Page 1 of 1
Meri booooooohat puranee Gazal..............
Posted: Sat Dec 16, 2006 11:05 am
by jawaid badauni
Buzurgaan.e moHtaram wa
azeezaan.e giraamee
Aadaab
Aaaj baiThe baiThe ek bohat hi purani Gazal yaad aa gaii hai. Yeh un dinoN ki baat hai jub maiN Badaun meN tha aur mujhe choTee zameen meN Gazal kahne ka bohat shauq tha. Ustaad.e moHtaram Payam Kakraalwee Sahab un dinoN hayat thEy. MaiN ne unse ya Raunaq Badauni SaHab marHoom se baqaaidah islaah tou nahiN lee thee magar chund alfaz ke inteKhaab meN Pyaam SaHab se mashwarah zaroor kiya tha.
Iss Gazal ne bohat see purani yadeN taza kar dee haiN. Tamam ashAAr tou yaad nahiN aaye kyuuNkeh Hafiza bhi ab kamzoor ho chala hai phir bhee jo chund ashAAr yaad aa gaye aapki nazr kar raha hooN.
MuKhliS
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------------------
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
------------------------------------------------
api ghazal bahut achi lagi
Posted: Sun Dec 17, 2006 1:42 am
by dunya dehlawi
HaZrat Jawaid Badauni Saaheb,
Aadab o taslimat,
Apki ghazal parhkar bahut lutf aayaa, Meri dili dad qubool keeje.
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
Is ghazal kee radeef meN lafz "tak" ko nibhaanaa apka kamal hei. Matle meN "tak" se baat yuN samajh meN ati hei ke aap chaman meN dakhil nahiN houve raste meN hee daaman "tak" kanTe hee aye.
Sare ashar bahut pasand aye khas taor per doosre sher se akhir tak.
Khairandesh,
Dunya
wah, bahut kjhoob
Posted: Sun Dec 17, 2006 1:56 am
by abdulhadiruswa
HaZrat Jawaid Badauni Saaheb,
Aadab,,
Apki ghazal ke saare ashAar bahut pasand aay jinke liye khaksar kee dili daad aur mubarakbad qubool farmayiye.
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
khaksar,
Abdul Hadi ruswa,
Re: api ghazal bahut achi lagi
Posted: Sun Dec 17, 2006 3:33 pm
by jawaid badauni
dunya dehlawi wrote:
HaZrat Jawaid Badauni Saaheb,
Aadab o taslimat,
Apki ghazal parhkar bahut lutf aayaa, Meri dili dad qubool keeje.
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
Is ghazal kee radeef meN lafz "tak" ko nibhaanaa apka kamal hei. Matle meN "tak" se baat yuN samajh meN ati hei ke aap chaman meN dakhil nahiN houve raste meN hee daaman "tak" kanTe hee aye.
Sare ashar bahut pasand aye khas taor per doosre sher se akhir tak.
Khairandesh,
Dunya
MoHtarma Dunya SaaHibah
Aadaaq qubool farmaaiye
Ek arSaa.e Taweel ke bAAd aap ka Khat dekh kar bohat Khooshee huwee. Gazal ki pazeeraayee ke liye behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhee himmat afzaaii farmatee raheNgee,
Matley meN "tak" lafz ka istaimal zaroorat.e she'ree ke pesh.e nazar hai. Aapko deegar ashAAr bohat pasaNd aaye mujhe iskee Khooshee hai.
Ek baar phir shukriya.
KhooSkaar,
Jawaid Badauni
Re: wah, bahut kjhoob
Posted: Sun Dec 17, 2006 3:36 pm
by jawaid badauni
abdulhadiruswa wrote:
HaZrat Jawaid Badauni Saaheb,
Aadab,,
Apki ghazal ke saare ashAar bahut pasand aay jinke liye khaksar kee dili daad aur mubarakbad qubool farmayiye.
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
khaksar,
Abdul Hadi ruswa,
MoHtarmee wa mukarramee
Abdul Hadi Ruswa SaaHab
Aadaab.o.tasleemaat
Gazal ki purKhulooS pazeeraayee ke liye aapka marhoone minnathooN. Ummid in mahafil meN aap se mulaaqaat hoti rahegee.
MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Sat Dec 23, 2006 12:15 pm
by sbashwar
Mohtaram jawaid Badauni sahib
Umda ghazal kahi aapne. Aapki ghazal ka matl'a aur zail ka share khaas-taur par bohat pasand ayaa.
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
Re: Meri booooooohat puranee Gazal..............
Posted: Sat Dec 23, 2006 7:51 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid badauni wrote:Buzurgaan.e moHtaram wa
azeezaan.e giraamee
Aadaab
Aaaj baiThe baiThe ek bohat hi purani Gazal yaad aa gaii hai. Yeh un dinoN ki baat hai jub maiN Badaun meN tha aur mujhe choTee zameen meN Gazal kahne ka bohat shauq tha. Ustaad.e moHtaram Payam Kakraalwee Sahab un dinoN hayat thEy. MaiN ne unse ya Raunaq Badauni SaHab marHoom se baqaaidah islaah tou nahiN lee thee magar chund alfaz ke inteKhaab meN Pyaam SaHab se mashwarah zaroor kiya tha.
Iss Gazal ne bohat see purani yadeN taza kar dee haiN. Tamam ashAAr tou yaad nahiN aaye kyuuNkeh Hafiza bhi ab kamzoor ho chala hai phir bhee jo chund ashAAr yaad aa gaye aapki nazr kar raha hooN.
MuKhliS
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------------------
jitnee baar gaye gulshan tak
kaanTe hi aaye daaman tak
kaise kaise moR aate haiN
Khuwaahish.e fun se manzil.e fun tak
Zikr chalaa tha ashk.e Gam ka
Baat gaii unke daaman tak
Josh.e junooN. hi saath raha hai
naara.e huq se daar.o.rasan tak
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
subH.e chaman tou hogee lekin
kaun jiyega subH.e chaman tak
:Jawaid: ab tou hosh meN aao
Sholay aa pahooNchey daaman tak
------------------------------------------------
jawaid bhai salaam,
ghazal ne aapki purani yaadein taza kardein aur ye ghazal
paRhker humein aapke us zamaane ki aur ghazlein paRhne
ka shauq horaha hai.
chouTi behr mein bohat hi mutarannum aur umda ghazal hai.
daad qubool keejiye.
sara
Sara SaaHibah
A A A S
Aapki purKhuloos daad ke liye behud mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Jawaid
Posted: Sat Dec 23, 2006 7:53 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram jawaid Badauni sahib
Umda ghazal kahi aapne. Aapki ghazal ka matl'a aur zail ka share khaas-taur par bohat pasand ayaa.
dard ki lai kuch dheemee rakhiye
ghar ki baat rahe aaNgan tak
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
MoHtarmee Salem Bashwar Saahab
Aadaab
Gazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN.
Ummi dhai aaindah bhee aap se is bazm meN mulaaqaat rahegee.
Aapka MukhliS
jawaid Badauni