-urdu bandh~an
baRh~ate raheeN.

Wassalam
muz^affar

mashaAllah bohat Khoob

Posted: Tue Oct 10, 2006 7:11 am
by Raji
moHtaram janab-e-Muzaffar SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

is taraHee mushairah maiN miSrah-e-taraH dekh~ kar maiN qadre chonk gayii thee ke isee zameen aur behr meN meree ek puraanii Ghair taraHee Ghazal isee meHfil meN maujood hai.

jab kabhi DhoonDne nikle the Khushii ka chehraa
mujh se miltaa hee rahaa Gham ka shanasaaa chehraa

go keh moHtaram Jawaid SaaHeb kaa miSrah mere liye bhi zarKhaiz zaroor hai lekin shayed mujh meN itnee SalaHiyat naheeN hai keh is par itnee KhoobSooratii se HuZoor-e-akram (s.a.w.w) kee shaan meN na'at ka naZraana pesh kar sakooN.

aap kee taKhleeq bilaashubaa bohat hee dilkash hai. tamaam hee ashsaar bohat ache heN.

mashaAllah girah bhi bohat Khoob lagaYaa hai aap ne.
meree jaanib se ek kaamyaab koshish par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

Re: mashaAllah bohat Khoob

Posted: Thu Oct 12, 2006 6:23 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Raji wrote:moHtaram janab-e-Muzaffar SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

is taraHee mushairah maiN miSrah-e-taraH dekh~ kar maiN qadre chonk gayii thee ke isee zameen aur behr meN meree ek puraanii Ghair taraHee Ghazal isee meHfil meN maujood hai.

jab kabhi DhoonDne nikle the Khushii ka chehraa
mujh se miltaa hee rahaa Gham ka shanasaaa chehraa

go keh moHtaram Jawaid SaaHeb kaa miSrah mere liye bhi zarKhaiz zaroor hai lekin shayed mujh meN itnee SalaHiyat naheeN hai keh is par itnee KhoobSooratii se HuZoor-e-akram (s.a.w.w) kee shaan meN na'at ka naZraana pesh kar sakooN.

aap kee taKhleeq bilaashubaa bohat hee dilkash hai. tamaam hee ashsaar bohat ache heN.

mashaAllah girah bhi bohat Khoob lagaYaa hai aap ne.
meree jaanib se ek kaamyaab koshish par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:



moHtarmah Zahida Raees :Raji: SaHebah tasleem a'rZ^ karta hooN!


aap ka aese choonkna aek fit^ree bat th~ee agar aap kee jagah koee dusra fard bh~ee hota to woh bh~ee choonk jata. aor sach to Yeh hai keh jab aap ke khat^ meN aap ka miSra' dekh~a to aek lamhah ke liYe maiN bh~ee choonk geYa. :grin:

mujh~e aap ke hadiYah-e- na't ka be qararee se intz^aar hai. aor aap ka puranah miSra' dekh~ kar to aor zeYadah beqaraar ho geYa hooN.

wajah Yeh hai keh aap kee dilchaspee to is miSra' meN dohree hai.
keh aap maZ^ee meN is par t^aba' aazma chukeen haiN.
aor zameen kee dushwariYooN se bh~ee bakhubee aagah hooN geeN.

aap ne mere naz^ranah-e-na't (SWWS) ko sarah kar mujh~e mazeed likh~ne ka HoSilah diYa hai. khuda aap ko jaza-e-khaer se nawaze.

baqee aai,ndh!

Wassalam
muz^affar[/size]