Page 1 of 2

agar pardees say tum louT aavoo....by farhan

Posted: Sun Dec 10, 2006 5:39 pm
by farhan

Ustaad-e-MuHtaram Janab Abdullah Nazir SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,

TaraHi ghazal peesh-e-KHidmat hai.

1)hawayeeN jab bhi aayeeN bujhanay.
Hifazat ki mirii, maaN ki dua nay.

2)chalo gayeeN,,bajayeeN shadyanay.
bahareeN aayeeN gulshan ko sajanay.

3)chupii haiN azmateeN insaaN main kitni,
khulaeN sub raaz, gar nadaan jaanay.

4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

6)agar pardees say tum louT aavoo,
to shayed lout aayeeN din puranay

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.

8)yeh manzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGoon ki Hifazat ki hawa nay.

9)mirii aankheeN haiN khooN basta abhi tak,
kabhi deekhay thay kuch sapnay suhanay.

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

11)tirii tafseer-e-gam maiN nay paRhii hai,
HaQeeQat kam hai, ziyadah hain fasaanay.

12)mira bachpan mujhay louTaye koii,
huway haiN khud say mil kar kai, zamanay.

13)maQaam-e-ins hai kiya?? deekh farHan!!
malak aatay hain,,mire paooN dabanay.


aap ki aaraa ka muntazir

Syed Abdul Azeez Farhan....

Bahut khoob

Posted: Mon Dec 11, 2006 4:59 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
FarHan SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 24 ke miSreA per aapkii mandarja-e-zeil TaraHi ghazal nazar se guzri jiske liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN. AshAar per nazar-e-ghaayir Daalne ke mauqif meiN nahiN hooN lekin kuch nah kuch izhaar-e-khayaal karne meiN kyaa harj hei:

1)hawayeeN jab bhi aayeeN bujhanay.
Hifazat ki mirii, maaN ki dua nay.


MaTleA kaa pahlaa miSraA ghaliban yuN hei:
hawaayeN jab bhee aayee heiN bujhaane

2)chalo gayeeN,,bajayeeN shadyanay.
bahareeN aayeeN gulshan ko sajanay.

3)chupii haiN azmateeN insaaN main kitni,
khulaeN sub raaz, gar nadaan jaanay.

4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

6)agar pardees say tum louT aavoo,
to shayed lout aayeeN din puranay

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.

8)yeh manzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGoon ki Hifazat ki hawa nay.

9)mirii aankheeN haiN khooN basta abhi tak,
kabhi deekhay thay kuch sapnay suhanay.

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

11)tirii tafseer-e-gam maiN nay paRhii hai,
HaQeeQat kam hai, ziyadah hain fasaanay.


Is sheAr meiN lafz "zyaadah" boul chaal kaa hei. Asl adabi lafz "zi'yaadah" hei.

12)mira bachpan mujhay louTaye koii,
huway haiN khud say mil kar kai, zamanay.


Mandarja-e-baalaa sheAr ke pahle miSreA meiN lafz "ka'yee" ko (kaaf + zabar + ye) se isteAmaal kyaa hei jou bilkul doosre maAni meiN Arabi meiN mustaAmal hei.

13)maQaam-e-ins hai kiya?? deekh farHan!!
malak aatay hain,,mire paooN dabanay.


Aakhir meiN aapko is kaavish per daad aur mbubaarakbad pesh kartaa hooN.


Aapka MukhliS,

Nazir.


Posted: Mon Dec 11, 2006 7:31 am
by hassan_bashir
farhan wrote:
4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

bila-shubaa, janaab!!

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

kyaa baat hai.

6)agar pardees say tum louT aavoo,
"to shayed lout aayeeN din puranay"

aChhi girah hai janaab, khoob!

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameN maloom haiN, tayray bahanay.

