MukhtaSar sawaalat
Posted: Fri Dec 15, 2006 6:43 am
Mein :Internat: ka isteAmaal bohat ziaada kartaa hooN. meri "job" hi kuch aisi hai. iss leeaye jub kuch seekhne ka moqaa aataa hai to :ustaad google: se madaad laitaa hooN.
ShaAeri kaa shauq huwaa to kissi dost ke ka shaAery ke fan par kahaa huwa aik lafz "Arooz" yaad aa-gia. bus phir kia thaa. laga :google: par search karne. aakhir kuch dinoaN meiN mehnat e shaaqa rang laa-ai to aik "web site: par Arooz ke mutalliq kuch asbaaq milay. aisa lagaa jaise khazana mil gaya ho. laikin bohat jald hi ehsaas ho gia ke sirf in ko parh laine se in ko samjha naheeN ja saktaa. phir un asbaaq ko tarteeb daine walee ki khoaj lagai toa meiN email ke zareeaye janab "Abdullah Nazir" se mutaarif huwa.
:internet: par janab Abdullah Nazir sb jasi shakhsiat ko :active: daikhna mere leeaye sehraa meiN gulaab ke "concept: se kam na tha oar phir uss ke baad ye web site sone par suhaaga saabit hoee.
Allah taala iss gulshan ko shaad o aabad rakhe.
ubb aataa hooN iss thread ki taraf, waise toa "ustaad e Mohtaram: itne shafique haiN ke kiss jis bhi zareeaye ( msn, email, telephone) se kuch bhi poocho kabhi na naheeN hoee. laikin un ki oar bohat se doosre seekhne waloaN ki sahoolat ke leeaye socha ke iss taraH ka thread banaa laitaa hooN jis meiN koi bhi shakhs jahaaN par atkaa ho sawal kar daalay oar jis saathi ko maloom ho woah uss ka jawab day day.
umeed kartaa hooN ke iss taraH na-aye aane waloaN ke leeaye seekhne ka marhala taiz ho ja-aye ga oar suhkan shanas logoaN ki mashq hotee rahe gi.
umeed kartaa hooN ke tamaam sukhan shanaas sathi oar "ustaad mohtaram" is thread ko khaaS toar par nazar meiN rakhaiN ge.