Page 1 of 1

"nah badlee yeh anjuman ab tak"tarhi kalaam pesh e

Posted: Wed Nov 29, 2006 3:19 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

channapatna(bangalore kay qareeb)urdu adab kee jaanib say hame.n december kay tarhi mushairay keliye aik micra' diya gaya hai

micra hai:"keh zakhm zakhm hai har phool ka badan ab tak"

apni adna kaavish hum pehlay aapki bacaarato.n ki nazr kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay...........

arz kiya hai...........

nah laug badlay nah badlee yeh anjuman ab tak
wohee hai sauch wohee inka hai chalan ab tak

khuda yeh kehta hai harakat say inquilaab aaye
magar yeh aadmi duniya mei.n hai magan ab tak

musalmaa.n aik hai.n saaray' nabi(sawaw)nay farmaaya
yahaa.n tau bhaai say bhaai kau hai jalan ab tak

khuda kee raa'h mei.n jaa.n daynay waalay shu'hda say
haraa bharaa hai yeh islaam ka chaman ab tak

chalaao aur nah tum teer apnay lafzo.n kay
"keh zakhm zakhm hai har phool ka badan ab tak"

payaam e amn jahaa.n bhar kau dayna aye haamid
agar hai tum mei.n wohee 'azm aur lagan ab tak

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah