Page 1 of 1

Ghazal#24 - Muhammad Khawar.

Posted: Fri Dec 08, 2006 11:49 am
by muhammad_19k
Salam sahibaan e bazm,

aik baar phir aik koshish ki hai oar aap logoaN ki khidmat meiN kari aazmaish ke leeaye paish kar rahaa hooN. apne har tarah ke tabsare se nawaziaye ga. Oar ghazal ko aise daikhiaye ga jaise iss par tanqeed karne ka aap ko inaam milnaa ho :grin: waise inaam mile ga to zaroor. mere shukriya ki soorat meiN. :-)


Ghazal paish e khidmat hai


1.Wo aayeN khud hi ub iss ko manaane
Bhalaa dil kab hei meri baat maane.

2. yeh dunyaadaari rehne do miyaaN ab
nahiN heiN shehr meiN apne Thikaane

3. miri aankhaoN se dekhouge agar tum
nazar aayenge kuch manzar suhaane

4. yahaaN milti nahiN khairaat bhee ab
tire kooche meiN but-te heiN khazaane

5. tamaashah Aashiqi meiN aur kyaa hou
lage heiN apne ghar ko ham jalaane


6. muHabbat raah dikhlaati hei khud hee
hameN aate heiN milne ke bahaane


7. akele ab zamaane se laRou tum
wo aaye thay yehi hamko bataane

8. tiraa jaanaa muqaddar thaa yeh maanaa
mujhe looTaa hei jaane kee adaa ne

9. agar muRkar idhar dekhou miri jaaN
"tou shaayad lauT aayeN din puraane

10. zaraa kam hou jo aankhaoN kee ravaani
miraa dil DhoonD letaa hei bahaane

11. ghazal sunkar miri yuN boule Hazrat
bahut aaye yahaaN qiSSe sunaane

12. bhalaa kab ishq houtaa hei sabhi ko
inaayat khaaS ki :Khawar: khudaa ne



Aap ki aaraa ka muntizar,

Muhammad Khawar

Posted: Sat Dec 09, 2006 5:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram khawar Sadeeqi SaHib! :-)

Guzarish 24 ke liYe kahe gaee aap kee Ghazal bohot hee pasand aaee hai. meree t^araf se dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
bazm meN tashreef late rahiYe. aor apnee giraaN gadr takhleeqaat se lut^f andooz hone ka maoqa' de kar shukriYah mashkoor hooN.




1.Wo aayeN khud hi ub iss ko manaane
Bhalaa dil kab hei meri baat maane.

2. yeh dunyaadaari rehne do miyaaN ab
nahiN heiN shehr meiN apne Thikaane

3. miri aankhaoN se dekhouge agar tum
nazar aayenge kuch manzar suhaane

4. yahaaN milti nahiN khairaat bhee ab
tire kooche meiN but-te heiN khazaane

5. tamaashah Aashiqi meiN aur kyaa hou
lage heiN apne ghar ko ham jalaane


6. muHabbat raah dikhlaati hei khud hee
hameN aate heiN milne ke bahaane


7. akele ab zamaane se laRou tum
wo aaye thay yehi hamko bataane

8. tiraa jaanaa muqaddar thaa yeh maanaa
mujhe looTaa hei jaane kee adaa ne

9. agar muRkar idhar dekhou miri jaaN
"tou shaayad lauT aayeN din puraane

10. zaraa kam hou jo aankhaoN kee ravaani
miraa dil DhoonD letaa hei bahaane

11. ghazal sunkar miri yuN boule Hazrat
bahut aaye yahaaN qiSSe sunaane

12. bhalaa kab ishq houtaa hei sabhi ko
inaayat khaaS ki :Khawar: khudaa ne

kiYa kehne waah sare hee asha'aar dil kash aor pur kashish haiN ek baar ph~ir meree dilee dad HaZ^ir hai.

Wassalam
Muz^affar



.
[/align]

Posted: Sat Dec 09, 2006 10:02 pm
by muhammad_19k
Muzaffar Sb,

Mien iss daad ke leeaye aap ka shukarguzar hooN.

aap ka shukarguzar.
Muhammad Khawar.

Posted: Sun Dec 10, 2006 7:12 am
by muhammad_19k
Salam Sara Ji,

Mein aap ki daad ka shukar guzar hooN laikin agar aap ke huzoor zubaaN bandi naheeN toa kehne ki ijaazat deejiaye ke ye tabsara waisa naheeN jaisa aap ne waada kiya thaa -:)


Allah taala aap ko khushsho khurram rakhe,

wasalam,
Muhammad Khawar.

Posted: Sun Dec 10, 2006 5:21 pm
by muhammad_19k
Salam Sara Ji,

theek hai janab. ham uss din ka bhi intezaar kar laite haiN -;)

Bahut khoob

Posted: Mon Dec 11, 2006 5:09 am
by Abdullah Nazir

Janab
Khawar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal nazar se guzri jou bahut achchi hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

Khudaa kare keh aap urooj-e-sheAr o sukhan ke madaarij Tai karke aek kuhnah-mashq aur naamwar shaayer ban jaayeN.


Aapka MukhliS,

Nazir.


Posted: Tue Dec 12, 2006 9:12 am
by muhammad_19k
Sir

Mein aap ki dua oar daad ke leeaye baihad shukar guzaar hooN. Allah taala aap ka martabaa oar buland kare.

