Page 1 of 1

"qamar kee soorat"taza ghazal peshe khidmat hai

Posted: Fri Nov 24, 2006 7:04 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

altaf hussain haali ki zameen per hamaari adna see kaavish peshe khidmat hai.

gar qubool uftad zahay....

arz kiya hai....

sangdil humko nazar aaye.n magar ki soorat
rahm dil 'arsh ke taaro.n mei.n qamar ki soorat

tum jiyo dahr mei.n phaldaar shajar ki soorat
zulm say ladtay raho seenah sipar ki soorat

husnay akhlaaq say dil jeetna aata hai jinhe.n
woh nazar aatay hai.n duniya ko sahar ki soorat

jinka eemaan qiyaamat peh qawi hota hai
woh kabhie rahtay nahi.n khaakbasar ki soorat

sab khalaao.n mei.n yahaa.n tayr rahay hai.n har pal
aadmi baithay hue bhi hai.n safar ki soorat

darguzar karkay khataao.n ko hamaari yaarab
hashr mei.n humko utha nek bashar ki soorat

hai zamaanay say bahut aagay yeh qur'aa.n haamid
har ghadi humko lagay taaza khabar ki soorat

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 29, 2006 2:11 am
by Abdullah Nazir

<iJtara,o
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal aapke inffiraadi rang meiN bahut achchi hei jis ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

sangdil humko nazar aaye.n magar ki soorat
rahm dil 'arsh ke taaro.n mei.n qamar ki soorat



tum jiyo dahr mei.n phaldaar shajar ki soorat
zulm say ladtay raho seenah sipar ki soorat

husnay akhlaaq say dil jeetna aata hai jinhe.n
woh nazar aatay hai.n duniya ko sahar ki soorat

jinka eemaan qiyaamat peh qawi hota hai
woh kabhie rahtay nahi.n khaakbasar ki soorat

sab khalaao.n mei.n yahaa.n tayr rahay hai.n har pal
aadmi baithay hue bhi hai.n safar ki soorat

darguzar karkay khataao.n ko hamaari yaarab
hashr mei.n humko utha nek bashar ki soorat

hai zamaanay say bahut aagay yeh qur'aa.n haamid
har ghadi humko lagay taaza khabar ki soorat



Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 29, 2006 3:18 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
<iJtara,o
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal aapke inffiraadi rang meiN bahut achchi hei jis ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

sangdil humko nazar aaye.n magar ki soorat
rahm dil 'arsh ke taaro.n mei.n qamar ki soorat



tum jiyo dahr mei.n phaldaar shajar ki soorat
zulm say ladtay raho seenah sipar ki soorat

husnay akhlaaq say dil jeetna aata hai jinhe.n
woh nazar aatay hai.n duniya ko sahar ki soorat

jinka eemaan qiyaamat peh qawi hota hai
woh kabhie rahtay nahi.n khaakbasar ki soorat

sab khalaao.n mei.n yahaa.n tayr rahay hai.n har pal
aadmi baithay hue bhi hai.n safar ki soorat

darguzar karkay khataao.n ko hamaari yaarab
hashr mei.n humko utha nek bashar ki soorat

hai zamaanay say bahut aagay yeh qur'aa.n haamid
har ghadi humko lagay taaza khabar ki soorat



Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

kaisay hai.n aap?

aapki mukhlisaanah daad aur mubarakbad kay hum behad shukrguzaar hai.n.

allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen

mukhlis
haamidbaaqri