Page 1 of 1

"Yeh kis ne rakh~ dee hai taSweer-e-Yaar aaNkh~ooN meN&

Posted: Fri Nov 10, 2006 8:40 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaraan-e-meHfil aadaab!

apnee aek tazah Ghazal ke chand she'er pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN.

mulaHaZ^ah farmaiYe.


1,

Badan dareedah haiN gard-o-Ghubaar aaNkh~ooN meN

bh~aTak rahe haiN tire JaaN nisaar aaNkh~ooN meN


2,

banaam-e-daostee kh~ae haiN kuch~ fareb aese

har aek daost laga nagawaar aaNkh~ooN meN.


3,

Gham-e-jahaaN ne kiYa jab nagar nagar ruswa

palaT ke aa gaeY ham Ghumgusaar aaNkh~ooN meN


4,

Yeh dard-o-ranj ka maosam guzar hee jae ga

kabh~ee to aae gee faSl-e-bahaar aaNkh~ooN meN


5,

suraaGh-e-hastee-e-meHboob milne wala hai

mile haiN naqsh-e-kaf-e-paa-e-Yaar aaNkh~ooN meN


6,

aashuftagee ne bigaRa woh Haal Ghurbat meN

maiN khud se mil ke huwa sharmsaar aaNkh~ooN meN


7,

a'zaab-e-kashmakash-e-aarzu se taNg aa kar

uTh~a raha hooN qadam su-e-daar aaNkh~ooN meN


8,

jamaal-e-Yaar ne chunwa deye mujh~e tinke!

"Yeh kis ne rakh~ dee hai taSweer-e-Yaar aaNkh~ooN meN"
(moHtaram Abdullah Nazir SaHib ka miSra' hai)


9,

hamara raonaq-e-dunYa meN dil naheeN lagta

lage haiN karne SaleebooN se payaar aaNkh~ooN meN


10,

Woh tishnagee hai muz^affar ke ashk pee pee kar!

rakh~a hai rishtah-e-jaaN ustawaar aaNkh~ooN meN

Bahut achchi kaavish hei, waah waah

Posted: Sun Nov 12, 2006 7:04 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhne ke baAd tafSeeli tabSirah karne meiN mushkil pesh aarahi hei. Iskaa sabab ghazal kee radeef "aankhaoN meiN" hei jisko nibhaane meiN diqqat pesh aati hei.

Badan dareedah haiN gard-o-Ghubaar aaNkh~ooN meN
bh~aTak rahe haiN tire JaaN nisaar aaNkh~ooN meN

banaam-e-daostee kh~ae haiN kuch~ fareb aese
har aek daost laga nagawaar aaNkh~ooN meN.

Gham-e-jahaaN ne kiYa jab nagar nagar ruswa
palaT ke aa gaeY ham Ghumgusaar aaNkh~ooN meN

Yeh dard-o-ranj ka maosam guzar hee jae ga
kabh~ee to aae gee faSl-e-bahaar aaNkh~ooN meN

suraaGh-e-hastee-e-meHboob milne wala hai
mile haiN naqsh-e-kaf-e-paa-e-Yaar aaNkh~ooN meN

aashuftagee ne bigaRa woh Haal Ghurbat meN
maiN khud se mil ke huwa sharmsaar aaNkh~ooN meN

a'zaab-e-kashmakash-e-aarzu se taNg aa kar
uTh~a raha hooN qadam su-e-daar aaNkh~ooN meN

jamaal-e-Yaar ne chunwa deye mujh~e tinke!
"Yeh kis ne rakh~ dee hai taSweer-e-Yaar aaNkh~ooN meN"
(moHtaram Abdullah Nazir SaHib ka miSra' hai)

hamara raonaq-e-dunYa meN dil naheeN lagta
lage haiN karne SaleebooN se payaar aaNkh~ooN meN

Woh tishnagee hai muz^affar ke ashk pee pee kar!
rakh~a hai rishtah-e-jaaN ustawaar aaNkh~ooN meN


aashuftagee ne bigaRa woh Haal Ghurbat meN
maiN khud se mil ke huwa sharmsaar aaNkh~ooN meN


Aapke is sheAr meiN lafz "aashuftagi " jo mus'taf'ilun ke vazn per hei usko aap ne "ashuftagi" mufaa'ilun ke vazn per isteAmaal kiyaa hei jo nazar-e-caani kaa muHtaaj hei.

BahrHaal meri is kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[/color]

Aapka MukhliS,
Nazir.

[/b][/size]

Posted: Tue Nov 14, 2006 12:47 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Janab Abdullah Nazir SaHeb aadaab! :-)

aap ka teh-e-dil se shukrguzaar hooN keh aap ne khaaksar kee ma'mulee see kawish par iz^ahaar-e-kheYaal karna gawarah kiYa.
aap kee tajweez-o-mashwarah ke liYe aap ka marhoon-e-minnat rahooN ga.

khuda aap ko SeHet-o-salamatee se bh~arpoor daraaz-e-u'mr se nawaze(aameen)

ijazut chahooN ga!

Wassalam
khadim
muz^affar

Posted: Tue Nov 14, 2006 12:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara jee aadaab!

koi bhi baat jo dil mein ho aankhon ke zariye izhaar hojaati hai

aapki ye tehreer mein jis tarah aapne khayalaat ka lafzon

mien izhaar kiye hain bohat pasand aaya. meri jaanib se daad


aap un chand logooN meN se haiN jin ko meree Yeh t^arZ^-e-teHreer pasand aaee hai. :-)

is liYe siraapa sipaas hooN. khuda aap ko salamat rakh~e!

ummeed hai aae,ndah bh~ee YooN hee himmat baRh~atee raheeN geeN!


Wassalam
muz^affar
[/quote]