Page 1 of 1

Posted: Sun Nov 12, 2006 6:19 am
by Hashmat Usmani
Bhulaataa laakh huuN lekin baraabar yaad aate haiN

1.
Bhulaataa laakh huuN lekin baraabar yaad aate haiN
Ilaahii! tark-e-ulfat par vo kiuN kar yaad aate haiN

2.
na chheR, ai ham_nashiiN! kaifiiyat-e-sai'hbaa ke afsaane
sharaab-e-be_Khudii ke mujh ko saaGhar yaad aate haiN

3.
rahaa karte haiN qaid-e-hosh meN, ai waaye naa_kaamii!
vo dasht-e-Khud_faraamoshii ke chakkar yaad aate haiN

4.
nahiiN aatii to yaad unkii mahiinoN bhar nahiiN aatii
magar jab yaad aate haiN to aksar yaad aate haiN

5.
Haqiiqat khul gaii, 'Hasrat!' tere tark-e-moHabbat kii
tujhe to ab vo pahle se bhii baRh kar yaad aate haiN

Great Presentation

Posted: Sun Nov 12, 2006 4:58 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Wah Sara jee Wah, bohot khoob, Hsrat Mohani ka kalaam to lajawab hai hee, magar aap kee presnetation ka bhi jawab naheen hai, aap nay jis khoobsorat saleeqay say klaam pesh kiya hai iss kee jitni bhi tareef kee jai kam hai.
it s really great work. well done.
Saffy

Posted: Mon Nov 13, 2006 2:46 pm
by zmufti
Image

Posted: Mon Nov 13, 2006 2:47 pm
by zmufti
Image

Posted: Mon Nov 13, 2006 2:53 pm
by zmufti
Image

Posted: Mon Nov 13, 2006 2:56 pm
by zmufti
Image

Posted: Mon Nov 13, 2006 2:57 pm
by zmufti
Image

Posted: Mon Nov 13, 2006 10:59 pm
by Hashmat Usmani
hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii


1.
hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii
ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabii'at bhii

2.
jo chaaho sazaa de do, tum aur bhii Khul khelo
par ham se qasam le lo kii ho jo shikaayat bhii

3.
Khud 'ishq kii gustaaKhii sab tujh ko sikhaa degii
ai Husn-e-Hayaa_parvar! shoKhii bhii, sharaat bhii

4.
'ushshaaq ke dil naazuk, us shoKh kii Khuu naazuk
naazuk isii nisbat se hai kaar-e-moHabbat bhii

5.
ai shauq kii be_baakii! vo kia terii Khovaahish thii
jis par uNheN Ghussa hai, inkaar bhii, Hai'rat bhii

6.
haiN "Shad"-o-"Saafii" shaa'ir, yaa "Shauq"-o-"Wafa", "Hasrat!"
phir "Danish"-o-"Mai'Hshar" haiN, "Iqbal" bhii "Vai'Hshat" bhii

Posted: Mon Nov 20, 2006 6:30 am
by hassan_bashir
[align=center]

ab to uTh sakataa nahiiN aaNkhoN se baar-e-inteZaar
kis tarah kaaTe koii lail-o-nahaar-e-inteZaar



un kii ulfat kaa yaqiiN ho un ke aane kii ummiid
hoN ye donoN suurateN tab hai bahaar-e-inteZaar



merii aaheN naa-rasaa merii duaayeN naa-qubuul
ya ilaahii kyaa karuuN maiN sharm-saar-e-inteZaar



un ke Khat kii aarzuu hai un ke aamad kaa Khayaal
kis qadar phailaa huaa hai kaarobaar-e-inteZaar




~ Hasrat Mohani ~[/align]