Page 1 of 1

Meri pehli Kaavish - TarHi Ghazal # 23

Posted: Wed Nov 29, 2006 1:19 pm
by muhammad_19k


Tamam hi ehbaab ko tasleemat



iss waqt meiN apne aap ko bohat hi khush qismat mehsoor kar rahaa hooN ke zindigi meiN pehli baar kissi mehfil, ya moshairay meiN apni ghazal paish karne ja raahaa. oar Anjuman bhi aisi ke jis par asaataza e karam apni nazar keeaye huway haiN.

agar ehle adab itne bari shakhsiat ki mojoodgi meiN meri ghazal paish karne ki jasaarat ko gustakhi ke zimre meiN gardaanaiN toa mujhe hargiz achanbh na hoga laikin umeed kartaa hooN ke ahl nazar mere shouq ki walwala kareeoN ke malhooz khaatir rakhte huway dar guzar farmaaaiN ge.



Meri asaataza se guzarish ho gi ke "tabsara" karte waqt un tamam muhasin ka zaroor tazkiraa karaiN jahaaN par mujhe bohat oar bohat mehnat karnaa ho gi.

meiN mustaqbil meiN aap ki hadaayat par bharpoor amal karne ki koshish karooN ga.

[oar iss baar meiN ghazal paish karne se pehlay Mohtaram janab Abdullah Nazir sb ki nazar se bhi aik nazar guzar chuka hooN. Aik to meri bikhri soachaiN oar toota phoota izhaar oar doosra MSN, meiN Sir Abdullah Nazir ka mashkoor hooN ke unhoaN ne mere alfaaz ki nok palak sanwaar kar usse ghazal ke roop meiN paish karne ka moqaa inayaat farmaya.

Phir bhi koi bhi ais ghalati ( jis ka ehtaamaal mujh jaise korh maghz se ain mumkin hei) jo asaataz ki tabaa naazaaN par naaqewar guzre, uss ke leeaye paishgi maazrat ka talab gaar hooN.



Ghazal hazir e khidmat hei,



thee jagah mire dil meiN sirf aek mehmaaN ki
fikr the tiri mujh ko oar fikr yazdaaN ki

daastaan-e-gham KyooN ubb koi bhi naheeN suntaa
Maan lee sabhi ne kia baat uss peshemaaN ki

Aashiqii ki ham nei bhi rasm yei nibhai hei
"dhajiaN uRaa deeN haiN apne hi girebaaN ki"

jub bhi woah bula-ain ge, ham zaroor jaa-aiN ge
Taalni naheeN aati ham ko baat jaanaaN ki


kon chahe jaan-e-jaaN qaid se rehai ub
haath meiN mire kab se kunjiaN haiN zindaaN ki!

umr bhar ghulami hei ubb mujhe tiri karni
zindigi to qeemat hei sirf aik ehsaaN ki

zindigi ne khawar ko ye sabaq sikhaya hei
ub nahi zamane mein koi qadr e insaaN ki



Posted: Wed Nov 29, 2006 7:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram MuHammad Khawar SaHeb aadaab!

ham sab mimbaran-e-Urdubandhan kee janib se aap ko khush aamdeed kaha jata hai. aap ke tashreef lane se ham sab ko yaqina" bohot kuch~ seekh~ne ka maoqa'h mile ga.

medaan-e-Ghazal meN aap kee dilchaspee khush aae,eend aor HoSlah afzah hai. khuda aap ko is medaan meN taraqqee-e-kamranee se nawaze!

Guzarish 23 ke teHet aap kee Ghazal naz^ar nawaaz hoee jo keh ham sab ke liYe musarrat ka bae,ic hai. mujh~e sabh~ee she'er pasand aaeY haiN. aap ka andaaz-e-paYan munfarid aor dilpazeer hone ke i,lawah dilkash bh~ee hai.



thee jagah mire dil meiN sirf aek mehmaaN ki
fikr the tiri mujh ko oar fikr yazdaaN ki

waah!

daastaan-e-gham KyooN ubb koi bhi naheeN suntaa
Maan lee sabhi ne kia baat uss peshemaaN ki

waah!

Aashiqii ki ham nei bhi rasm yei nibhai hei
"dhajiaN uRaa deeN haiN apne hi girebaaN ki"

bohot u'mdah girah lagaee hai bilkul haT kar kheYaal pesh kiya hai. waah!

jub bhi woah bula-ain ge, ham zaroor jaa-aiN ge
Taalni naheeN aati ham ko baat jaanaaN ki

kiYa kehne!!


kon chahe jaan-e-jaaN qaid se rehai ub
haath meiN mire kab se kunjiaN haiN zindaaN ki!

waah!

umr bhar ghulami hei ubb mujhe tiri karni
zindigi to qeemat hei sirf aik ehsaaN ki

achcha kheyaal hai!

zindigi ne khawar ko ye sabaq sikhaya hei
ub nahi zamane mein koi qadr e insaaN ki

kiya kehne!waah!!

mujh~e aap kee Ghazal ke sath~ sath~ aap takhalluS baRa pasand aaYa hai!

is behtareen kawish par meree dilee dad aor mubarak bad qubool kijiYe!

mujh~e awee ummeed hai keh aap aae,ndah bh~ee meHfil meN tashreef late raheeN geY.

Wassalam

mukhliS
muz^affar aHmad muz^affar
[/align]
[/size]

Posted: Thu Nov 30, 2006 7:54 am
by muhammad_19k


Salam Muzaffar Sabhi.


muje iss bazm meiN khushaamdeed kehne par shukriya kabool farmaye.

