Page 1 of 1

Meri taza tareen Gazal...Khooda ki qasam....................

Posted: Tue Nov 28, 2006 10:18 pm
by jawaid badauni
Dosto! Aadaab

Aap sub ki achchee achchee gazalen dekh kar muhe bhi aaj yeh shauq paida huuwa keh kaafi arce bAAd kuch kaha jaye. Ek bohat mAmuli see gazal abhi abhi huuwee ha jo aapki nazr hai. Ummid hai apni graNqadr aara se nawazeNge.

MuKhliS
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------------





Husn maGroor hai Khooda ki qasam
Ishq majboor hai Khooda ki qasam


MuskuraahaT laboN peh laakh sahee
Gum se dil choor hai Khooda ki qasam


"Qais" ne umr bhar kaha sub se
"Laila" ik Hoor hai Khooda ki qasam


DostoN ke karam arey toba
Dil meN naasoor hai Khooda ki qasam


Sir peh zaalim ke taaj hai lekin
Chehra benoor hai Khooda ki qasam


Thak gaye chalte chalte mere paaooN
Ghar bohat door hai Khooda ki qasam


Waqt.e rooKhsat zara udaas raho
Aisa dastoor hai Khooda ki qasam


Tum karo zulm hum raheN Khaamosh
Hum ko manZoor hai Khooda ki qasam


Shaairee meN hai mubtadee :Jawaid:
Phir bhee mashHoor hai Khooda ki qasam



_______________________________

Bahut khoob, waah waah.

Posted: Wed Nov 29, 2006 2:03 am
by Abdullah Nazir
[]
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki taazah ghazal bahut dilkash hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Husn maGroor hai Khooda ki qasam
Ishq majboor hai Khooda ki qasam


Achchaa maTlaA hei, waah waah.

MuskuraahaT laboN peh laakh saheeh
Gum se dil choor hai Khooda ki qasam


Is sheAr meiN bhee bahut achchaa ehsaas kaarfarmaa hei, waah waah.

"Qais" ne umr bhar kaha sub se
"Laila" ik Hoor hai Khooda ki qasam


Waah waah.

DostoN ke karam arey toba
Dil meN naasoor hai Khooda ki qasam


Achchaa sheAr hei, waah waah. Meri nazar meiN doosraoN kaa karam kehte tou ziyaadah vaZaaHut houjaati.

Sir peh zaalim ke taaj hai lekin
Chehra benoor hai Khooda ki qasam


Waah waah, kyaa kehne.

Dukhne lagte haiN chalte chalte paaoN
Ghar bohat door hai Khooda ki qasam


Waah waah, bahut khoob.

Waqt.e rooKhsat zara udaas raho
Aisa dastoor hai Khooda ki qasam


WaaqaAi yehi dastoor houtaa kei bichaRte waqt udaasi kaa Aalam houtaa hei. Bahut khoob.

Tum karo zulm hum raheN Khaamosh
Hum ko manZoor hai Khooda ki qasam


MeHboob ke zulm o sitam her Haal meiN khamoushi ke saath qubool kiye jaasakte heiN lekin ajnabi zaalim ke zulm per chup rehne kee koushish bhee kareN tou aah nikal jaati hei. SheAr meiN meHboob ke sitam kee Taraf hee ishaarah hei. Waah waah.

Shaairee meN hai mubtadee :Jawaid:
Phir bhee mashHoor hai Khooda ki qasam


Pahle miSreA meiN munkasir-ul-mizaajee kaa aur doosre meiN aek Haqeeqat kaa izhaar hei. Bahut khoob, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

[/b]

Posted: Wed Nov 29, 2006 9:03 pm
by jawaid badauni
MoHtarmee janab Abdullah Nazir SaaHab
Aadaab

Ummid hai mizaaj baKhair hoNge. Bohat din bAAd aap se mulaqqat huuwee tou bohat Khooshee huuwee. Gazal per aap ne daad dee tou maiN samajhta hooN mujhe sanad mil gaii. "Andha kya maaNge dou aankheN."

Aap ne jin ikka dukka mashwaroN se nawazah hai woh sub durust haiN aur main aap ka behud mamnoon hooN. Main apnee ruKhsat.e Hind ke sabab kafi din Gair Haazir rahaa ab uska izalah karne ki koshish karooNga

DoaoN meN shaamil rakhiyega.

Apka muKhliS
Jawiad

Re: Meri taza tareen Gazal...Khooda ki qasam................

Posted: Thu Nov 30, 2006 11:23 am
by muhammad_19k


Salam Jawaid Sb.

Aap ki tamaam hi ghazal shaandaar hei. Ustaad e Mohtaram ke baad kissi oar ke kuch kehne kaa to koi jawaz hi nahi oar na hi koi rai rakhtaa hei. Laikin ye shair itnaa pasand aaya ke likhe baghair na reh saka.
Waqt.e rooKhsat zara udaas raho
Aisa dastoor hai Khooda ki qasam
kia khoobsoorat bayaaN he uss ke laa parwahi ke izhaar ka. bohat khoob. Allah taala aap ko aise lateef khayaalaat se nawaztaa rahe.


Duago

Muhammad Khawar.


Posted: Thu Nov 30, 2006 4:37 pm
by jawaid badauni
MoHibbee MoHammed Khawar SaaHab,
Aaddab aur doa

Gazal ki pazeeraaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

Khoosh raheN!

MuKhlis
Jawaid

Posted: Sun Dec 03, 2006 1:09 pm
by Ehsan Raza

janab jawaid sb
adaab, ek arsa- e- taweel ke baad apki koi takhlique bazm men nazar aai
dil khush hua mubarak baad qubool karenaap achanak hi ghaib ho jatehai

Apki hazri to masqat meN
Misle kafoor haI khuda ki qasam

shukriya

Ehsan badauni

Posted: Sun Dec 03, 2006 8:13 pm
by jawaid badauni
Ehsan Raza wrote:
janab jawaid sb
adaab, ek arsa- e- taweel ke baad apki koi takhlique bazm men nazar aai
dil khush hua mubarak baad qubool karenaap achanak hi ghaib ho jatehai

Apki hazri to masqat meN
Misle kafoor haI khuda ki qasam

shukriya

Ehsan badauni

MoHibbe Ehsan Sahab,
Salam aur doa


Daad dena gazal ki sheroN se
Yeh bhi dastoor hai Khuda ki qasam


Aap ko tou ilm hai maiN ilaj ke liye Hindustan gaya huuwa tha. Yehee sabab tha gair Hazire ka magar ab aa gaya hooN tou apni Gair HaZiree ka izalah karne ki koshish karooNga.

Bhaaii gaahe maahe hamari www.Urduduniya.net per bhi aa jaya kijiye.

Gazal ki pazeeraai ke liye shukriya.

MuKhliS
Jawaid