Page 1 of 1
dil ke zakhmaoN ko ham chupate rahe. dunya dehlawi
Posted: Sun Dec 17, 2006 6:33 pm
by dunya dehlawi
ahl-e-bazm,
taslimat,
aek mamuli si ghazal lekar hazir houee hoon. Ummid ke apne raye se navazenge.
GHAZAL
======
dil ke zakhmaoN ko ham chupate rahe
zindah rehne ko muskurate rahe
raat din jab wo aazmate rahe
jankar ham fareb khate rahe
ba'd ik umr ke houaa mehsoos
haal-e-dil sang ko sunaate rahe
sadagi ne kaha.n sanbhalne diya
ThoukareN be-hisab khate rahe
Zindagi ham tujhe samajh nah sake
Ret per apna ghar banate rahe
Yaar bashi hamara shewah hei
haath dushman se bhee milate rahe
ham ne kya kuch nahiN kiya :dunya:
Doust ihsaan kiyuN jataate rahe
-------
khairandesh,
dunya.
Posted: Mon Dec 18, 2006 4:50 am
by sbashwar
Mohtaram Dunya Dehlvi sahib
Aap ki ghazal bohat pasand aayi. Matla'a aur dosra sheir bohat khoob hai.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
Re: dil ke zakhmaoN ko ham chupate rahe. dunya dehlawi
Posted: Wed Dec 20, 2006 5:45 am
by Sarwar A. Raz
dunya dehlawi wrote:
ahl-e-bazm,
taslimat,
aek mamuli si ghazal lekar hazir houee hoon. Ummid ke apne raye se navazenge.
GHAZAL
======
dil ke zakhmaoN ko ham chupate rahe
zindah rehne ko muskurate rahe
raat din jab wo aazmate rahe
jankar ham fareb khate rahe
ba'd ik umr ke houaa mehsoos
haal-e-dil sang ko sunaate rahe
sadagi ne kaha.n sanbhalne diya
ThoukareN be-hisab khate rahe
Zindagi ham tujhe samajh nah sake
Ret per apna ghar banate rahe
Yaar bashi hamara shewah hei
haath dushman se bhee milate rahe
ham ne kya kuch nahiN kiya :dunya:
Doust ihsaan kiyuN jataate rahe
-------
khairandesh,
dunya.
mukarramee Dunyaa SaaHeb: aadaab!
aap se shaayad aaj pehlee baar niyaaz HaaSil ho rahaa hai. aap kee Ghazal saadah Khayaalaat ke saadah bayaan kaa achhaa muraqqa' hai. Ghazal pasand aayee. KhaaS t^aur se yeh she'r achhaa lagaa:
Zindagi ham tujhe samajh nah sake
Ret per apna ghar banate rahe
lekin is she'r meN :saNg: bhalaa naheeN lag rahaa hai. kuch aur socheN to behtar ho gaa:
ba'd ik umr ke houaa mehsoos
haal-e-dil sang ko sunaate rahe
majmoo,e'e t^aur se achhee kaawish hai. mubaarakbaad!
Sarwar A. Raz "Sarwar"