Page 1 of 1
ArooZ ke Talib-e-ilm kaa aek sawaal: Abdullah Nazir.
Posted: Fri Oct 20, 2006 5:10 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
ArooZ ke Taalib-e-ilm kee Haiciat se aek sawaal karne kee jasaarat karrahaa hooN. Ummeed ke ahl-e-ilm o faZl mujhe tashaffi-bakhsh javaab dekar mamnoon farmaayenge.
Sawaal:
Kyaa maiN mandarja-e-zeil vazn ko apni ghazal meiN isteAmaal karsaktaa hooN? Agar javaab icbaat meiN hou tou uskaa javaaz kyaa hei aur beHr kee is shakl kaa naam kyaa hougaa?
mufaa'ee'lun...mufaa'ilatun...faAoolun
//0/0/0…//0///0…//0/0
1222…….12112………122
aek filbadeeh miSraA:
tiraa waAdah wafaa nah houaa na'hougaa
tira waAdah/wafaa n'houaa/ n'hougaa
mufaa'ee'tun…mufaa'ila'tun…… faAoolun.
Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Oct 23, 2006 9:29 pm
by Maha
shayed kisi ko pata nahi hai aap hi sawaal ka jawaab dedeejiye.
meraa ijtihaad
Posted: Mon Oct 30, 2006 3:54 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Khaksaar ne ArooZ kaa mandarja-e-zeil sawaal pesh kiyaa thaa is ummeed ke saath ke ke aSHaab-e-ilm-e-Arooz javaab dekar mujhe mustafeed houne kaa mauqaA denge.
Sawaal:
Kyaa maiN mandarja-e-zeil vazn ko apni ghazal meiN isteAmaal karsaktaa hooN? Agar javaab icbaat meiN hou tou uskaa javaaz kyaa hei aur beHr kee is shakl kaa naam kyaa hougaa?
Mufaa'ee'lun….mufaa'ila'tun….faAoolun
//0/0/0…//0///0…//0/0
1222…….12112………122
aek filbadeeh miSraA:
tiraa waAdah wafaa nah houaa na'hougaa
tira waAdah/wafaa n'houaa/ n'hougaa
mufaa'ee'tun…mufaa'ila'tun…… faAoolun.
Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Koii javaab nah milne kee vajh se maiN ne khud ijtihaad kiyaa hei jo Hasb-e-zil hei:
alASb = mufaa'I'latun ko mufaa'Aaltun banaadetaa hei jou hei = mufaa'ee'lun
daraSl = mufaa'ila'tun
BeHr-e-wafir musaddas hei:
"mufaa'il'atun" 3 bar her miSreA meiN.
Pahle rukn aur aakhiri rukn ko ASB ke acar se mufaa'ee'lun banaadiyaa gayaa aur doosre ko aSli Haalat meiN chouRdiyaa gayaa. Is TaraH se beHr hugayi:
Mufaa'ee'lun….mufaa'il'atun….mufaa'ee'lun
Mazeed yeh ke aakhiri maASoob rukn per Hazf kaa acar Daalaa gayaa tou mufaa'ee'lun se mufaa'ee hougayaa jisko ham ne "faAoolun" kardiyaa.
Housaktaa hei keh meraa yeh ijtihaad ghalaT hou jiske baare meiN doust aHbaab kee aaraa se istifaadah HaaSil karne kee tavaqquA rakhtaa hooN.
Aek jagah maiN ne yeh bhee paRhaa hei ke agar saare arkaan "mufaa'ee'lun" hounge tou uskaa shumaar BeHr-e-hazaj meiN hougaa. Agar aek rukn bhee mufaa'il'atun hougaa tou usko BeHr-e-waafir meiN shumaar kiyaa jaayegaa.
Aapka MukhliS,
Nazir.