Page 1 of 1

GhaZal -------> by Mahir Ratlami !

Posted: Mon Dec 18, 2006 11:33 am
by hassan_bashir
[align=center]hazaar Gham the, merii zindagii akelii thii
Khushii jahaaN kii mere vaaste pahelii thii


vo aaj baCh ke nikalate haiN mere saaye se
ki maiN ne jin ke liye Gham kii dhuup jhelii thii


judaa huii na kabhii mujh se gardish-e-dauraaN
merii hayaat kii baChapan se ye sahelii thii


chaRhaa rahe haiN vo hii aaj aastiiN mujh par
ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii


ab un kii qabr pe jalataa nahiiN diyaa koii
ki jin kii dahar meiN roshan bahut havelii thii


vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe haiN salaam
isii adaa ne to :Mahir: kii jaan le lii thii



~ Mahir Ratlami ~[/align]

Posted: Mon Dec 18, 2006 3:44 pm
by sbashwar
:salaam:
Hassan sahib bohat achchi ghazal share karne ka shukria. Har sheir qabil-e-daad hai.

Posted: Mon Dec 18, 2006 4:25 pm
by hassan_bashir
sbashwar wrote::salaam:
Hassan sahib bohat achchi ghazal share karne ka shukria. Har sheir qabil-e-daad hai.
:walikum2:

Bashwar saaHib, mere pesh kardaa intekhaab ko pasaNd farmaane ka bahuut shukriYah! :-)

Posted: Fri Dec 22, 2006 8:13 am
by ROSE
---------------------hummmmmmmmmmmmmmm

zeberdest!!_____________________________

Posted: Sun Dec 24, 2006 5:47 am
by hassan_bashir
ROSE wrote:---------------------hummmmmmmmmmmmmmm

zeberdest!!_____________________________
hmmmmmmmmm---------

________________________________ bahut shukriyah!! :grin: