Page 1 of 1
aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
Posted: Wed Nov 01, 2006 11:32 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek maAmooli aur saadah see ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni aaraa se mustafeed houne kaa mauqa denge.
GHAZAL roman meiN
Khud se kyaa dushmani baRh gayi
Aap se dousti baRh gayi
Gul kee khandah labi baRh gayi
Meri dil kee lagi baRh gayi
Jab wo meh-rukh houaa hamqadam
Raah meiN raushni baRh gayi
Dasht-e-ghurbat meiN kyaa bus gaye
Aur deewanagi baRh gayi
naagahaaN kis ne dhoukah diyaa
chashm-e-nam kiyuN nami baRh gayi
besabab wo khafaa hougaye
baat kuch bhee nah thee baRh gayi
dard-e-dil baRh gayaa aur bhee
jab se chaarah gari baRh gayi
ham se aakhir houee kyaa khaTaa
kis liye be-rukhi baRh gayi
iHtimaal-e-mulaaqaat per
shaam-e-gham khudsari baRh gayi
chashm-e-Nazir hei tar sarbasar
hijr kee teeagi baRh gayi
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
Posted: Thu Nov 02, 2006 10:51 am
by Shummu
WEBMASTER wrote:
Khud se kyaa dushmani baRh gayi
Aap se dousti baRh gayi
wah..!!
Jab wo meh-rukh houaa hamqadam
Raah meiN raushni baRh gayi
wah wah wah haasil-e-ghazla sher...!!!
besabab wo khafaa hougaye
baat kuch bhee nah thee baRh gayi
sahi kaha aksar aisa ho jaata hai ke bin baat ke baat bahut barh jaati hai...
dard-e-dil baRh gayaa aur bhee
jab se chaarah gari baRh gayi
wah..!
ye parhke apna ek puraane sher yaad aa gaya...
us ne jab bhi hameN kuchh Dilaasa diyaa
dard-e-dil aur bhi baRh gayaa,kyaa kareiN!
chashm-e-Nazir hei tar sarbasar
hijr kee teeagi baRh gayi
wah wah kya maqta hai...!
Mohtaram Nazir Sahab..meri jaanib se daad pesh hai is saada si magar acchi ghazal pe
Shumaila
Posted: Sat Nov 11, 2006 7:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Garamee-e-qadr Janaab Abdullah Nazir SaHeb aadaab!
aap kee tazah Ghazal dekh~ne ka sharf naSeeb huwa. bohot u'mdah asha'aar kahe haiN aap ne.
ch~oTee beHer meN aap kee yeh koshish baRee dilkash hai. mujh~e sabh~ee she'er bh~ale lage haiN.
Khud se kyaa dushmani baRh gayi
Aap se dousti baRh gayi
bohot khoob !waah! waah!
Gul kee khandah labi baRh gayi
Meri dil kee lagi baRh gayi
kiYa kehne! waah! waah!
Jab wo meh-rukh houaa hamqadam
Raah meiN raushni baRh gayi
bohot khoob waah waah!! bohot baRee bat keh dee hai aap ne! waah! =D>
Dasht-e-ghurbat meiN kyaa bus gaye
Aur deewanagi baRh gayi
kiya kehne!! waah! =D>
naagahaaN kis ne dhoukah diyaa
chashm-e-nam kiyuN nami baRh gayi
waah waah!!
besabab wo khafaa hougaye
baat kuch bhee nah thee baRh gayi
kiYa kehne!! waah bohot khoob Nazir SaHeb!!
dard-e-dil baRh gayaa aur bhee
jab se chaarah gari baRh gayi
bohot khoob waah waah waah kiya kehne!! =D>
ham se aakhir houee kyaa khaTaa
kis liye be-rukhi baRh gayi
kiYa kehne! waah!!
iHtimaal-e-mulaaqaat per
shaam-e-gham khudsari baRh gayi
waah waah!!
chashm-e-Nazir hei tar sarbasar
hijr kee teeagi baRh gayi
bohot khoob waah! waah!
bohot khubSurat she'er kahe haiN aap ne lut^f hee aa geYa. aesee GhazleeN hee dil-o-jaaN ko qareer bakhsh saktee haiN. bohot u'mdah!
meree janib se dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!
ijazut chahooN ga!
Wassalam
muz^affar
Bahut bahut shukriyah
Posted: Wed Nov 22, 2006 3:32 am
by Abdullah Nazir
Azeezah
SHUMMU
PurkhulooS Tasleemaat,
Apni ghazal per aapke tafSeeli tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Javaab dene meiN ta'kheer ke liye muAafi chaahtaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.