:grin: :grin:

8)yeh maNzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGhoN ki Hifazat ki hawa nay.

vahh vahh ----- bil-kusoos yeh she'r pasaNd aaya, daad! :rose

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

bohat umda'h :-)

-------------------------------------------------------------

mohtaram Farhan saaHib,

is maah bhi mushaire ke liye aap kee Ghazal baa'ic-e-masarrat huii, aap kee koshish qaabil-e-tehseen hai, qoute kiye gaye ash'aar khaas-taur se pasaNd aaye.

lehaaza merii jaanib se dilee daad qubool keejiYe. :rose :-)


Hassan

Re: Bahut khoob

Posted: Tue Dec 12, 2006 2:01 pm
by farhan
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
FarHan SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 24 ke miSreA per aapkii mandarja-e-zeil TaraHi ghazal nazar se guzri jiske liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN. AshAar per nazar-e-ghaayir Daalne ke mauqif meiN nahiN hooN lekin kuch nah kuch izhaar-e-khayaal karne meiN kyaa harj hei:



Ustaad-e-MuHtaram Janab Abdullah Nazir SaHib

As salamu aalaikum wa rahamtullahi wa barakatuhu...

ji bahut bahut shukriya ki aap nay apni masrufiyat say waqt nikala ur ghazal ko paRa aur pasad bhi kiya...main dua go hooN ki ALLAH (SWT) aap ki umr daraz karay. Ameen



11)tirii tafseer-e-gam maiN nay paRhii hai,
HaQeeQat kam hai, ziyadah hain fasaanay.[/u]

Is sheAr meiN lafz "zyaadah" boul chaal kaa hei. Asl adabi lafz "zi'yaadah" hei.

kiya is tarah ki is tarah ka istaymaal jayez hai...yani lafz ziyaadah ko bawazn "piyaadah" istaymaal kiya jasakta hai...aap kay jawab kay liye main peeshgii mashkoor hooN...

12)mira bachpan mujhay louTaye koii,
huway haiN khud say mil kar kai, zamanay.


Mandarja-e-baalaa sheAr ke pahle miSreA meiN lafz "ka'yee" ko (kaaf + zabar + ye) se isteAmaal kyaa hei jou bilkul doosre maAni meiN Arabi meiN mustaAmal hei.

yahan bhi main aap say yeh janna chata hooN ki kiya is tarah ka istaymaal jayez hai.....aap kay jawab say yaqeenan mayray ilm main bahut izafa hoga...

13)maQaam-e-ins hai kiya?? deekh farHan!!
malak aatay hain,,mire paooN dabanay.


Aakhir meiN aapko is kaavish per daad aur mbubaarakbad pesh kartaa hooN.



aap ki daad aur mubarak baad kay liye main bahut mashkoor hooN....JAZAKALLAHU KHAIRA.....


Aapka MukhliS,

Nazir.





faqt farhan

Posted: Tue Dec 12, 2006 2:09 pm
by farhan
hassan_bashir wrote:
farhan wrote:
4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

bila-shubaa, janaab!!

ji janab

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

kyaa baat hai.

yehi baat hai janab :grin:

6)agar pardees say tum louT aavoo,
"to shayed lout aayeeN din puranay"

aChhi girah hai janaab, khoob!

shurkiya...janab

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameN maloom haiN, tayray bahanay.

:grin: :grin:

:lol: :lol:

8)yeh maNzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGhoN ki Hifazat ki hawa nay.

vahh vahh ----- bil-kusoos yeh she'r pasaNd aaya, daad! :rose

shukriya...shukriya janab...... :-) :-)

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

bohat umda'h :-)

pasand farmanay ka shukriya

-------------------------------------------------------------

mohtaram Farhan saaHib,

is maah bhi mushaire ke liye aap kee Ghazal baa'ic-e-masarrat huii, aap kee koshish qaabil-e-tehseen hai, qoute kiye gaye ash'aar khaas-taur se pasaNd aaye.

lehaaza merii jaanib se dilee daad qubool keejiYe. :rose :-)


Hassan


MoHtaram Hassan SaHib
yeh jaan kar mujhay bhi bahut hi masarrat huii ki aap kay liye mayri yeh ghazal baa'ic-e-masarrat huii....quote kiye gaye ashaar kay liye main khas-tour per aap ka shukarguzaar hoon...JAZAKALLAHU KHAIRA....

aap ki daad kay liye bahut bahut bahut shukriya...ummid hai ki aap isi tarah housla afzayii farmayeengaye...

