Page 1 of 1

Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

Posted: Wed Dec 06, 2006 10:10 pm
by Anmol
sabhi aihl-e-bazm ko aadaab!

aik taaza kalaam pesh kar rahii huuN. umeed hai k aap ko pasand aaye ga. :-)


Image

Ghazal:

1. log laGhzish to Khud hi kareN ge
phir bhi ilzaam qismat ko deN ge!

2. aap kis kis ki parwa kareN ge?
log to bolte hi raheN ge

3. zindagi! tuu yahaaN se chalii ja
yaaN tujhe log jeene na deN ge!

4. laakh samjhe bura ham ko dunya
ham bhale haiN, bhalaa hi kareN ge!

5. thak gaye haiN manaate manaate!
dekhiye! ab to ham ro paReN ge!

6. sochti huuN k rasta kaThin hai
woh mirey saath kab tak chaleN ge?

7. zindagi! ab to ham jaa rahay haiN
tujh se fursat meiN aa kar mileN ge!

8. ham manaa leNge apne Khuda ko
raat din us ko sijde kareN ge!

9. dekhna! ye ghazal sun k :Anmol:
tere naaqid bhi a'sh a'sh kareN ge!

by:
Ayesha :Anmol:

Re: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

Posted: Thu Dec 07, 2006 3:24 am
by Hashmat Usmani
salaam Ayesha,

kaisai ho? tumhaarii Ghazal paRhii aur Hasb-e-ma'mool umda Ghazal kahi hai. meri jaanib se DheroN mubaarakbaad qubool karo.

chand ek baat jo is naa_ai'hl ko khaTkii:


1. log laGhzish to Khud hi kareN ge
phir bhi ilzaam qismat ko deN ge!


"laGhzish honaa" maiN ne sunaa thaa magar "laGhzish karnaa" kabhi nahiiN sunaa...ho saktaa hai is meN meraa hii na sunne kaa dosh ho.

2. aap kis kis ki parwa kareN ge?
log to bolte hi raheN ge


dusra misr'a kuchh kamzor lagaa mujhe...kia Khayaal hai? :-?

3. zindagi! tuu yahaaN se chalii ja
yaaN tujhe log jeene na deN ge!


yeh she'r mujhe bahot pasand aayaa...kia besh_bahaa mashvaraH saadir farmaayaa hai.

4. laakh samjhe bura ham ko dunya
ham bhale haiN, bhalaa hi kareN ge!


waah bhai, waah! kia Khud ai'temaadii hai...kaash iskaa mujhe savaaN Hissa hii milaa hotaa

5. thak gaye haiN manaate manaate!
dekhiye! ab to ham ro paReN ge!


waah...bahot Khoob...kia "emotional blackmailing" hai :wink:

6. sochti huuN k rasta kaThin hai
woh mirey saath kab tak chaleN ge?


are bhai...aur log bhi is "kaThinaaii" se do chaar Khushi KHushi honaa chaaheNge :wink:

7. zindagi! ab to ham jaa rahay haiN
tujh se fursat meiN aa kar mileN ge!


bahot umda!

8. ham manaa leNge apne Khuda ko
raat din us ko sijde kareN ge!


Haqq-e-bandagii adaa kar chaliiN?

9. dekhna! ye ghazal sun k :Anmol:
tere naaqid bhi a'sh a'sh kareN ge
!

maiN to tumhaaraa naaqid nahiIn magar phir bhi 'ash 'ash karte karte Ghash Ghash khaa gayaa :lol:
ek kaamiiyaab Gahzal kahne par mubaarakbaad qubool karo...thankoo

Bahut khoob, waah waah

Posted: Fri Dec 08, 2006 6:44 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Anmol SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

1. log laGhzish to Khud hi kareN ge
phir bhi ilzaam qismat ko deN ge!


MaTlaA Saaf hei. Bahut khoob, waah waah.

2. aap kis kis ki parwa kareN ge?
log to bolte hi raheN ge


Is sheAr meiN "boulte rahenge" se aapki muraad hei loag iAtiraaZ karte rahenge. Achcha sheAr hei, waah waah.

3. zindagi! tuu yahaaN se chalii ja
yaaN tujhe log jeene na deN ge!


Bahut achchaa hei. Waah waah.

4. laakh samjhe bura ham ko dunya
ham bhale haiN, bhalaa hi kareN ge!


Waah waah.

5. thak gaye haiN manaate manaate!
dekhiye! ab to ham ro paReN ge!


Achcha andaaz hei, bahut khoob.

6. sochti huuN k rasta kaThin hai
woh mirey saath kab tak chaleN ge?


Achchi souch hei. Waah waah.

7. zindagi! ab to ham jaa rahay haiN
tujh se fursat meiN aa kar mileN ge!


Zindagi karnaa alag baat hei aur zindagi se milnaa aur baat. Achcha sheAr hei, waah waah.

8. ham manaa leNge apne Khuda ko
raat din us ko sijde kareN ge!


Jee bilkul SaHeeH hei. Bandagi se sab kuch HaaSil housaktaa hei.

9. dekhna! ye ghazal sun k :Anmol:
tere naaqid bhi a'sh a'sh kareN ge!


MaiN naaqid nah houne ke baavajood Ash Ash karrahaa hooN to phir naaqidaoN kaa kyaa Haal hougaa. Bahut achcha maqTaA hei, waah waah.

Aapki ghazlaoN meiN pahle ki banisbat kaafi taraqqi hougayi hei. Allah kare zor-e-galam aur ziyaadah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Dec 10, 2006 8:28 pm
by Anmol
Hashmat SaaHib, aadaab!

Ghazal ki pazeerayi ke liye bahut shukria. Aap ko matle meiN 'laGhzish karna' khaTak raha hai. mera Khayaal hai k aksar insaan jaan boojh kar laGhzish ya Ghalati karta hai, so laGhzish karna durust hai. Doosre she'r ka doosra miSra mujhe to Theek lag raha hai, asaatiza ne bhi isey bahut saraaha hai. Baqi ghazal ko pasand karne ke liye aap ka bahut shukria.

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Dec 10, 2006 8:31 pm
by Anmol
Mohtaram Nazir SaaHib, aadaab!

Aap ne hamesha meri bahut hausla'afzaayi ki hai. ab aap ko meri shaayri meiN itni behtari mehsoos hui hai, ye jaan kar bahut achchha laga. Aap ne mere ashaar ko dekha aur pasand kia, bahut shukria. Aainda bhi aap ke giraaN'qadr taa'ssuraat ka intizaar rahega.

:P

Re: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

Posted: Tue Dec 12, 2006 1:13 am
by Anmol
Dear Sara,

Ghazal per itne Khuloos se daad dene ke liye maiN tumheN thanks .......... nahiiN kahooNgi. :grin: Hamesha khush raho, aur mera kalaam paRh kar ash ash karti raho. :wink: