Page 1 of 1

Zindagi ke Husn Ko..... !!

Posted: Tue Dec 19, 2006 4:11 pm
by munir-armaan-nasimi
Urdubandhan ke Dosto,

Salam-o-Rehmat !!

Ek Ghazal Aap Sab-ke Liye... Ummeed hai ke aap apni aara' se nawazeinge.

Beradaram Abdullah Nazir, Sara JEE aur Deegar Ustaad-e-fan se guzaarish hai ke aap meri ghazala ke nok-palak durusht kar dein to ye kisi qabil ho jaaye.

Duaon main yaad rakhkhein,

aapka apna,

armaan

Re: Zindagi ke Husn Ko..... !!

Posted: Wed Dec 20, 2006 5:37 am
by Sarwar A. Raz
munir-armaan-nasimi wrote:Urdubandhan ke Dosto,

Salam-o-Rehmat !!

Ek Ghazal Aap Sab-ke Liye... Ummeed hai ke aap apni aara' se nawazeinge.

Beradaram Abdullah Nazir, Sara JEE aur Deegar Ustaad-e-fan se guzaarish hai ke aap meri ghazala ke nok-palak durusht kar dein to ye kisi qabil ho jaaye.

Duaon main yaad rakhkhein,

aapka apna,

armaan
mukarramee Nasimi SaaHeb: aadaab!

aaj kaafee dinoN ba'd idhar aa niklaa to aap kee yeh dilkash kaawish naz^ar se guZree. shaayad is ko jadeed Ghazal kehnaa ziyaadah munaasib ho gaa kyoN.k is meN riwaayatee raNg-e-taGhazzul bohat kam hai. yeh koyee buree baat naheeN hai. Ghazal kaa raNg bohat badal gayaa hai. aap kee Ghazal ek kaamyaab kaawish hai. mujh ko is meN ek Nauheh kaa raNg ziyaadah numaayaaN naz^ar aayaa! :-)

meree daad qubool keejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Thu Dec 21, 2006 7:11 am
by munir-armaan-nasimi
Qaabil-e-Sad Ehteram Sarwar Alam Raz Sarwar Saheb,

Salam-o-Rehmat! Jah-e-Naseeb kii aap ko meri ghazal pasand aayi. Main jadeed aur qadeem ke baare main kuchh nahin jaanta, jo dil main aata hai likh deta hoon, ab ye aap jaise saheb-e-fann hazrat hi faisla karenge ke....... main kitne paani main hoon. Aap ke tassurat mere hosle ko buland kar gaye. Insha'Allah bahut jald dobara haazir-e-khidmat honga.

Duaon main yaad rakhkhein,

aap ka adna,

armaan

Posted: Thu Dec 21, 2006 8:03 am
by muhammad_19k
Munir sb,

Itni khoobsoorat ghazal paish karne par dilli shukriya qabool farma-aye. Ahl e fan koi bhi hao waoH zamaane ek badalte huway taiwar se apne fan ko bohat diar tak bacha ke naheeN rakh saktaa oar kayee martabaa us ke fan meiN zamana ke rang chhalakna shroo ho jaataiN haiN. aap ki ye jadeed ghazal iss baat ka saboot hai.

Allah kare zor e kalam oar ziada,

aap ka mukhlis,
Muhamamd Khawar.

Posted: Fri Dec 22, 2006 11:07 am
by munir-armaan-nasimi
Bhai Mohammad Saheb,

Kaun Kehta hai ke aap ko...."baat kehne ka dhang naheen aaya""??? ek taraf to aap kehte hain ke ahl-e-fan koi bhi ho wohh zamane ke badalte rang ke saath badalta hai. uski ghazal kii ranginiyaan badalti hain.... aur doosri taraf aap khud se kehte hain..."Mujh pe Dunya ka rang naheen aayaa". Kaunsi duniya main rehte hain aap????

Anyway, ghazal pasand aayi, aap ne daad di, shukr guzaar hoon. agle mail ka intezaar hai.

aap ka apna,

armaan

Posted: Fri Dec 22, 2006 11:12 am
by muhammad_19k
Salam Armaan Sb,

Janab meiN apni baat par rehte huway aap ki baat se poori taraH muttafiq hooN. Ahl e fan par asar aataa hai . oar mujh par naheeN aaya. :-). ubb agar aap pardaa paRha hi rehne daiN toa ye aap ki shafqat hai. :-).

Allah taala aap ko hamesha khush o khuram rakhe,

duago,

Muhamamd Khawar.

Posted: Fri Dec 22, 2006 11:14 am
by muhammad_19k
oar haan Armaan sb,

koshis keeya karaiN ke nazam ya ghazal ko Roman meiN bhi likh daiN. meraa khayaal hai ke agar aap ne roman meiN ghazal likhi hoti to Sarwar sb ka tabisra iss se bhi ziada dil kash hotaa. ( cut/past ya quote ki sahoolat mil jaati haiN na)

aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.

Posted: Fri Dec 22, 2006 4:46 pm
by munir-armaan-nasimi
Yaar, aap ko pata hai..... Urdubandhan main....mere ek "Invisible" karam farma hain jo...... meri "Ghazal" ko "Rang De Roman" kar Dete Hain. Pata nahin abki baar wohh kyon mere se naraaz hain jo kiya nahin.

Ya Alla'h Koii Rehmat ka ya kii Farishta bhez de jo Roman main meri ghazal likh de.

Aameen!