Page 1 of 1

Posted: Fri Dec 08, 2006 7:35 am
by Anmol
Waah Saara, tumhaari taraHee ghazal achchhi lagi aur presentation bhi Khoob hai. Dono per daad qubool karo.

:-)

Posted: Fri Dec 08, 2006 11:28 am
by muhammad_19k
Salam Sara Ji,

aap jaanti haiN ke har shair ki khoobsoorti ko ujaagar karna mere bas ki baat kahaN. iss bar aap ka ye shair sub se ziada pasand aaya.

"5 ishaaraoN meiN houeeN khwaabaoN kee baateN.
baRe ghafil the mehfil se diwaane "


BahtareeN koshish par daad kabool keejiaye,


aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.

Posted: Fri Dec 08, 2006 8:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
moHtarmah Sara SaHibah aadaab!

Guzarish 24 ke liYe aap kee koshish baRee bar aawar cabit hoee hai. Ghazal apnee saadagee ke bae,c har dil a'azeez ho gaee hai.
mujh~e sabh~ee asha'aar achch~e lage haiN.
lekin Ghazal ka dusra she'er aor maqt^a' to inteha hai.



1. chamak jugnu ki aur mausam suhaane
laRakpan ke thay kyaa reangeeN zamaane

kiYa kehne!waah waah!

2. dilon se ranjishein gar tum mitaado
"tou shayed laut aayen din puraane"

bohot khoob waah waah jawab naheeN!

3. chalo phirse naya ek phool dena
chiragh-e-dil jalaane ke bahaane

waah waah!

4. guzar jaate thay jo aankheN churaakar
lage heiN mujhko ab voh aazmaane

kiYa kehne!! waah! bat kuch~ gehree lagtee hai! :-)

5 ishaaraoN meiN houeeN khwaabaoN kee baateN.
baRe ghafil the mehfil se diwaane

bohot khoob! waah!

6. Chaman meiN faSl-e-gul aayi hei Saara
diyaa paigham yeh baad-e-Sabaa ne

bohot khoob! Had kar dee hai aap ne waah! waah!

meree dilee dad aor mubarak baad HaZir hai!

Wassalam
Muz^affar
[/align]

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Dec 09, 2006 3:33 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki mandarja-e-zeil TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houee. Is kaamyaab kaavish per meri dili dad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

1. chamak jugnu ki aur mausam suhaane
laRakpan ke thay kyaa reangeeN zamaane

2. dilon se ranjishein gar tum mitaado
"tou shayed laut aayen din puraane"

3. chalo phirse naya ek phool dena
chiragh-e-dil jalaane ke bahaane

4. guzar jaate thay jo aankheN churaakar
lage heiN mujhko ab voh aazmaane

5 ishaaraoN meiN houeeN khwaabaoN kee baateN.
baRe ghafil the mehfil se diwaane

6. Chaman meiN faSl-e-gul aayi hei Saara
diyaa paigham yeh baad-e-Sabaa ne

[/color]

Aapkla MukhliS,

Nazir.

[/b][/size]

Posted: Sat Dec 09, 2006 1:17 pm
by farhan

Sara SaHiba...

Tasleemaat...

kaisii hain aap? ummid hai ki ba khair hongii....

is baar bhi aap nay kafii achchi ghazal peesh ki hai....mayri janib say mubarak baad qabool kijea...

talib-e-dua

farhan

Re: Ghazal - # 24 Sara Jabeen

Posted: Mon Dec 11, 2006 7:10 am
by hassan_bashir
sara_j wrote:
--------------------------------------------------

1. chamak jugnu ki aur mausam suhaane
laRakpan ke thay kyaa reangeeN zamaane

Vahh vahh

2. dilon se ranjishein gar tum mitaado
"tou shayed laut aayen din puraane"

bahuut khoob girah! :rose

3. chalo phirse naya ek phool dena
chiragh-e-dil jalaane ke bahaane

hmmm ----- good!

