:: yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
Posted: Tue Oct 31, 2006 7:21 pm
Yaaraan-e-meHfil, aadaab
aaj aap ki Khidmat meiN apnii aik taaza Ghazal ke saath Haazir hooN, ik maKhSooS kaifiyyat meiN yeh Ghazal hoii hai yuuN samajh lijeye jo dil ne kahaa maiN ne likhaa ! ummeed hai k apnii aaraa aur tanqeed se navaazeNge ! shukriya
:: Urdu V ::
:: Roman V ::
1.
na zameeN na aasmaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
yeh jahaan-e-a'aashiqaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
2.
bhala koi kyaa sunaaye yahaaN daastaan-e-Hasrat
yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
3.
tiri justjoo meiN jaanaaN ! yeh kahaaN maiN aa gayaa hooN ?
koi dasht-e-be-karaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
4.
na labooN pe ik fuGhaaN hai na koii bhi naGhma-KhvaaN hai
yeh a'jeeb gulsitaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
5.
na voh lutf-e-dil-gudaazii na voh kaif-e-nai-navaazii
na bahaar yaa KhizaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
6.
na viSaal-e-rooH-parvar na firaaq-e-marg-aavar
yeh samaaN bhi kyaa samaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
7.
na Sadaa-e-dil-nasheenii na navaa-e-dard-mandii
yeh chaman to be-nishaaN hai na qafas na aashiyaana !
8.
kabhi har taraf tajallii kabhi kuchh nahiN kaheeN bhii
yeh makaaN k laa-makaaN hai na qafas na aashiyaana !
9.
miri zindagii bhi kyaa hai , faqat aik naqsh-e-paa hai
jo Ghubaar-e-kaarvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
10.
dil-e-naa-Saboor mere ! tuu kaheeN Theher to jaa ab
yeh kahaaN ravaaN davaaN hai ? na qafas na aashiyaana !
11.
ise sun ke jaan loge k rah-e-vafaa meiN kyaa hai
yeh Zia ki daastaaN hai na qafas na aashiyaanaa !!
..............................................................................
shukriya
Zia Baloch