MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN
Posted: Sun Nov 12, 2006 11:27 am
MaN hi MaN Kuch bol rahi haiN chaltee phirtee ankheN
Amrit meN vish ghol rahee hain chaltee phirtee ankheN dekh
kacchi mitti ke bartan men piyaar ki sondhi khushboo leker
Madira peeke dol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh
Palkon ko patwaar banaker sagar ki lehron men jaaker
Apna rasta khol rahi haiN chaltee phirtee ankheN dekh
Raoshan chehron ki aankhoN men armano ke deep jalaye
urhne ko per tol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh
piyar samander ki seepoN ko jhootey jhootey khaab dikha ker
sacchey motee rol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh
HathoN meN meezan uthaey aankh pe kali patti badhey
Paisey pe haq tol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh
pet meN taptee aag sajaye mayoosee ki chader oorhey
Muflis ka kashkol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh
[/color][/size]