farhan

Posted: Tue Dec 12, 2006 2:12 pm
by farhan
sara_j wrote:wah! farhan sahib aapke kavish dekh ker mujhe

yaqeen hota hai ke agar insaan mein khwahish aur justaju hou

tou har rukawat ko phalaangte hue use haasil karleta hai.

aapki ibteda ki shayari aur aaj ki dekh ker khushi hui

khuda kare ke zor e qalam aur ziyada.

daad qubool keejiye.

sara


MuHtarama Sara Ji

Adaab o Taslimat.....

kaisii hain aap?ummid hai ki mizaaj ba khair hongaye...is qadar housa aafayii kay liye main aap ka mamnoon hooN.....bila shuba is kamiyaabi aur taGayyur main Ustaad-e-muHtaram ki rahnumayii aur aap sub ahbaab ki khuloos bhi shamil hai....

ghazal ki pazirayii kay liye main shukar guzaar hooN....JAZAKALLAHU KHAIRA....duaooN kay liye bhi main bahut hi mamnooN o mutashkur hooN...

talib-e-dua.


Posted: Thu Dec 14, 2006 6:41 am
by zmufti
Farhaan bhai
Mushaire meN aapki ghazal buhat pasand aayii
daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Thu Dec 14, 2006 10:55 am
by farhan

MuHtaram ZarQa SaHiba....

Adaad o taslimaat....

ghazal ki pasandeedgii ka bahut bahut shukriya.....daad kay liye bhi main bahut hi mamnoon o mutashakkur hooN.. JAZAKALLAHU KHAIRA.....

hameeN aap ki ghazal ka intayzaar hai......

farhan

Posted: Thu Dec 14, 2006 5:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Janab Farhan SaHib aadaab-o-teseemat! :-)

Guzarish 24 ke liye aap kee nihaYat u'mdah aor pur kaef Ghazal paRhne ka maoqa' mila bohot meHnat se she'er kahe gaye haiN is kawish ko dekh~ kar aHsaas hota hai keh aap ka she'er gaoee se qalabee ta'luq hai.

asha'aar kee barjastagee aor khastagee is baat ka qawee caboot de rahee hai keh ilfaaz^-o-mua'anee barish ke qat^rooN kee t^araH nazl ho rahe haiN miSro'oN kee banawaT aor sajawaT ko dekh~ kar Yeh andazah lagana aasaan hai keh aap ne miSrooN ke rabt^ ke silsilah meN nihaYat eHtiYaat^ bartee hai. keh miSro'oN ka bahamee rabt^ qaee,m reh sake.

miSro'oN ko angoor kee belooN kee taraH tarasha geYa hai. takeh zeYadah ph~al la sakeeN aor Yahee wajah hai keh asha'aar kee dilkashee aor jazbiYat ka lams aor zai,eeqah Saaf mehsoos kiYa ja sakta hai.




1)hawayeeN jab bhi aayeeN bujhanay.
Hifazat ki mirii, maaN ki dua nay.

waah! waah!

2)chalo gayeeN,,bajayeeN shadyanay.
bahareeN aayeeN gulshan ko sajanay.

kiYa kehne!!

3)chupii haiN azmateeN insaaN main kitni,
khulaeN sub raaz, gar nadaan jaanay.

waah!

4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

kiYa kehne waah waah!! bohot khoob!

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

waah! waah!

6)agar pardees say tum louT aavoo,
to shayed lout aayeeN din puranay

kiYa kehne!! waah!!

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.

waah waah!!

8)yeh manzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGoon ki Hifazat ki hawa nay.

kiYa kehne waah bohot khoob!! jawaaj naheeN waah! inteha hai. waah!!

9)mirii aankheeN haiN khooN basta abhi tak,
kabhi deekhay thay kuch sapnay suhanay.

waah!

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

waah!!

11)tirii tafseer-e-gam maiN nay paRhii hai,
HaQeeQat kam hai, ziyadah hain fasaanay.

waah! waah!

12)mira bachpan mujhay louTaye koii,
huway haiN khud say mil kar kai, zamanay.

waah! waah!

13)maQaam-e-ins hai kiya?? deekh farHan!!
malak aatay hain,,mire paooN dabanay.

kiYa kehne!! waah!!

meree janib se is khubSurat aor HaseeN koshish par dilee mubaral baad qubool kijiYe!!

Wassalam
Muz^affar
[/align]

Posted: Sat Dec 16, 2006 1:28 pm
by farhan
Janab-e-muHtaram Muz^affar Ahmed Muz^affar SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu....

abhi thaka hara office say aaya hooN to aap ka muHabbat nama nazar nawaz hua....bahut bahut shukriya....main choonkay thaka hua hooN...abhi to main muKHtaSar jawab likh raha hooN.....tafseeli jawab kay saath 1,2 din main phir hazir hota hooN.....

dilee mubarak baad kay liye main aap ka bahut hi mamnoon o mutashkkur hooN...JAZAKALLAHU KHAIRA...

Farhan

Posted: Sat Dec 16, 2006 1:35 pm
by sbashwar
Farhan sahib, meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Posted: Mon Dec 18, 2006 6:55 am
by muhammad_19k
Farhan Sb.

aap ki khoobsoora ghazal daikh kar khushi hoee.

samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.


aap ka ye shair bohat pasand aaya. daad qabool keejiaye.

Mukhils,
Muhammad Khawar.

Posted: Tue Dec 19, 2006 1:32 pm
by farhan
sbashwar wrote:Farhan sahib, meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Salim Bashwar SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu....

kaisay mizaaj hain aap kay??bahut dinooN baa'd aap say sharf-e-takallum naseeb horaha hai.....

daad aur mubarak baad kayliye bahut bahut shukriya...

farhan

Posted: Tue Dec 19, 2006 1:37 pm
by farhan
muhammad_19k wrote:Farhan Sb.

aap ki khoobsoora ghazal daikh kar khushi hoee.

samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.


aap ka ye shair bohat pasand aaya. daad qabool keejiaye.

Mukhils,
Muhammad Khawar.
Janab MuHammad Khawar SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu...

Ghaliban yeh mayri aap say pahli mulaqaat hai.....ummid karta hooN aap say mulaqaat hoti rahaygii...

yeh jaan kar mujhay khushii hui ki aap kay liye mayri yeh ghazal ba'ic-e-masarrat hui..

daad kay liye main mashkoor hooN...JAZAKALLAHU KHAIRA..


FarHan....

Re: agar pardees say tum louT aavoo....by farhan

Posted: Fri Dec 22, 2006 3:58 pm
by haamidbaaqri
farhan wrote:
Ustaad-e-MuHtaram Janab Abdullah Nazir SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,

TaraHi ghazal peesh-e-KHidmat hai.

1)hawayeeN jab bhi aayeeN bujhanay.
Hifazat ki mirii, maaN ki dua nay.

2)chalo gayeeN,,bajayeeN shadyanay.
bahareeN aayeeN gulshan ko sajanay.

3)chupii haiN azmateeN insaaN main kitni,
khulaeN sub raaz, gar nadaan jaanay.

4)jahaan-e-nou ki sultani aata kar,
khudaya kam nahin tayray khazanay.

5)muhabbat hi eebadat hai khuda ki,
eebadat hi muhabbat hai, diwanay!!

6)agar pardees say tum louT aavoo,
to shayed lout aayeeN din puranay

7)samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.

8)yeh manzar deekh kar hairaan hoon maiN,
charaGoon ki Hifazat ki hawa nay.

9)mirii aankheeN haiN khooN basta abhi tak,
kabhi deekhay thay kuch sapnay suhanay.

10)zahay Qismat,, mire dushman bhi aaye,
diya turbat pay ik,, mayrii jalanay.

11)tirii tafseer-e-gam maiN nay paRhii hai,
HaQeeQat kam hai, ziyadah hain fasaanay.

12)mira bachpan mujhay louTaye koii,
huway haiN khud say mil kar kai, zamanay.

13)maQaam-e-ins hai kiya?? deekh farHan!!
malak aatay hain,,mire paooN dabanay.


aap ki aaraa ka muntazir

Syed Abdul Azeez Farhan....
assalaam o alaikum
mohtaram farhan saahib

kaisay hai.n aap?

aapki ghazal hame.n pasand aayee.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n

mukhlis
haamidbaaqri