Page 1 of 1
Re: " dh~ajjiYaaN uRa deeN haiN apne hee garibaaN kee&q
Posted: Mon Nov 13, 2006 7:02 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Salaam dosto,
ummeed ke aap sab kahiriyet se hounge, aek arse baad
moshaire mein hissa le rahi hoon
is baar misra e tarha per girah lagana aur ashaar kehna
mere liye bohat mushkil tha phir bhi kuch na kuch tou likh hi di
duniya ke halat hazira ko nazar mein rakhte hue,
aur ustad e mohtaram ki islah ke baad yehan pesh kar rahi hoon.
ummed ke koshish pasand fermayenge.
Ghazal
1. dekhiye jo haalat hei, dehr meiN musalmaaN kee
"dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee"
2. dil meiN karb-e-tanhaayi, ashk dhundli aankhaoN meiN
dhoondti hai maaN kalyaaN, apne hi gulistaaN kee
3. amn ke taqaaze heiN, jang kee hei tayyaari
kyaa houee khudaa jaane, fikr-e-khair insaaN kee
4. saanseN aati jaati heiN, aadami kee har lamHah
bheek zindagi jaise, hou kisi ke eHsaaN kee
5. furqat-e-shab-e-gham meiN, souchti hei yeh Saara
jaane kiyuN hei yooN qismat, ik gareeb insaaN kee
salaamun alaikum
azeezah sara
kaisee hai.n aap?
aapka kalaam nazar nawaaz hua.
hame.n aapki yeh ghazal bahut acchee lagee.
khaasker girah........bahut khoob.....kya kehnay.....hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaaye.n aur yu.n hi tadreejan aagay badhti rahe.n yahi hamaari dilee dua hai.
aapka bhai
haamid
Bahut khoob, bahut achchi kaavish hei
Posted: Mon Nov 13, 2006 10:05 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara JabeeN SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 23 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal aek kaamyaab koushish hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Ghazal
1. dekhiye jo haalat hei, dehr meiN musalmaaN kee
"dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee"
2. dil meiN karb-e-tanhaayi, ashk dhundli aankhaoN meiN
dhoondti hai maaN kalyaaN, apne hi gulistaaN kee
3. amn ke taqaaze heiN, jang kee hei tayyaari
kyaa houee khudaa jaane, fikr-e-khair insaaN kee
4. saanseN aati jaati heiN, aadami kee har lamHah
bheek zindagi jaise, hou kisi ke eHsaaN kee
5. furqat-e-shab-e-gham meiN, souchti hei yeh Saara
jaane kiyuN hei yooN qismat, ik gareeb insaaN kee
Bahut achchi fikr hei aur achche ashAar heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Nov 13, 2006 12:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Sara JabeeN SaHebah tasleem!
kese mizaaj haiN?
aap kee Guzarish 23 ke teHet Ghazal dekhne kee sa'adat milee. moHtaram Abdullah Nazir SaHeb ke tabSira' ke ba'd mazeed likh~ne kee koee gunjaee,sh reh naheeN jatee. lekin tab bh~ee apnee janib se dad aor mubarak baad dena to apna farZ^ samajh~ta hooN. so dilee dad qubool kijiYe!
1. dekhiye jo haalat hei, dehr meiN musalmaaN kee
"dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee"
waah! bohot khoob!
2. dil meiN karb-e-tanhaayi, ashk dhundli aankhaoN meiN
dhoondti hai maaN kalyaaN, apne hi gulistaaN kee
waah kiya kehne!
3. amn ke taqaaze heiN, jang kee hei tayyaari
kyaa houee khudaa jaane, fikr-e-khair insaaN kee
waah! bohot u'mdah!
4. saanseN aati jaati heiN, aadami kee har lamHah
bheek zindagi jaise, hou kisi ke eHsaaN kee
kiya kehne!! waah waah!
5. furqat-e-shab-e-gham meiN, souchti hei yeh Saara
jaane kiyuN hei yooN qismat, ik gareeb insaaN kee
kiya kehne! waah!
Sara jee! aap se Yeh kehna Ghalat^ nah ho ga keh aap aaj kal kam kam hee bazm meN aateeN haiN. aap aese sukhan warooN se hee tao meHfil jaagtee hai. agar aap tashreef nah laeeN geeN ya kam kam aaeeN geeN tao bazm sunsaan sunsan lage gee. aor woh laog jo meHfil meN kam aate haiN meHfil ko khamoosh pa kar wapis chale jaeeN ge.
aap aatee raha kareeN tao ham sab aap ke marhoon-e-minnat hooN ge.
in hee guzarishaat ke ba'ad ab ijazut chahooN ga.
aap khush raheeN!
Wassalam
mukhliS
muz^affar