Aap ne farmaya,


Guzarish 23 ke teHet aap kee Ghazal naz^ar nawaaz hoee jo keh ham sab ke liYe musarrat ka bae,ic hai. mujh~e sabh~ee she'er pasand aaeY haiN. aap ka andaaz-e-paYan munfarid aor dilpazeer hone ke i,lawah dilkash bh~ee hai.


Aap ne apne keemti waqt meiN se kuch hissa nikaal kar meri ghazal par tabseraa farmaya. behad mamnoon o mashkoor hooN. aap ne ghazal ke pasandeedgi ka izhaar kiya. aap ki daad ne mere hosle iss siaaHi ke leeaye oar buland kar deeaye haiN.

Merra shukriya kabool keejeeaye.

meiN aap se aik baar phir multimis hooN ke jahaaN kaheeN bhi aap behtari ka koi pehloo daikhte hooN, zaroor tajweez keejiaye ga. jahaaN hosla afzaai ke leeaye sataish zaroori ei waheeN behtari ke leeaye islaaH oar tangeed bhi naa gazeer hei. umeed hei aaindaa aap meri kissi bhi kaavish ka "operation" karte huway naheeN hichkacha-aiN ge.

Ji takhallus ki paseendeedgi ka shukriya. meiN abhi apne naam ko hi takhalus ke leeaye isteAemal kar rahaa hooN.


aap ka shukr guzar,

Muhammad Khawar.

[size]

Re: Meri pehli Kaavish - TarHi Ghazal # 23

Posted: Thu Dec 07, 2006 10:11 am
by muhammad_19k
Salam Sara ji


Mein shukar guzaar hooN ke aap ne meri ghazar ko na sirf parhaa balke aapni raa-aye se bhi mujhe nawazaa. aap ne likhaa,
muhammad khawar sahib ,

adaab arz hai.

aapne pehli baar tarhii moshaire mein hissa liye ye jaan
ker khuhsi hui aur ghazal dekh ker hairaani bhi.

bohat umda kalaam hai daad qubool keejiye.


Mien aap ki daad ka shukarguzar hooN. aap ko ghazal pasand aa-ai ye mere leeaye "heraani" oar khushi ki baat hei. Agar agli baar aap thora waqt nikaal kar meri kissi bhi koshish par tanqeedi nigha se tasiraa farmaiN gi to mujhe khushi ho gi.


Aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar.

Re: Meri pehli Kaavish - TarHi Ghazal # 23

Posted: Fri Dec 22, 2006 3:32 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:

Tamam hi ehbaab ko tasleemat



iss waqt meiN apne aap ko bohat hi khush qismat mehsoor kar rahaa hooN ke zindigi meiN pehli baar kissi mehfil, ya moshairay meiN apni ghazal paish karne ja raahaa. oar Anjuman bhi aisi ke jis par asaataza e karam apni nazar keeaye huway haiN.

agar ehle adab itne bari shakhsiat ki mojoodgi meiN meri ghazal paish karne ki jasaarat ko gustakhi ke zimre meiN gardaanaiN toa mujhe hargiz achanbh na hoga laikin umeed kartaa hooN ke ahl nazar mere shouq ki walwala kareeoN ke malhooz khaatir rakhte huway dar guzar farmaaaiN ge.



Meri asaataza se guzarish ho gi ke "tabsara" karte waqt un tamam muhasin ka zaroor tazkiraa karaiN jahaaN par mujhe bohat oar bohat mehnat karnaa ho gi.

meiN mustaqbil meiN aap ki hadaayat par bharpoor amal karne ki koshish karooN ga.

[oar iss baar meiN ghazal paish karne se pehlay Mohtaram janab Abdullah Nazir sb ki nazar se bhi aik nazar guzar chuka hooN. Aik to meri bikhri soachaiN oar toota phoota izhaar oar doosra MSN, meiN Sir Abdullah Nazir ka mashkoor hooN ke unhoaN ne mere alfaaz ki nok palak sanwaar kar usse ghazal ke roop meiN paish karne ka moqaa inayaat farmaya.

Phir bhi koi bhi ais ghalati ( jis ka ehtaamaal mujh jaise korh maghz se ain mumkin hei) jo asaataz ki tabaa naazaaN par naaqewar guzre, uss ke leeaye paishgi maazrat ka talab gaar hooN.



Ghazal hazir e khidmat hei,



thee jagah mire dil meiN sirf aek mehmaaN ki
fikr the tiri mujh ko oar fikr yazdaaN ki

daastaan-e-gham KyooN ubb koi bhi naheeN suntaa
Maan lee sabhi ne kia baat uss peshemaaN ki

Aashiqii ki ham nei bhi rasm yei nibhai hei
"dhajiaN uRaa deeN haiN apne hi girebaaN ki"

jub bhi woah bula-ain ge, ham zaroor jaa-aiN ge
Taalni naheeN aati ham ko baat jaanaaN ki


kon chahe jaan-e-jaaN qaid se rehai ub
haath meiN mire kab se kunjiaN haiN zindaaN ki!

umr bhar ghulami hei ubb mujhe tiri karni
zindigi to qeemat hei sirf aik ehsaaN ki

zindigi ne khawar ko ye sabaq sikhaya hei
ub nahi zamane mein koi qadr e insaaN ki


assalaam oalaikum
mohtaram mohammed khaawar saahib

hum aapko urdu bandhan mei.n khuyshaamdeed kehtay hai.n.

aapko yahaa.n bahut pyaar milega insha allah.

aapki takhleeq nazar nawaaz huee.masha allah accha qalam hai..

aik naya andaaz...hame.n pasand aaya janaab

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n aur yu.n hi likhtay rahe.n.

mukhlis
haamidbaaqri