Page 1 of 8

Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...

Posted: Wed Nov 15, 2006 4:01 pm
by Shummu
yeh mehfil zaahidaan-e-Khushk kii mehfil hai ai riNdo!
zara is bazm meiN zikr-e-sharaab aahista aahista!!

Posted: Thu Nov 16, 2006 6:43 am
by hassan_bashir
piinaa haNsii nahiiN hai baRaa zarf chaahiye
kausar nahiiN ye, hazrat-e-zaahid, sharaab hai
:twisted:

Posted: Fri Nov 17, 2006 12:16 pm
by Shummu
tum nahi ,gham nahi ,sharaab nahi
aisi tanhaai ka jawaab nahi

Posted: Fri Nov 17, 2006 12:39 pm
by hassan_bashir
mai rahe, miina rahe, gardish meiN paimaana rahe,
mire saaqi tuu rahe, aabaad maikhaana rahe!!!!!!!!

Posted: Fri Nov 17, 2006 4:36 pm
by Shummu
saaqi khumaar-e-ishq ke baa'is hooN be.qaraar
varna nasha to tha nahiN teri sharaab meiN

Posted: Fri Nov 17, 2006 4:42 pm
by hassan_bashir
mire saaqiyaa, mire saaqiyaa, tujhe marhabaa, tujhe marhabaa,
tuu pilaaye jaa, tuu pilaaye jaa, isii Chashm-e-jaam ba jaam se!

Posted: Sat Nov 18, 2006 6:05 pm
by hassan_bashir
na Guul khile haiN, na unase mile, na mai pii hai,
ajeeb raNg meiN ab ke bahaar guzarii hai!!!!!!!!!!

"mai"

Posted: Sun Nov 19, 2006 3:44 am
by Abdullah Nazir



"jaam-e-mai taubah shikan, taubah miri jaam shikan

saamne Dher heiN Tooe houe paimaanaoN ke".


Shaayer: RiaZ khair-aabaadi(yaaddasht se)


Nazir.


Posted: Sun Nov 19, 2006 11:32 am
by hassan_bashir
har taraf shor hai, *sahaab sahaab*
*saaqiyaa! saaqiyya!!* *sharaab sharaab*

"mai"

Posted: Sun Nov 19, 2006 5:39 pm
by Abdullah Nazir



teri aankhaoN se moyassar jo mai-e-ulfat hou

jaam o saaghar kee Zaroorat hei nah maikhaane kee.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Mon Nov 20, 2006 1:49 pm
by hassan_bashir
maiKhaane kii baat na kar vaa'iiz mujhase
aanaa jaanaa tiraa bhii hai miraa bhii
:grin:

"mai"

Posted: Tue Nov 21, 2006 6:08 am
by Abdullah Nazir



"taubah karte heiN mai bhee peete heiN

yeh bhee jaari hei wo bhee jaari hei".


Shaayer: naamaAloom



Nazir.


Posted: Thu Nov 23, 2006 11:32 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:ye Kuwait ke sheikh ke liye :wink:

sheikhji thoRi see peekar aa'iye

mai hai kya shai phir hume batlaa'iyee
malika-e-Hind ke naam: :grin:

tiree nigah-e-mast ne maKhmuur kar diyaa,
kyaa maikade ko jaauN tujhe dekhne ke baad?!

Posted: Thu Nov 23, 2006 11:55 am
by praise
ab to jaam ho saaqii ho mere pahaluu me.n
ko_ii to shaam mujhe aisii suhaanii de de

Posted: Thu Nov 23, 2006 11:57 am
by praise
nashaa aa jaaye mujhe terii javaanii kii qasam
tuu agar jaam me.n bhar ke mujhe paanii de de