Page 1 of 1

Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal

Posted: Sun Nov 05, 2006 4:11 pm
by Anmol
Aadaab!

Ghazal pesh hai. Umeed hai k sab ko pasand aaye gi.

Image

Ghazal:

1. ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho
miree zeest girta shajar kis liye ho

2. koi tohmateN aap per bhi lagaaye
har ilzaam mere hi sar kis liye ho

3. har ik zulm kab tak yuN hans kar saheN ham?
Har ik baat per darguzar kis liye ho

4. koi baat meri nahiiN maante ho
Ho ziddi magar, is qadar kis liye ho?

5. Mirii shaayri raaz afsha na kar de
mire dil ki sab ko khabar kis liye ho

6. Khuda ke siwa kis ke agay jhukeN ham
KHuda ke siwa dil meiN Dar kis liye ho!

7. aNdheroN se ham ko shikaayat nahiiN hai
Na hoN zulmateN to saHar kis liye ho!

8. koi to mirey ghar ka rasta bataaye
koi poochh le, 'darbadar kis liye ho?'

9. hai anmol ko bus tiree hi tamannaa
kisi aur jaanib nazar kis liye ho!

by,
Ayesha :Anmol:

Posted: Sun Nov 12, 2006 1:45 pm
by Anmol
Dear Sara,

Tumhaari jaanib se daad paa kar bohot Khushi hui.

thanks a lot. :grin:

Posted: Tue Nov 14, 2006 10:50 am
by Mayank
Anmol saahiba,

bohat khoob Sher kahe haiN aap ne.. Kya khoob andaaz hai.. har Sher ess dil par chhuriyaaN chala rahe haiN .. aap ko Shaayad aaj pahli martaba paRhna huaa... haalaki, aap se guftgu kaii baar ho chuki hai... ek dilkaSh Ghazal ke liye mere jaanib se bharpoor daad qubool keejiye.. yuuN hi, bas yuuN hi.... liKhate raheN.. aur ham..... daad dete raheNge..

-Mayank

Posted: Tue Nov 14, 2006 11:02 pm
by Anmol
Mayank wrote:Anmol saahiba,

bohat khoob Sher kahe haiN aap ne.. Kya khoob andaaz hai.. har Sher ess dil par chhuriyaaN chala rahe haiN .. aap ko Shaayad aaj pahli martaba paRhna huaa... haalaki, aap se guftgu kaii baar ho chuki hai... ek dilkaSh Ghazal ke liye mere jaanib se bharpoor daad qubool keejiye.. yuuN hi, bas yuuN hi.... liKhate raheN.. aur ham..... daad dete raheNge..

-Mayank
Aadaab, Mayank SaaHib!

Aap ko yahaaN dekh kar bohot Khushi hui. :P Ghazal ki pazeerayi ke liye bohot mamnoon huuN. Agar aap yuuNhi daad dene ka yaqeen dilaa rahay haiN to maiN bhi yuuNhi likhti aur sunaati rahooNgi.

Bohot shukria. :grin:

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 15, 2006 5:19 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Anmol SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ke saare ashAar bahut achche heiN, jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ummeed kartaa hooN ke aap isi TaraH se aayindah bhee apne kalam se navaazti rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Nov 15, 2006 5:41 pm
by Anmol
Mohtaram Nazir Saahib,

Aap ki daad aur mubarakbaad sar aankhoN per. Hausla'afzaayi ke liye behad shukria.

:grin: