Page 1 of 1
KALAAM-E ALI SARDAR JAA'FRI.
Posted: Tue Dec 14, 2004 5:24 am
by NAZRANA
AS-SALLAM-O-ALIKUM,
ALI SARDAR JA'FRI SAHIB KA KALAAM PESH HAY.
Posted: Tue Dec 14, 2004 7:46 am
by waqar_masood
assalam o alaikum nazrana ji
MA SHA ALLAH buhut khubsoorat ghazal muntakhib ki hay aur apni salaheyat say ghazal ko behtreen rang o roop day ker pesh kia,...apni is behtreen kawish per dheroon daad qubool farmayen..ali sardar ka buhut mukhtasir kalam parha lekin aap ka intkhab bhi buhut hkoob hay
waqar masood
Posted: Tue Dec 14, 2004 11:29 pm
by Hashmat Usmani
salaam Naazraana saaHib,
bahot Khoob chunaao hai aapkaa. jitna achchha kalaam utnaa hii achchhii uskii 'akkaasi. aapne apne Khoob jauhar dikhaayeN haiN. masha Allah, chashm-e-bad-door! kaash hamen bhi yehi sab kuchh aataa hotaa. dil karta hai ki maiN bhii seekhuuN yeh kaarii-garii, magar yeh soch kar ruk jaataa huuN, ki:
aaKhiri waqt meN kia Khaak musalmaaN hoNge!
Posted: Wed Dec 15, 2004 8:06 am
by rahmed25682
Nazrana sahab
Bohat he khoob...
Khoobsurat kalaam ....aur....humaisha kee tarha paish karnay ka dilkash andaaz
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed