Page 1 of 1

guzarish #23 per hamaara adna kalaam pesh hai

Posted: Sat Nov 11, 2006 6:53 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aapkay diye huay micray per hamaari adna kaavish hazir hai.

gar qubool uftad zahay.............

arz kiya hai........

bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Posted: Sat Nov 11, 2006 1:47 pm
by Shummu
Salam haamid jee...hasb-e-m'aamol bahut hi fikrangez tehreer hai aapki.....hum aapki soch ko daad dete hain.... :)

Allah hum sab ko kehne sunne se zyaada amal ki taufeeq ata farmaaye..Ameen!

shukriya

Posted: Sat Nov 11, 2006 3:02 pm
by haamidbaaqri
Shummu wrote:Salam haamid jee...hasb-e-m'aamol bahut hi fikrangez tehreer hai aapki.....hum aapki soch ko daad dete hain.... :)

Allah hum sab ko kehne sunne se zyaada amal ki taufeeq ata farmaaye..Ameen!
wa alaikumu ssalaam
mohtaramah shumaila saahebah

bahut bahut shukriya aapki mukhlisaanah daad ka.

aap bilkul sahi farmaati hai.n.

allah(sbhnwt)hum sabko nek 'amal baja laanay ki taufeeq 'ata farmaaye.aameen.

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sat Nov 11, 2006 7:05 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hamid baqree SaHeb :salaam2:

kese mizaaj haiN kafee A'arSah ke ba'd raonaq afrooz huwe haiN.
Ghuzarish 23 ke teHet aap ka kalaam dekh~ne ka sharf mila. kiYa kehne sabh~e she'er lajawaab aor apnee micaal aap haiN.

aap ke makhSooS rang ke saath~ aap ka kalaam bila shubah HaseeN aor pur acar hai.



bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee

bohot khoob!! waah waah! bohot u'mdah matla' kaha hai aap ne =D>

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee

kiYa kehne!!waah waah bohot khoob Yahee Haqiqat bh~ee hai! mashallah

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"

waah! waah!

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee

kiYa kehne waah waah kiYa achch~a hai waah! mashallah

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee

bohot khoob! waah! waah! kiYa kehne!! waah! waah!

moHtaram Hamid bh~aee meree janib se dilee mubarak baad aor dad ubool kijiYe!

khuda aap ko SeHet Yaab rakh~e!

Wassalam
muz^affar

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Nov 12, 2006 6:43 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 23 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal aapke makhSooS andaaz meiN bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAHIZAAT:

bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee


Waah waah, bahut khoob, bahut achcha Tanziyah MaTlaA hei.

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee


Waah waah, kyaa kehne. NaSeeHat kaa bahut achcha andaaz hei.

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"


Waah waah, bahut khoob. Bahut hee achchi gireh lagaayi hei aap ne.

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee


Bilkul SaHeeH farmaayaa aap ne. Ham kisqadar ghaflat meiN mubtalaa heiN, ham ko khud andaazah nahiN hei.

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee


Bahut khoob maqTaA hei. Waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


shukriya

Posted: Mon Nov 13, 2006 5:56 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid baqree SaHeb :salaam2:

wa alaikumussalaam muzaffar bhai

kese mizaaj haiN

jee al hamdulillah hum bilkul theek hai.n.



kafee A'arSah ke ba'd raonaq afrooz huwe haiN.


jee haa.n idhar kuch apnay zaati kaamo.n mei.n masrroof rahe.n hai.n hum.

Ghuzarish 23 ke teHet aap ka kalaam dekh~ne ka sharf mila. kiYa kehne sabh~e she'er lajawaab aor apnee micaal aap haiN.

bahut bahut shukriya aapka keh aapnay hamaaray adnah kalaam kau pasand farmaaya aur apni beshqeemti daad kay qaabil samjha.

aap ke makhSooS rang ke saath~ aap ka kalaam bila shubah HaseeN aor pur acar hai.

mohabbat hai aapki.

bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee

bohot khoob!! waah waah! bohot u'mdah matla' kaha hai aap ne =D>

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee

kiYa kehne!!waah waah bohot khoob Yahee Haqiqat bh~ee hai! mashallah

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"

waah! waah!

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee

kiYa kehne waah waah kiYa achch~a hai waah! mashallah

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee

bohot khoob! waah! waah! kiYa kehne!! waah! waah!

moHtaram Hamid bh~aee meree janib se dilee mubarak baad aor dad ubool kijiYe!

hum aapkay mamnoon hai.n.

khuda aap ko SeHet Yaab rakh~e!

aap kau bhi allah(sbhnwt) salaamat rakkhe janaab

Wassalam
muz^affar
mukhlis
haamidbaaqri

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Nov 13, 2006 6:00 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 23 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal aapke makhSooS andaaz meiN bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAHIZAAT:

bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee


Waah waah, bahut khoob, bahut achcha Tanziyah MaTlaA hei.

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee


Waah waah, kyaa kehne. NaSeeHat kaa bahut achcha andaaz hei.

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"


Waah waah, bahut khoob. Bahut hee achchi gireh lagaayi hei aap ne.

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee


Bilkul SaHeeH farmaayaa aap ne. Ham kisqadar ghaflat meiN mubtalaa heiN, ham ko khud andaazah nahiN hei.

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee


Bahut khoob maqTaA hei. Waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki musalsal hauslah afzaayee, dilee mubaarakbaad aur daad kay hum behad mamnoon o mashkoor hai.n.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

Re: guzarish #23 per hamaara adna kalaam pesh hai

Posted: Sun Nov 19, 2006 11:01 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto

aapkay diye huay micray per hamaari adna kaavish hazir hai.

gar qubool uftad zahay.............

arz kiya hai........

bandagi jau kartay hai.n, nafs aur shaitaa.n kee
kar rahay hai.n woh dekho,baat deen o-eemaa.n kee

aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee

kaisay kaisay logo.n nay, jaankanee kay 'aalam mei.n
"dhajjiyaa.n udadee hai.n, apnay hi giraybaa.n kee"

aaj jau zamee.n per hai.n, kal zameen mei.n haungay
jaan kar bhi anjaa.n hai.n, baat hum yeh qur'aa.n kee

jau gunaa'h kartay hai.n, is jahaan mei.n haamid
shakl laykay utthe.ngay, hashr mei.n woh haiwaa.n kee

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
wah wah bhaiyya! sabhi ashaar bohat khoob hain dili daad aur mubarakbaad qubool keejiiye

sara
salaamun alaikum
azeezah sara

aapki dilee daad aur mubarakbaad ka hum tahay dilsay shukriya ada kartay hai.n. aur allah(sbhnwt)say dua kartay hai.n keh woh hamaari behan per apni rehmato.n ki baarish karay.aameen

khush rahiye.
aapka bhai
haamid

Posted: Wed Nov 29, 2006 1:44 pm
by muhammad_19k


Janab Hamid Baaqri Sabhi

Tasleemat !!!

Aap ka makhsoos rang obhat pasand ayaa. oar khasoosun ye wala shair,

[colo=blue]aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee [/color].

bohat hi khooob naseehat amoz bayaan hei.

Allah kare zor e qalam oar ziada


duago,

Muhammad Khawar.

shukriya

Posted: Wed Nov 29, 2006 3:58 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:

Janab Hamid Baaqri Sabhi

Tasleemat !!!

Aap ka makhsoos rang obhat pasand ayaa. oar khasoosun ye wala shair,

[colo=blue]aao fikr karle.n hum, aakhirat kay saamaa.n ki
chaar din ki hauti hai, zindagi har insaa.n kee [/color].

bohat hi khooob naseehat amoz bayaan hei.

Allah kare zor e qalam oar ziada


duago,

Muhammad Khawar.

salaamun alaikum
mohtaram mohammed saahib

kalaam kau pasand farmaanay aur apni purkhuloos daad say hame.n nawaanay keliye hum aapkay behad shukrguzaar hai.n.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri