Page 1 of 1

muhabat main mer gia

Posted: Sat Oct 14, 2006 5:31 pm
by poetrazi
Image

Dukh to nahin k tanha masafat main mer gia
Acha hua main tayri muhabat main mer gia

Haakim khud apnay ehd e hakoomat main mer gia
Zinda wohi raha jo baghawat main mer gia

Kuch nafratoN ki nazr hua mayra yeh wajood
Baaqi jo bach gia tha muhabat main mer gia

Mujh ko kabhi hisaar main na lay saka koi
Main is liay bas apni hiraasat main mer gia

Ab to yeh baat tum ko bohat nagawaar hy
Laykin agar kabhi main haqeeqat main mer gia?

Us ki muhabaton ka razi zikr kia karooN
Itna sakooN mila k aziyyat main mer gia

Razi-ud-din Razi

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 01, 2006 8:05 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Razi ud-dden Razi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne aek sakht radeef "meN mar gayaa" ke isteAmaal ke baavajoo bahut achchi ghazal likhkhi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Nov 12, 2006 8:41 pm
by poetrazi
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Razi ud-dden Razi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne aek sakht radeef "meN mar gayaa" ke isteAmaal ke baavajoo bahut achchi ghazal likhkhi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

shukria janab abdullah sahab
razi

Re: muhabat main mer gia

Posted: Sun Nov 12, 2006 8:43 pm
by poetrazi
sara_j wrote:[quote="poetrazi
Dukh to nahin k tanha masafat main mer gia
Acha hua main tayri muhabat main mer gia

Haakim khud apnay ehd e hakoomat main mer gia
Zinda wohi raha jo baghawat main mer gia

Kuch nafratoN ki nazr hua mayra yeh wajood
Baaqi jo bach gia tha muhabat main mer gia

Mujh ko kabhi hisaar main na lay saka koi
Main is liay bas apni hiraasat main mer gia

Ab to yeh baat tum ko bohat nagawaar hy
Laykin agar kabhi main haqeeqat main mer gia?

Us ki muhabaton ka razi zikr kia karooN
Itna sakooN mila k aziyyat main mer gia

Razi-ud-din Razi
Razi sahib ye ghazal bhi pasand aayi balke ashaar sab dil ko chuu gaye.

daad qubool keejiye.

sara[/quote]

shukria sara ji
razi