"naheeN meHshar bapa hona to koee inqelaab aaeY"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

"naheeN meHshar bapa hona to koee inqelaab aaeY"

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]
Yaran-e-meHfil aadaab! aek t^areeHee Ghazal pesh-e-khidmat hai.
mulaHeZ^ah farma kar mashkoor hooN!
beHer=hazaj mucaman salim
=1222.....1222......1222.....1222


sar-e-meHfil wo sab ke rubaru jo be Hijaab aaeY

siwa is seY kaho ab aor kiya raoz-e-Hisaab aaeY.


go lamHah jaaN kuny ka hai.magar aey jazbah-e-ulfat

nah hoNtooN par sawaal aaey na aaNkhooN meN jawaab aaeY.


quSur apna hiy nikla jab bhi munSif ban kee socha hai

muqaabil tiyer anda^zooN kee ham ban kar" Habaab" aaeY.


mila yeh Hukm jis din seY howY ham khanumaaN barbad

koy nah khuchah-e-janaN meN ab khana kharaab aaeY.


mera waraftagy se ab kaleeja munh ko aata hai

jo darya samne dekh~ooN samajhta hooN saraab aaeY


keetab-e-madrasah ke har waraq par teree Surat ho

khudaya maktab-e-ulfat meN aaysa bhee niSab aaeY


shikastah ho chuke hooN iltifaat-e-yaar key saGhar

to kiya saaqee kee janib sey bhara jaam-e-sharab aaeY


gae theY shakh jee peene pilaneY meykadaY kee samt

magar beY mehree-e-saqee se kh~a kar pech-o-taab aaeY


jala dala hai us keY khat kow maiN neN apneY hathooN seY

maiN darta hooN mery basty peh nah koy "a! tab " aaeY (a! zab.muSybat)


najaneY kesy haYbat hai zamyeN bhee kanp utth~ee hai

naheeN meHshar bapa hona to koy inqalab aaeY


yeh kesee kashmakash hai dil luta jata hai seene meN

"magar chitwan yeh kehty hai keh aaeY owr Hajab aaeY"


tujheY hee muntakhib karna tha khud kow khow keY chahat meN

kara tha ishq ka sawda anokheY intakh~ab aaeY


hameN pehchhan leteY haiN faqeery meN bhy jag waleY

kisee bh~ee rah seY guzreN wo kehteY haiN nawab aaeY


likh~a ta'beer meN ho jis kee milna do kinaroon ka.

mere muddat seY Hasrat hai. kabhy aysa bhy khuwab aaeY



koee cany naheeN hai "muSt^afa"(SWAWS)ka sareY a!alam meN

Haqiqat hai wo ban kar aap hee apna jawab aaeY


jiYe haiN ham bhee is dunya-e-fany meN magar aysY

nah aaNkhooN par chaRh~ee charby nah chehreY par niqab aaeY.


ab apna jo bhee a! ´alam hai. mu^zaffar mukhtasir keh deY

keh jeYseY seekh par pakta howa koee kabab aaeY
Muzaffar Ahmad Muzaffar.
[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
MoHammed Ahmed SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jisked liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

sar-e-meHfil wo sab ke rubaru jo be Hijaab aaeY
siwa is seY kaho ab aor kiya raoz-e-Hisaab aaeY.


MaTlaA mafhoom ke liHaaz se bahut achchaa hei, waah waah. Zabaan ke muHaavire meiN ham "se siwaa" aur "ke siwaa" isteAmaal karsakte heiN. Iske siwaa = (with the eception of this) aur Had se siwaa hounaa = Had se guzar jaanaa, aap shayad apne doosre miSreA meiN yuN kehnaa chaaht heiN "siwaa is ke kahaiN ab aur kyaa, roaz-e-Hisaab aaye"

go lamHah jaaN kuny ka hai.magar aey jazbah-e-ulfat
nah hoNtooN par sawaal aaey na aaNkhooN meN jawaab aaeY.


Bahut khoob, waah waah.

quSur apna hiy nikla jab bhi munSif ban kee socha hai
muqaabil tiyer anda^zooN kee ham ban kar" Habaab" aaeY.


Habaab lbankar aane se aapki muraad hei ke ham khud bahut kamzour shakhSiyyat bankar zaahir houe. Dekhiye aap yeh mafhoom adaa karne meiN kahaaN tak kaamyaab houe heiN.

mila yeh Hukm jis din seY howY ham khanumaaN barbad
koy nah khuchah-e-janaN meN ab khana kharaab aaeY.


Accha sheAr hei, waah waah. Meri nazar meiN doosre miSreA ko yuN kehnaa behtar hei:
nah koii koocha-e-jaanaaN meN ab khanah-kharab aaye

mera waraftagy se ab kaleeja munh ko aata hai
jo darya samne dekh~ooN samajhta hooN saraab aaeY


Mafhoom ke liHaaz se waaraftagi ke nateejeh ke Taur per tou yeh hounaa chaahiye ke agar saamne saraab bhee aayeN tou yeh samjheN ke daryaa saamne aagayaa hei. Aapka mafhoom bilkul bar-Aks hei jiski vaZaaHut aap hee karsakte heiN.

keetab-e-madrasah ke har waraq par teree Surat ho
khudaya maktab-e-ulfat meN aaysa bhee niSab aaeY


Yeh sheAr bhee mafhoom ke liHaaz se mushkil hougayaa hei. MukhaaTibat Khudaa se hei tou uski Soorat kaa taSavvur ghair Haqeeqi hei. Yeh sheAr aapki nazar-e-caani kaa muHtaaj hei.

shikastah ho chuke hooN iltifaat-e-yaar key saGhar
to kiya saaqee kee janib sey bhara jaam-e-sharab aaeY


SheAr achchaa hei, waah waah. Pahle miSreA meiN "yaar" aur doosre meiN "saaqi" ke munfaSil daur kee kyaa tashreeH hougi.

gae theY shakh jee peene pilaneY meykadaY kee samt
magar beY mehree-e-saqee se kh~a kar pech-o-taab aaeY


vaaZeH sheAr hei. Waah.

jala dala hai us keY khat kow maiN neN apneY hathooN seY
maiN darta hooN mery basty peh nah koy "a! tab " aaeY


achchaa sheAr hei, waah waah. Doosraa miSraA agar yuN hou tou behtar hei:
maiN Dartaa hooN, nah basti per miri koii Azaab aaye (taak nah ke lafz ko sirf noon kee Harakat se izhar karsakeN)

najaneY kesy haYbat hai zamyeN bhee kanp utth~ee hai
naheeN meHshar bapa hona to koy inqalab aaeY


Is sheAr meiN zameen ke kaanp uThne ko haibat kaa nateejah kahaa jaarahaa hei aur phir doosre miSreA meiN us haibat ko nazar-andaaz karke kahaa jaarahaa hei keh agar Hash bapaa nahiN hourahaa hei inquilaab hee aajaye.

yeh kesee kashmakash hai dil luta jata hai seene meN
"magar chitwan yeh kehty hai keh aaeY owr Hajab aaeY"


gireh kaa miSraA achchaa hei, agar dil ke seene meiN luTne kaa maTlab samjhaa jaaye tou.

tujheY hee muntakhib karna tha khud kow khow keY chahat meN
kara tha ishq ka sawda anokheY intakh~ab aaeY


doosre miSreA meiN "karaa" boul chaal eiN kehte heiN lekin maaZi kaa seghah "kiyaa" hei.

hameN pehchhan leteY haiN faqeery meN bhy jag waleY
kisee bh~ee rah seY guzreN wo kehteY haiN nawab aaeY


Asl lafz "nav'vab" hei jisko aap ne qaafiye kee riAayat se boul chaal kaa lafz "nawaab" isteAmaal kiyaa hei.

likh~a ta'beer meN ho jis kee milna do kinaroon ka.
mere muddat seY Hasrat hai. kabhy aysa bhy khuwab aaeY


Bahut khoob, waah waah.

koee cany naheeN hai "muSt^afa"(SWAWS)ka sareY a!alam meN
Haqiqat hai wo ban kar aap hee apna jawab aaeY


Bahut khoob, waah waah.

jiYe haiN ham bhee is dunya-e-fany meN magar aysY
nah aaNkhooN par chaRh~ee charby nah chehreY par niqab aaeY.


Is sheAr meiN aek nayaa muHaavirah dekhne ko milaa hei "nah aankhaoN per chaRhee charby".

ab apna jo bhee a! ´alam hai. mu^zaffar mukhtasir keh deY
keh jeYseY seekh par pakta howa koee kabab aaeY


Aap ne maqTeA meiN "kabab" bhee isteAmaal kiyaa hei. Baqaul shaayer ke "kisi ke aate hi saaqi ke aise hush uRe.....sharaab seekh peh Daali kabaab sheeshe meiN"



Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdullah Nazir SaHeb aadaab!

aap ka teh-e-dil se minnat pazeer hooN keh aap ne meree khaSee t^uweel Ghazal ko pasand farmate huwe SalaaH-o-mashwarah se bh~ee nawazah khuda aap ko is ka ajar-e-a'zeen a't^a farma de.

maiN aaj hee Ghazal meN mazkorah tarameem kar dooN ga.
khuda aap ka Haamee-e-naSir ho!

Wassalam
khadim
muz^affar
[/align]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sir Nazir ke malahizaat ke baad,


"mera waraftagy se ab kaleeja munh ko aata hai
jo darya samne dekh~ooN samajhta hooN saraab aaeY "


oar,

'keetab-e-madrasah ke har waraq par teree Surat ho
khudaya maktab-e-ulfat meN aaysa bhee niSab aaeY "

ko kia iss tarah re arrange kiya jaa saktaa hei,

kitaab-e-zeest ke har warq par tasweer ho uss ki
khudaya maktab-e-ulfat meiN aaysa bhi naSab aa-aye

oar

"najaneY kesy haYbat hai zamyeN bhee kanp utth~ee hai
naheeN meHshar bapa hona to koy inqalab aaeY "

ye tabdeeli malahiza ho.

huwa kuch zulm hei aisaa, zameeN bhee kaaNp utthee hei
naheeN meHshar bapa hona toa koi inqalab aa-aye

Mien Sir Nazir or Muzaffar sb se iss dakhal dar maaqoolaat ke leeaye maazarat chahtaa hooN. laikin choonke kuch seekhna chahtaa hooN iss leeaye bohat achhi neeyat se ye harkat ki hei. muaaf farmaye ga oar aapni ra-aye se nawaziaye ga ke in tabdeeloaN ko aap kaise daikhte haIn
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply