Page 1 of 1
UrduDuniya ke liye meri tarahee Gazal.................
Posted: Sat Dec 09, 2006 10:30 am
by jawaid badauni
Sub ke ruKh per thee ajab see beruKhee chhaaii huuwee
“Haai kaisee oos bharee mehfil meN rooswaaii huuwee”
Gamkadey ki azmatoN ka tha hameN kitna Khyaal
hum ne darwaze se lauTaa dee Khooshee aaii huuwe
tum samajh jaaoge Khood hi meri naakaami ka Haal
dekh lo koyee kalee gulshan meN murjhaii huuwee
baRhtee jaati hai tarqqee jitnee jitnee har taraf
aur bhee duniya nazar aati hai ghabraii huuwee
Sheikh ho ya ho braihman maikadey meN jo bhee aaye
sub yahaN per bhool jaate haiN qasam khaaii huuwee
main azal se Khatta.e be-aab tha be-aab hooN
mujhpe aaker bhi nah barse gee ghaTaa Chaaii huuwee
shaairee :Jawaid: teri sub ke dil ko bhaa gaaii
har taraf tere hi sheroN ki pazeeraaii huuwee
-----------------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Bahut khoob, waah waah.
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:55 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
Sub ke ruKh per thee ajab see beruKhee chhaaii huuwee
“Haai kaisee oos bharee mehfil meN rooswaaii huuwee”
Waah waah, kyaa kehne. Bahut achchee aur jaandaar gireh lagaayi hei.
Gamkadey ki azmatoN ka tha hameN kitna Khyaal
hum ne darwaze se lauTaa dee Khooshee aaii huuwe
Izhaar-e-khuddari yuN bhee houtaa hei. Waah waah, bahut khoob.
tum samajh jaaoge Khood hi meri naakaami ka Haal
dekh lo koyee kalee gulshan meN murjhaii huuwee
Gulshan meiN murhjaayi houee kalee se apne Haal kee tashbeeh de rahe heiN. Bahut khoob.
baRhtee jaati hai taraqqee jitnee jitnee har taraf
aur bhee duniya nazar aati hai ghabraii huuwee
Izhaar-e-Haqeeqat-e-Haal jiskaa waawailaa khalq-e-Khudaa meiN machaa houaa hei lekin dunyaa meiN mukhliS rehnumaa bahut kam heiN. Kisi ke kaan per jooN tak nahiN rengti. Waah waah, bahut khoob.
Sheikh ho ya ho braihman maikadey meN jo bhee aaye
sub yahaN per bhool jaate haiN qasam khaaii huuwee
Qasam khaayee houee se yehi muraad lee jaasakti hei ke sheikh hou yaa braihman, unhouN ne yeh qasam khaayi thee ke maikade kaa rukh nah karege lekin maikade meiN aagaye. Achchaa sheAr hei, waah waah.
main azal se Khatta.e be-aab tha be-aab hooN
mujhpe aaker bhi nah barse gee ghaTaa Chaaii huuwee
Khdudaa nah kare ke aap azal se aek khiTTa-e-be-aab houN. (wa jaAalnaa min-al-maa'i kulla shayin Hayyin). Aadami kaa vujood paani ke baghair naamumkin hei. BaharHaal yeh aek shaayeraanah khayaal hei jis se mujh jaise kamzour insaan ki mayoosi kaa izhaar hourahaa hei.
shaairee :Jawaid: teri sub ke dil ko bhaa gaaii
har taraf tere hi sheroN ki pazeeraaii huuwe
Waah waah, bahut khoob. KiyuN nahiN, aapki shaayer sabhi ko bhaati hei aur sabhi daad aur mubaarkbaad pesh karte heiN jin meiN se maiN bhee hooN. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah.....
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 6:42 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdulla Nazir SaaHab
aadaab qubool farmaaiye
Aap ki muKhliCaana daad.o.tahseen ke liye aap ka jitna bhi shukriya adaa karoon kam hai. Aap ne jitnee shaabaashee dee hai shayad yeh nacheez Gazal iss qabil nah thee. Yeh aap ka khulooSe bekaraN hai jo aap ko yeh sub likhne per aamaadah karta hai.
JahaN tak Khatta.e be-aab ka sawaal hai, iss sher meN Khatta-e be-aab se meri muraad aik aise insaan se hai jo naakaami.o.maayoosee ka shikaar hai aur kisee ne ooske qareeb aane ke bAAd bhi kabhi ooski madad nah ki. Ummid hai iss wazaahat ke bAAd yeh sher bhi aap ko pasaNd aayega.
Doaaon meN shaamil rakhiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid
LDili shukriah
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:47 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aap ne apne mandarja-e-zeil sheAr kee vaZaaHut farmaakar khaaksaar ko mamnoon farmaayaa hei:
main azal se Khatta.e be-aab tha be-aab hooN
mujhpe aaker bhi nah barse gee ghaTaa Chaaii huuwee
KhiTTa-e-be-aab se aapke mafhoom ko nazar meiN rakhte houe aapke is sheAr ko dili daad aur mubaarakbaad kaa mustaHiq samajhtaa hooN. Is meiN koyee shak nahiN keh aap aek aese kuhnah-mashq aur muqtadir ul kalaam shaayer heiN jin se shaaz o naadir hee bhool chook housakti hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: UrduDuniya ke liye meri tarahee Gazal.................
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:57 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid badauni wrote:Sub ke ruKh per thee ajab see beruKhee chhaaii huuwee
“Haai kaisee oos bharee mehfil meN rooswaaii huuwee”
uff!! bohat achi girah hai.......daad!
Gamkadey ki azmatoN ka tha hameN kitna Khyaal
hum ne darwaze se lauTaa dee Khooshee aaii huuwe
haaye!!
tum samajh jaaoge Khood hi meri naakaami ka Haal
dekh lo koyee kalee gulshan meN murjhaii huuwee
hmmm........aek baaghbaan ko gulshan ki kalyion ka
khaas khayaal rakhna chahiye........
baRhtee jaati hai tarqqee jitnee jitnee har taraf
aur bhee duniya nazar aati hai ghabraii huuwee
sach kaha...
Sheikh ho ya ho braihman maikadey meN jo bhee aaye
sub yahaN per bhool jaate haiN qasam khaaii huuwee
wow! tajruba bolta hai :P
main azal se Khatta.e be-aab tha be-aab hooN
mujhpe aaker bhi nah barse gee ghaTaa Chaaii huuwee
waah! zabardast! bohat umda shair hai daad qubool keejiye.
shaairee :Jawaid: teri sub ke dil ko bhaa gaaii
har taraf tere hi sheroN ki pazeeraaii huuwee
mukarrar , mukarrar!!
-----------------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
salaam jawaid bhai,
pehle bhi likh chuki hoon ghazal jaise aapke qalam se
tapakne betaab rehti hai aur har shair apni jagah haasil.
dili daad qubool keejiye.
sara
Azeezah Sara SaaHibah,
Aadaab aur doa
Aapki purKhuloos daad ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi apne graNqadr aur puKhulooS tabsaroN se nawaaztee raheNgee.
Allah aapko shaad.o.aabaad rakhkhe.
MuKhliS
Jawaid