Page 1 of 1
Posted: Tue Dec 05, 2006 6:38 am
by Mahtab Qadr
sara jabeen sahiba , aap ne to kamaal kardia , wah wah bahut umda tasveereiN banai haiN Makhdoom ki ghazloN ki.
Posted: Tue Dec 05, 2006 1:10 pm
by Amoodi
Bahot khoob kalam pesh kiya hei Maqdoom sahib ka, post kerne ka shukriya.
Kosish karoonga kei aate rahoon.
Amoodi
Posted: Tue Dec 05, 2006 1:12 pm
by najeeb
Sara Sahiba Wailaikum Assalam
Ghazab ka aur kamaal ka collection hai aap ke haaN. Aapne Makhdoom ki yaadeN phir se zinda kar deeN. Bahut lutf andoz huva hai meri tarah har padhne wala. Kaise aap ka shukriya ada kiya jaaye? Shukran Kaseera. Jazak Allahu Khiar.
Jab ham chaleN to saaya bhi apna na saath de
Jab tum chalo zameen chale aasmaan chale
Najeeb Ahmed Najeeb
Posted: Tue Dec 05, 2006 7:08 pm
by Rehana.A
Sara sumjh nahien aati kah shaiad isi ko dil say dil ko raah kahtay haien kuch dino say dil buhut chah raha tha kah makhduom ki shairi paRhon so tum nay unjaanay main mairi khahish pooree kar hi dee ,teh dil say mamnoon o mashkoor hoon .[align=center][/align]
Posted: Wed Dec 06, 2006 6:23 am
by Mahtab Qadr
sara sahiba
Assalam alaikum wa rahma
Darasl mai ne makhdoom ka zamana paya zaroor hai laikin apni kamsini ke sabab urdu mahfiloN tak meri rasaai na thi aur jab hosh aaya tab bhi Makhdoom ki chand aik khoobsurat nazmoN aur ghazloN ke alaawa kuch na parh saka jiski bunyaadi wajah unka ishteraakiat pasand hona thi. mai khalis deeni mahool ka parwarda hoN, agarche ke mai aik dunyadaar aadmi hoN laikin parwarish ki chaap aur uski khoobioN ke asar se nikal nahi saka , is lye mai ne Makhdoom ko parhne aur samajhne ki zaroorat nahi samjhi ke vo aik ishteraakiat pasand shayer hi nahi balke unke numainde the. isi sabab taraqqi pasand tahreek ke urooj ke zamaane mai unheiN kaafi barhaawa mila. baharhaal makhdoom ba haisiat aik shayer ke ba kamaal aadmi the.
shukria
Mahtab
Mahtab
Posted: Wed Dec 06, 2006 6:34 am
by zmufti
buhat khoob
Sara jee
aap ke zouq-e-intkhaab aur haseen akaasi ke liye daad haazir hai
regards
zmufti
Bahut khoob intikhaab hei
Posted: Wed Dec 06, 2006 8:07 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
[align=center]dekhiye qulla-e-khusaar peh chaaye baadal
waadiy-e-zeest meiN naghmaat ki bochaar houi[/align]
Aap ne Makhdoom Muhiuddin kee yaad taazah kardi hei. Surkh Sawera ke shaayer aur FaiZ Ahmed FaiZ ke lab o lehje meiN bahut baRi Had tak mushaabihat thee.
Apne laRakpan ke daur meiN sunaa thaa ke Makhdoom roopoush hougaye. Phir taraqqi-pasand muSannifeen kee hangaamah aaraayiyaoN ne urdu-adab ko siyaasi rukh per mouRdiyaa. Iske baavajood Makhdoom aur FaiZ ne sheAr o naghmah kee dilkashi ko haath se nah jaane diyaa.
