Page 1 of 1

GHAZAL. Abdulqayyum Sahil, Jeddah.

Posted: Mon Jan 31, 2005 7:20 pm
by abdulqayyum sahil

Muhtarameen arbabe mehfil,

Aadab o Tasleemat,

Apni aik taazah ghazal lekar haazir houaa hooN. Iltimas hei keh apni qeemati aara se musfeed houne kaa mauqa deN.

GHAZAL:

1)sir chaRhke agar baat kare Hausalah apna
bedadgar aakhir nah sune kiyooN gilah apna
2)khushboo bhi nah mil paaye jahaN taazah gulaoN ko
us baagh kii qurbat se bhalaa faasilah apna
3)likhkha nii nahiN aql ke daftar meiN kahiN per
aghyaar ko ham souNp deN her mas'alah apna
4)mumkin hei zameeN paaooN ke neeche se nikal jaaye
fursat meiN bataaoonga kabhii silsilah apna
5)khaaraan-e-sar-e-raahguzar yooN na sataaou
roude nah kahiN phooT ke her aabilah apna
6)aataa hii nahiN chain kisi haal meiN dil ko
jaaN unki jalaaye nah agar mashghalah apna
7)kuch bhii nah de mujhko miri ulfat ke AevaZ meiN
kyaa gham hei jo mil paaye nah mujhko silah apna
8)ham masnad-e-insaaf ko Thukraa tou nah denge
bhaayega nah mujrim ko agar faisalah apna
9)Aati hii nahiN raas hawaa shehr kii :Sahil:
ab kaun bayaabaaN meiN sune ghulghulah apna
------

Khair Andesh,
Sahil,

Re: GHAZAL. Abdulqayyum Sahil, Jeddah.

Posted: Thu Feb 03, 2005 9:15 am
by Shummu
2)khushboo bhi nah mil paaye jahaN taazah gulaboN ko
us baagh kii qurbat se bhalaa faasilah apna

4)mumkin hei zameeN paaooN ke neeche se nikal jaaye
fursat meiN bataaoonga kabhii silsilah apna

6)aataa hii nahiN chain kisi haal meiN dil ko
jaaN unki jalaaye nah agar mashghalah apna

8)ham masnad-e-insaaf ko Thukraa tou nah denge
bhaayega nah mujrim ko agar faisalah apna

9)Aati hii nahiN raas hawaa shehr kii :Sahil:
ab kaun bayaabaaN meiN sune ghulghulah apna

Wah bahut khoob!!! kaafi munfarid ash'aar likhe hain aapne..humein pasand aaye..daad haazir hai Sahil sahab :)

Shumaila

Posted: Fri Feb 04, 2005 5:04 am
by Hashmat Usmani
salaam Qaiyuum saaHib,

aapkii yeh Ghazal nazar navaaz huii aur paRh kar be_saaKhta daad o taHseen ke kalimaat muNh se nikal paRe...masha Allah, subHaan Allah, marHaba.

ek ek she'r meN ustaadaanah rang chhalakta hai. aapkii zabaan o bayaan aur Khayaal intehaaii door-ras haiN. Allah kare zor e qalam aur ziyaada!

mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye: