Page 1 of 1

urdu bandhan ke liye meri taza ghazal

Posted: Sun Nov 12, 2006 10:38 am
by Ehsan Raza

PAOON TAPTEE RET PE CHALKE BHI GEELEY HO HO GAYE

ISHQ KE ANDAAZ KUCH ITNEY RANGEELEY HO GAYE
PAOON TAPTEE RET PE CHALKE BHI GEELEY HO GAYE

HAI PASEY PARDA KOI TO RAAZ USKE ISHQ MEN
AAJ USKE BOL BHI KITNE SUREELEY HO GAYE

DOSTON KA MUSKURAATA DHOOP CHEHRA DEKH KER
DUSHMANO SE PYAAR KARNE KE WASEELEY HO GAYE

GUFTUGU NE BHI BADAL DALA LAB-O- LAHJE KA RANG
BAAT HI KARNE SE USKE HONT NEELEY HO GAYE

THEY JAHAN HER SOO MAHAKTEY KHUSHBOON KE QAFILEY
AB WAHAN BAROOD SE TAYAR TEELEY HO GAYE

TITLIYON NE RANG BHI BADLE HAIN GIRGIT KI TARHA
JO GULABI AOR PEELEY THEY MATEELEY HO GAYE

PHOOL MEN KHUSHBOO KAHAN AB RANG MAUSAM MEN KAHAN
ZAYEQEY ABTO HER IK RUT KE KASEELEY HO GAYE

GHAM KE IN BAGHI FARISHTON SE BANAKER DOSTEE
AANKH KE AANSOO BHI LAGTA HAI NASHILEY HO GAYE

KHARZARON KI TO FITRAT HAI NAHIN IN SE GILA
PHOOL KIYON E H S A N GULSHAN KE NUKEELEY HO GAYE
[/color
[/color][/size]][/size]
[/color]

Posted: Mon Nov 13, 2006 12:34 pm
by Ehsan Raza
JANBA SARA SAHIBA
PATA NAHIN AAP UMER MEN CHOTEE HAIN UA BARHEE IS LIYE AGAR AADABO ALQAB MEN KAHI KAMEEN RAHJAYE TO MAFF FARMAYEGA GHAZAL PASAND AAYEE SHUKRIA QUBOOL KIJIYE.

aapki taazah ghazal ke liye shukriyah

Posted: Tue Nov 14, 2006 3:24 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Ehsan Raza SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil taazah ghazal nazar-navaaz houee jiske liye dili shukriyah qubool farmaayiye:

ISHQ KE ANDAAZ KUCH ITNEY RANGEELEY HO GAYE
PAOON TAPTEE RET PE CHALKE BHI GEELEY HO GAYE

HAI PASEY PARDA KOI TO RAAZ USKE ISHQ MEN
AAJ USKE BOL BHI KITNE SUREELEY HO GAYE

DOSTON KA MUSKURAATA DHOOP CHEHRA DEKH KER
DUSHMANO SE PYAAR KARNE KE WASEELEY HO GAYE

GUFTUGU NE BHI BADAL DALA LAB-O- LAHJE KA RANG
BAAT HI KARNE SE USKE HONT NEELEY HO GAYE

THEY JAHAN HER SOO MAHAKTEY KHUSHBOON KE QAFILEY
AB WAHAN BAROOD SE TAYAR TEELEY HO GAYE

TITLIYON NE RANG BHI BADLE HAIN GIRGIT KI TARHA
JO GULABI AOR PEELEY THEY MATEELEY HO GAYE

PHOOL MEN KHUSHBOO KAHAN AB RANG MAUSAM MEN KAHAN
ZAYEQEY ABTO HER IK RUT KE KASEELEY HO GAYE

GHAM KE IN BAGHI FARISHTON SE BANAKER DOSTEE
AANKH KE AANSOO BHI LAGTA HAI NASHILEY HO GAYE

KHARZARON KI TO FITRAT HAI NAHIN IN SE GILA
PHOOL KIYON E H S A N GULSHAN KE NUKEELEY HO GAYE


aek ArSah baAd is zameen meiN aapki ghazal paRhne ko mili jiske liye mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.