Makhdoom ko paRhkar maiN bahut luTf andouz houaa aur aapka shukriyah adaa kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Thu Dec 07, 2006 1:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
(Makhdom MuHee-ud-deen aek shai'r)
Yaraan-e-meHfil aadaab!
kahaa jata hai keh beesaweeN Sadee i'eesawee ke Ghazal gao shu'ra meN jo qubool-e-a'aam Jigar Murad aabadee ko naSeeb huwa woh dusrooN ko kam hee mila. sab jante haiN keh un kee shuhrat Muraad aabadee ke gird-o-nawaH tak meHdood nah th~ee balkeh Dhakah se Lahor, aor Lakh~nau se Madraas tak ph~elee huee th~ee. agar cheh unhooN ne Ghazal ke siwa kisee aor Sinf meN t^aba' naheeN aazmaee.
nah hee adab bar-e-adab Ya adab bar-e-zindagee se uljh~e aor nah hee zindagee ke masaae,il se nabard aazmaa huwe. aor nah hee shaae,iree ko kisee teHreek Ya naz^ariYah se ham aahaNg karne ke qabil huwe aor sab se baRh~ kar Yeh keh nah hee jiGar SaHib ne a'awamee shae'iree ka alam bardaar hone ka da'wa kiYa. ba eeN hamah hind-o-paak ke a'aam-o-khaaS donooN HalqooN meN aap ka charchah th~a.
sawaal Yeh peda hota hai keh Jigar SaHib ko shohrat to milee lekin un ke ma'aSir shue'ra karaam meN se aese SaHibaan-e-qalam jo apne fikr-o-fan meN kisee t^aor bh~ee un se kamtar nah th~e Yeh shuhrat kiYooN nah mil sakee???? aor a'awaam ne shohrat ka taaj digar shue'ra ke sarooN par kiYooN nah rakh~a????
HaalaNkeh bees (20) kee dhaee meN jadeed naz^m ka jo t^ufaan aaya th~a agar us waqt FaiZ^, jigar ke ilawah chand aek aor shue'ra mazaaq-e-jamhoor ka saaman muhaYyah nah karte to a'een mumkin th~a keh Ghazal ka charaaGh hameshah hameshah ke liYe bujh~ jata. aor is t^ufaan kee maojeeN Ghazal ko khas-o-khashaak kee manad baha le jateeN. aor ph~ir Hasrat, Yaganah, ASGhar aor Fani kee khawaaS pasnd Ghazal bh~ee ma'ariZ^-e-khat^ar meN paR jatee.
us daor ke siYasee aor mua'asharatee Halaat ehl-e-adam ke sinooN ko garma rahe th~e keh woh a'awaal ke samne aSal Halaat kee taSweer pesh kareeN un meN yakjehtee, hamiYat aor mulkee salamtee kee naee rooH ph~uunkeeN.
aese sangeen Halaat meN kaee mazhabee aor siYasee majalis Harkat meN aaeeN aor apne apne t^areeq se a'awaam ko bohraan se nikalne ke liYe koshaaN hoeeN.
taraqqee pasand teHreek ne isee na saazgar maHool meN janam liya. aor Yeh teHreek inheeN Halaat kee Ghammaaz th~ee. is teHreek kee daaGh bel Daalne aor is ko parwaan chaRh~ane meN jin shue'ra ne apne khoon-e-rag-e-jaaN se kaal liYa un meN kaee naam ginwaee ja sakte haiN. macala" FaiZ^, sardar A'li Ja'faree, Sahir ludh~hiYanawi, AHmad Nadeem Qasami, Habeeb Jalib, AHmad Faraz, Z^aheer kashmeree, HamaYat A'li Shair, waGhaerah aor kaee dusree GharZ^ Yeh aek aesa medaan th~a jis meN Z^arurat th~ee keh utar kar a'waam ke laho ko garmaYa jaeY.
ham sab khoob jante hai keh mazkorah-e-bala arbaab-e-qalab ne waqa'ee taraqee pasand teHreek ke waste likh~a aor khob likh~a aor beshtar ne to qaed-o-band kee Saa'bateeN bh~ee bardaasht keeN.
lekin in meN aek naam aesa bh~ee hai keh jis ne kaam to kiYa lekin waqt aor zamanah ne use us ka jae,iz Haq bh~ee nah diYa. nah hee a'z^mat ka woh taaj us ke sar par rakh~a aor nah hee tareekh ke sunhre aoraaq meN jagah dee aor woh naam hai "Makhdoom muHee-ud-deen" ka aaaahhhhh....... t^urfah tamaashah to Yeh hai keh aaj tak Yahee faeSlah nah ho saka keh Makhdoom rumanawee shae'ir th~e Ya taraqqee pasnd.
woh kuch~ bh~ee th~e jese bh~ee th~ee lekin aek baSalaHiYat, pur a'zm, zindah dil, khush gulo-o-khush t^aba' shae'ir th~e. agar Ghazal jadeed nazm ke t^ufaan se Takraee aor use apne muqabil se haTane meN kamYaab huee to is meN Saaf z^ahir hai keh FaiZ^, aor jigar ke saath~ teesra naam Makhdom ka hai.
khuda un ke darajaat buland farmaYe! aor khuda kare keh ham aor aane walee nasleeN un ke kaam aor martabah se aashnah ho jaeeN aor unheN bh~ee taareekh apne sunhree Huroof meN jagah de deY.
bh~ula ra raha th~a jise maiN fareb de de kar
wohee HakaYat-e-sheereeN suna raha hai qamar!
(Makhdom)
Wassalam
Muz^affar[/align]
Posted: Thu Dec 07, 2006 3:04 am
by Hashmat Usmani
1.
aap kii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
2.
raat bhar dard kii shamm'a jaltii rahii
Gham kii lau thartharaatii rahii raat bhar
3.
baaNsurii kii suriilii, suhaanii sadaa
yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
4.
yaad ke chaand dil meN utarte rahe
chaandnii jagmagaatii rahii raat bhar
5.
koii diivaana galiyoN meN phirtaa rahaa
koii aavaaz aatii rahii raat bhar
Posted: Sat Dec 09, 2006 1:29 pm
by najeeb
Maqdoom Mohiuddin party ki sargarmiyoN ke silsile meN Nalgonda aaya karte the. Ek daf'ay ka zikr hai unhoN ne ruk kar Musafir Nalgondavi ke bare meN daryaft kiya jo kisi kaam ke silsile meN Hyderabad gaye huve the. Us waqt ke mashoor e zamana mazahiya shayar Gilli Nalgondavi ne jo kaha jata hai ke nashe meN badmast the, aage badhkar Maqdoom se milna chaha. Maqdoom ne unki halat dekhkar na sirf be tawajjahi barti balki kaha ke "kaun hai yeh deewana ise hatao." Uske kuchh hi der baad Town Hall meN mushai'ra hone wala tha. Gilli seedhe stage par pahunche aur ek fil badih ghazal padhi jise maqdoom ne na sirf pasand kiya balki Gilli ko gale se laga liya. Gilli ke ash'aar pesh haiN:
Baat mash'hoor huvi aap ne deewaana kaha
Ap mera naam badal jaye bahut mushkil hai
Too badal jaye to mumkin hai badal jaaye jahaaN
Meri taqdeer badal jaaye bahut mushkil hai
Aaj ek barq badan hai mere pahloo men Amar
Ab nasheman mera jal jaaye bahut mushkil hai
Aapka Mukhlis
Najeeb Ahmed Najeeb
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:50 am
by sbashwar
Mohtarama Saara Sahiba
Makhdoom Mohiuddin Sahib marhoom ko kaun nahin janta. Aapne Makhdoom ki yaad bohat khoobsurati se taaza kardi.
Shukria
Salem Bashwar
Posted: Mon Dec 18, 2006 12:31 pm
by hassan_bashir
Sara jii aadaab!
aap ne is maah k liYe "janaab-e-Makhdoom Muhiuddin" k kalaam ka intekhaab nihaayat khubsoorat tareeqe se kiyaa aur har kalaam ko baRi khubii se saNwaar kar pesh kiyaa jis k liYe sirf aap ka shukriya adaa karnaa kaafi naheeN hai.
deegar hazraat ne bhii is thread meiN janaab-e-Makhdoom kii zindagii se vaabastaa dil-chasp mauzoo par ruashnii Daalii jis k liye yeh tamaam ehbaab bhii yaqiinan daad k mustahiq haiN. :rose
ShukriYah!
Hassan