Taaza Ghazal
Posted: Thu Nov 30, 2006 5:46 am
Dosto Asalamu Alaikum
Apni ek kawish ke saath pehli baar bazm men haazir ho raha hun. Pasand aajaye to zaroor aagaah karen
Shukriye ke saath
Najeeb Ahmed Najeeb
Ghazal
Tujh peh hona nisaar baaqui hai
Zeest tera udhaar baaqui hai
Khaak ho kar bhi teri chaahat men
Hurmat e khaaksaar baaqui hai
Dosti ho gayee hai naaaseh se
Phir bhi dil ka ghubaar baaqui hai
Gham tera jab talak salamat hai
Zindagi ka viquaar baaqui hai
Shauq e nazzaargi ar'e tauba
Sirf deedaar e yaar baaqui hai
Laakh duniya ulat ke rah jaaye
Pyaar ka etebaar baaqui hai
Phool khilte hain baar baar magar
Shaakh ek khaardaar baaqui hai
Hai garebaan dhajjiyaan phir bhi
Daaman e taar taar baaqui hai
Shab ki taarekiyon ko samjha do
Raushni ka qaraar baaqui hai
Aazmaayesh ke silsilon se par'e
Qahr e parvardigaar baaqui hai
Hasraten pal rahi hain seenon men
Hasraton ka mazaar baaqui hai
Aapki qeemti aar'a ka intezaar karoonga.
Najeeb Ahmed Najeeb
Apni ek kawish ke saath pehli baar bazm men haazir ho raha hun. Pasand aajaye to zaroor aagaah karen
Shukriye ke saath
Najeeb Ahmed Najeeb
Ghazal
Tujh peh hona nisaar baaqui hai
Zeest tera udhaar baaqui hai
Khaak ho kar bhi teri chaahat men
Hurmat e khaaksaar baaqui hai
Dosti ho gayee hai naaaseh se
Phir bhi dil ka ghubaar baaqui hai
Gham tera jab talak salamat hai
Zindagi ka viquaar baaqui hai
Shauq e nazzaargi ar'e tauba
Sirf deedaar e yaar baaqui hai
Laakh duniya ulat ke rah jaaye
Pyaar ka etebaar baaqui hai
Phool khilte hain baar baar magar
Shaakh ek khaardaar baaqui hai
Hai garebaan dhajjiyaan phir bhi
Daaman e taar taar baaqui hai
Shab ki taarekiyon ko samjha do
Raushni ka qaraar baaqui hai
Aazmaayesh ke silsilon se par'e
Qahr e parvardigaar baaqui hai
Hasraten pal rahi hain seenon men
Hasraton ka mazaar baaqui hai
Aapki qeemti aar'a ka intezaar karoonga.
Najeeb Ahmed Najeeb