Page 1 of 1
"khatm beenayee huee"aik taaza tarhi kalaam peshe
Posted: Tue Dec 12, 2006 7:01 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aik tarhi kalaam aapki bacaarato.n ki nazr kar rahay hai.n.
gar qubool uftad zahay........
arz kiya hai.
mout say jab marnay waalo.n ke shanaasaayee huee
unkau lagta tha qayaamat unpeh hai aayee huee
zindagi kau khel samjha 'ayesh kartay hi rahay
haush aaya jab ajal sar per thee mandlaayee huee
anbiyaa(a.s.)thay auliyaa(r.a.)thay hashr kay maidaan mei.n
"haaye kaisee us bhari mehfil mei.n ruswaayee huee"
dekho baatil ka andhayra chagaya hai har taraf
bangaye naadaan daana, khatm beenaayee huee
falsafah parday ka haamid woh nah samjhaygee kabhie
jau hau baahar bayhayaa aur ghar mei.n sharmaayee huee
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Bahut khoob, waah waah
Posted: Wed Dec 13, 2006 3:45 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayiee jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
mout say jab marnay waalo.n ke shanaasaayee huee
unkau lagta tha qayaamat unpeh hai aayee huee
MaTlaA bahut acchaa hei, waah waah.
zindagi kau khel samjha 'ayesh kartay hi rahay
haush aaya jab ajal sar per thee mandlaayee huee
Is sheAr meiN "thee manDlaayee huee" mere apne mizaaj se HaTkar hei kiyunkeh "mandlaanaa" aek aek aise maSdar hei jou feAl-e-mustamir (continuous tense) kee kaifiyyat zaahir kartaa hei. BaharHaal aap behtar samajh sakte heiN. Mafhoom ke liHaaz se bahut achchaa sheAr hei, waah waah.l
anbiyaa(a.s.)thay auliyaa(r.a.)thay hashr kay maidaan mei.n
"haaye kaisee us bhari mehfil mei.n ruswaayee huee"
Bahut achchi gireh hei, waah waah.
kufr o zulmat ka andhayra chagaya hai har taraf
bangaye naadaan daana, khatm beenaayee huee
Pahle miSreA meiN kufr ke saath zulmat kaa andheraa munaasib nahiN maAloom hourahaa hei. Kufr o nafrat yaa kuch aur kehne kee koushish keejiye. SheAr achchaa hei, waah waah.
falsafah parday ka haamid woh nah samjhaygee kabhie
jau hau baahar bayhayaa aur ghar mei.n sharmaayee huee
MaqTaA bahut shaandaar hei, kyaa kehne, waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob, waah waah
Posted: Wed Dec 13, 2006 6:27 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayiee jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
bahut mamnoon hai.n hum aapkay.
MULAAHIZAAT:
mout say jab marnay waalo.n ke shanaasaayee huee
unkau lagta tha qayaamat unpeh hai aayee huee
MaTlaA bahut acchaa hei, waah waah.
shukriya
zindagi kau khel samjha 'ayesh kartay hi rahay
haush aaya jab ajal sar per thee mandlaayee huee
Is sheAr meiN "thee manDlaayee huee" mere apne mizaaj se HaTkar hei kiyunkeh "mandlaanaa" aek aek aise maSdar hei jou feAl-e-mustamir (continuous tense) kee kaifiyyat zaahir kartaa hei. BaharHaal aap behtar samajh sakte heiN.
jee hame.n 'ilm hai is baat ka.magar is say ziyaadah munaasib lafz hame.n nahi.n mila apni baat kau pahunchaanay keliye.
Mafhoom ke liHaaz se bahut achchaa sheAr hei, waah waah.l
bahut bahut shukriya
anbiyaa(a.s.)thay auliyaa(r.a.)thay hashr kay maidaan mei.n
"haaye kaisee us bhari mehfil mei.n ruswaayee huee"
Bahut achchi gireh hei, waah waah.
zarra nawaazee aapki.
kufr o zulmat ka andhayra chagaya hai har taraf
bangaye naadaan daana, khatm beenaayee huee
Pahle miSreA meiN kufr ke saath zulmat kaa andheraa munaasib nahiN maAloom hourahaa hei. Kufr o nafrat yaa kuch aur kehne kee koushish keejiye.
aap sahi farmaarahay hai.n .dar asl humnay ghaur nahi.n kiya tha so ghalati hau gayee.humnay micre ko durust kardiya hai.baraaye meher baani zara dekhle.n.
SheAr achchaa hei, waah waah.
shukriya...jazakallah
falsafah parday ka haamid woh nah samjhaygee kabhie
jau hau baahar bayhayaa aur ghar mei.n sharmaayee huee
MaqTaA bahut shaandaar hei, kyaa kehne, waah waah.
aapnay hamaaray adna kalaam ko apnay tabcray kay qaabil samjha aur apni mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad say nawaaza jiskay liye hum aapkay behad shukrguzaar hai.n.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mukhlis
haamidbaaqri
Re: "khatm beenayee huee"aik taaza tarhi kalaam pe
Posted: Fri Dec 15, 2006 4:24 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
aik tarhi kalaam aapki bacaarato.n ki nazr kar rahay hai.n.
gar qubool uftad zahay........
arz kiya hai.
mout say jab marnay waalo.n ke shanaasaayee huee
unkau lagta tha qayaamat unpeh hai aayee huee
zindagi kau khel samjha 'ayesh kartay hi rahay
haush aaya jab ajal sar per thee mandlaayee huee
anbiyaa(a.s.)thay auliyaa(r.a.)thay hashr kay maidaan mei.n
"haaye kaisee us bhari mehfil mei.n ruswaayee huee"
kufr o zulmat ka andhayra chagaya hai har taraf
bangaye naadaan daana, khatm beenaayee huee
falsafah parday ka haamid woh nah samjhaygee kabhie
jau hau baahar bayhayaa aur ghar mei.n sharmaayee huee
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
wah hamidbhai bohat din baad aapka kalaam dekhi
aur acha laga.
daad qubool keejiye.
sara
salaamun alaikum
azeezah sara saahebah
kaisee hai.n aap?
ghazal aapko acchee lagee yeh jaan ker hame.n badee khushee huee.
aapki mukhlisaanah daad ko hum qubool kartay hai.n. aur allah(sbhnwt)say dua kartay hai.n keh woh aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
aapka bhai
haamid