Waise to aap ka itnaa keh dainaa hi mere leeaye bohat hai ke aap ko ghazal pasand aa-ee. Laikin dil aik bache ki tarah oar se oar ki khaahish kartaa hai. agar aap dobaraa aap ko kuch time milay oar aap ye vazaahat karaiN mere ashhar meiN kahaaN kahaaN behtari ki gunjaish hai to mere leeaye baa-is e fakhar ho ga.

aap ka shukar guzar,
Muhamamd Khawar.

Re: Ghazal#24 - Muhammad Khawar.

Posted: Fri Dec 22, 2006 3:37 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Salam sahibaan e bazm,

aik baar phir aik koshish ki hai oar aap logoaN ki khidmat meiN kari aazmaish ke leeaye paish kar rahaa hooN. apne har tarah ke tabsare se nawaziaye ga. Oar ghazal ko aise daikhiaye ga jaise iss par tanqeed karne ka aap ko inaam milnaa ho :grin: waise inaam mile ga to zaroor. mere shukriya ki soorat meiN. :-)


Ghazal paish e khidmat hai


1.Wo aayeN khud hi ub iss ko manaane
Bhalaa dil kab hei meri baat maane.

2. yeh dunyaadaari rehne do miyaaN ab
nahiN heiN shehr meiN apne Thikaane

3. miri aankhaoN se dekhouge agar tum
nazar aayenge kuch manzar suhaane

4. yahaaN milti nahiN khairaat bhee ab
tire kooche meiN but-te heiN khazaane

5. tamaashah Aashiqi meiN aur kyaa hou
lage heiN apne ghar ko ham jalaane


6. muHabbat raah dikhlaati hei khud hee
hameN aate heiN milne ke bahaane


7. akele ab zamaane se laRou tum
wo aaye thay yehi hamko bataane

8. tiraa jaanaa muqaddar thaa yeh maanaa
mujhe looTaa hei jaane kee adaa ne

9. agar muRkar idhar dekhou miri jaaN
"tou shaayad lauT aayeN din puraane

10. zaraa kam hou jo aankhaoN kee ravaani
miraa dil DhoonD letaa hei bahaane

11. ghazal sunkar miri yuN boule Hazrat
bahut aaye yahaaN qiSSe sunaane

12. bhalaa kab ishq houtaa hei sabhi ko
inaayat khaaS ki :Khawar: khudaa ne



Aap ki aaraa ka muntizar,

Muhammad Khawar
assalaam o alaikum
mohtaram mohammed khaawar sahib

aapki yeh kaushish bhi bahut pasand aayee

baqaul saara saahibah kay .....hame.n bhi nahi.n lagta keh aap naye shaayer hai.n

hamaari daad qubool keejiye.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Fri Dec 22, 2006 7:23 pm
by muhammad_19k
Wallaikum us Salam Wa rehmatullah,

Haamid Sb.

aap ki daad mere leeaye kiss tamhgay se kam naheeN hay. meiN aap ka shukar guzaar hooN. laikin wohi baat ke tishnigi reh jaati hai mairi shairi ko behtar karne kee leeaye koi aik mashawara agar aap daite rahaiN to meiN bohat shukarguzar hooN ga.

regards,
Muhammad Khawar.

Posted: Sat Dec 23, 2006 6:17 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Wallaikum us Salam Wa rehmatullah,

Haamid Sb.

aap ki daad mere leeaye kiss tamhgay se kam naheeN hay.

zahay naseeb.

meiN aap ka shukar guzaar hooN.

nawaazish aapki.
laikin wohi baat ke tishnigi reh jaati hai mairi shairi ko behtar karne kee leeaye koi aik mashawara agar aap daite rahaiN to meiN bohat shukarguzar hooN ga.

hum khud tiflay maktab hai.n.phir bhi kaushish kare.nge insha allah.

pehlay aap koyee ghalati tau kare.n(waisay amadan nahi.n) :-)

regards,
Muhammad Khawar.
regards to you too
haamidbaaqri

Posted: Sat Dec 23, 2006 1:30 pm
by muhammad_19k
Salam Sahibaan,

ho saktaa hai ke ye yahaaN ke rasm na rahi ho. Oar agar meri baat kissi tarah bhi iss baad adab ke mehfil ki humat ki leeaye toa bus ishaar kar deejiaye gaa. meiN "edit" ke sahoolat se isse khatam kar dooN ga.

Tabsarajaat par tabsaraa!!!

Mein tamaam dostoan ka shukarguzaar hooN. ke unhoaN ne waqt nikaal kar mairi ghazal paRhi oar uss par apni raa-aye ka izhaar kiya. laikin mieN samajhtaa hooN, shafqat, mohabbat, hoslaafazai oar muslehat ko bohat ziada nazar meiN rakhaa gayaa hai. agar aise ahle adab logaoN ke tabsiraa ke baad bhi mujhe pataa na chalaa ke

1. Mairi ghazal meiN kia cheez achhi hai.
2. kiss jagaa kamzori hai.
3. kia cheez buri hai.

bus sub achhchha ki aawaaz hai jo kissi taraH bhi kissi shakhs ki takhleeqat meiN koi behtari naheeN laa sakti.

Apni iss raa-aye ke leeaye meiN tamaam dostoaN se maazrat chahtaa hooN.


dauaoN ka taalib,
Muhammad Khawar.