4. guzar jaate thay jo aankheN churaakar
lage heiN mujhko ab voh aazmaane

kyaa baat hai, nihaayat umdah khayaal.

5 ishaaraoN meiN houeeN khwaabaoN kee baateN.
baRe ghafil the mehfil se diwaane

Theek :twisted:

6. Chaman meiN faSl-e-gul aayi hei Saara
diyaa paigham yeh baad-e-Sabaa ne

vahh vahh kamaal ka maqta kahaa hai janaab!

-------------------------------------------------------

Sara jii,

aap kii saadah sii Ghazal aChhi lagii meri jaanib se daad haazir hai, qubool keejiYe! :rose :-)


Hassan

Posted: Thu Dec 14, 2006 6:39 am
by zmufti
sara jee
mushaire meN aap ki ghazal buhat pasand aayii
meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Thu Dec 14, 2006 7:37 pm
by jawaid badauni
MoHtarmah Sara SaHibah

Aapki tarahee Gazal kuch taaKheer se dekhee.Bohat Saaf ashaar haiN. Tazmeen bhi bohat achchee hai. Mukammal Gazal pasaNd aaii. Daad qubool farmaaiye.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Re: Ghazal - # 24 Sara Jabeen

Posted: Fri Dec 22, 2006 3:53 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Ahle bazm,

tasleemaat.

misra # 24 per meri koshish haazir hai :-) .

aap sab ki araa ki muntazir.

Ghazal:

1. chamak jugnu ki aur mausam suhaane
laRakpan ke thay kyaa reangeeN zamaane

2. dilon se ranjishein gar tum mitaado
"tou shayed laut aayen din puraane"

3. chalo phirse naya ek phool dena
chiragh-e-dil jalaane ke bahaane

4. guzar jaate thay jo aankheN churaakar
lage heiN mujhko ab voh aazmaane

5 ishaaraoN meiN houeeN khwaabaoN kee baateN.
baRe ghafil the mehfil se diwaane

6. Chaman meiN faSl-e-gul aayi hei Saara
diyaa paigham yeh baad-e-Sabaa ne



[align=center]Image[/align]
assalaam o alaikum
azeezah sara saahebah

bahut acchee ghazal hai

har sher behtareen hai.

aur girah ka jawaab nahi.n....kya kehnay.......

hame.n bahut pasand aayee yeh aapki ghazal

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n.

aur haa.n der say aanay kee muaazirat chaahtay hai.n.bahut masroof hai.n hum sara.hamaaray kiye dua keejiye.

aapka bhai
haamid baaqri

Posted: Sat Dec 23, 2006 6:09 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Hamid bhai,

salaam.
wa alaikumussalaam

umeed ke sab khairiyet hogi.......

jee al hamdulilah..........aap kaisee hai.n?

.waise aap kahan masoorf hai

jee ........haal hi mei.n hamaaray dau aur islamic educational audio albums release huay hai.n.

abtak aapkay bhai kay compose kiye huay 37 audio albums baazaar mei.n aachukay hai.n aur inkau sirf muslim idaaray market kartay hai.n.

composition mei.n aap jaanti hai.n keh kitna waqt lagta hai...elaawa azee.n hum performer bhi hai.n so shows bhi hame.n buzy rakhtay hai.n.

aik tutor honay kay naatay apnay islamic moral classes for youths(for college students) bhi hum conduct kartay hai.n.

yeh saaray kaam hame.n alhamdulillah bahut masroof rakhtay hai.n.
inhee.n auqaat mei.n say thoda sa waqt hum net kayliye bhi nikaal letay hai.n.


humari duayein hamesha aapke saath hain .

aapki duao.n ki bahut zaroorat hai hame.n...shukriya.....jazakallah

waisay aapki padhaayee kaisay chal rahi hai?aur aap kya padh rahee hai.n?

ghazal ki pasandeedgi per aapka tahedil

se shukriya.

you are welcome.

sara
aapka bhai
haamid