Page 1 of 1
Posted: Mon Nov 20, 2006 1:20 pm
by sbashwar
Mohtarama Sara Sahiba
Bohat hi achchi ghazal share karne ka shukria.
Posted: Wed Nov 22, 2006 9:28 am
by muhammad_19k
Miss Sara,
aap ke ashhar oar ideas bohat achche haiN. meiN heeran hoon ke Nazir sb ne abhi tak in par koi tabsara kyooN nahi kiya.
Mujhe tamam ashaar meiN meiN "kaafiya" ghaib lag raha hei iss leeaye meiN in ko "Ghazal" kehne se hichkuch rahaa hooN. kissi ahl e ilm ki raa-aye ka intezaar rahe ga.
Posted: Wed Nov 22, 2006 10:50 am
by praise
nice sharing saraa ji.
aazaad ghazal
Posted: Wed Nov 22, 2006 3:24 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat, :)
aapki pesh kee houee Banu Tahirah Sayed kee ghazal per gulban kee site er Dilshad Nazmi SaaHib kaa tabSirah bilkul SaHeeH hei ke us meiN qawaafi ke iltizaam ko malHooz nahiN rakhkhaa gayaa hei.
Banu Taahirah Sayed aek muqallid kee haiciat se qaabil-e-darguzar heiN. DaraSl India ke aek bahut achche shaayer Janab Mazhar Imaam ko khudaa jaane kyaa soojhi thee ke aazaad nazm ko nazar meiN rakhte houe unhouN ne aazaad ghazal kee ieejaad kee. Jab un per bahut ziyaadah iAtiraaZaat houe ke chouTe aur baRe miSraAoN kaa ikhtilaat ghazal ke pairahan meiN bilkul naamunaasib hei tou wo yeh samjhootah karke mutma'in hougaye ke aek hee ghazal meiN mukhtalif qaafiye isteAmaal kiye jaayeN.
qawaafi kaa ikhtilaaf qadeem shoAaraa ke paas bhee miltaa hei magar Aam nahiN houaa. Micaal ke Taur per Raiees ul mutaghazzileen Mumin kee aek ghazal kaa maTlaA yuN hei:
"qaaboo meiN nahiN hei dil-e-kam HauSalah apnaa
is jaur peh jab karte heiN mujh se gilah apnaa"
Ab baaqi ke qawaafi mulaaHizah farmaayiye:
ghulghulah, mashghalah, silsilah, qaafilah, faiSalah, walvalah, aablah, Silah.
Iske maAni yeh heiN ke ghazal meiN "lah apnaa" ko radeef banaayaa gayaa hei aur qaafiye meiN zer o zabar ko jaayiz rakhkhaa gayaa hei . Is micaal ko ham shaaz o naadir maankar yeh kaheNge ke isko aek musallamah qaaAidah samajhkar uski pairavee karnaa munaasib nahiN.
Warnah yeh hougaa ke naye shoAaraa aur shaayeraat apne kalaam meiN lafz "changa" isteAmal karne kaa yeh javaaz pesh karenge ke "Meer" ke aek sheAr meiN isteAmaal houaa hei. Waise hee "Hareem" ko mu'annac baandhkar yeh daleel pesh karenge ke Jigar Muraadabaadi ne is lafz ko mu'annac baandhkar yeh mulaaHizah likhkhaa hei keh is lafz ko muzakkar baandhnaa unkaa mizaaj-e-saleem gawaaraa nahiN kartaa. Saari lughaat meiN jabkeh yeh lafz muzakkar hei aisi shaaz micaalaoN ko apnaanaa meri nazar meiN Theek nahiN hei.
Arabi meiN aek Harf ke saath meiN zer, zabar yaa pesh ko bhee radeef samjhaa jaataa hei jaise imra'ilQais kaa mash'hoor maTlaA hei:
"Qifaa nabki min zikraa Habeebin wa manzili
be'sakhTil-liwaa bain aldakhooli fa Haumali"
Is meioN Harf "laam" ke neeche zer kee paabundi rakhi gayi hei jisko ham radeef keh sakte heiN aur is se pahle kee Alaamaat usi TaraH se munavviA hei jaisaa ke Mumin ke paas.
Is meiN shak nahiN ke aisi aasaaniyaoN ke zariyeA kehne waalaoN ko ziyaadah aazaadi milti hei ke wo apne mazaameen baandh sakeN lekin shaayeri meiN pahli see dilkashi baaqi nahiN rehti.
Is mauZooA per yeh mujh Talib-e-ilm kee aaraa heiN. Agar muHaqqiqeen apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA deN tou kyaa hee achchaa hou.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Wed Nov 22, 2006 7:39 pm
by muhammad_19k
Mein Janab Abdullah Nazir oar Sara ji ka shukar guzar hooN ke itna tafseel se wazahat ki gayee