baat mere dil ki taire lab pe
Posted: Wed Dec 20, 2006 7:01 am
BuzargoaN oar DostoaN ki khidmat meiN Salam.
aik nayee koshish ke saath haazir khidmat hooN. Qara-eeN jitna ziada meri takhleeq ko kari nazar se daikhaiN ge, umeed kartaa hooN utni hi achchi koshish ke saath dobaarat haazir khidmat hooN ga.
aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar
Ghazal
1. baat maire dil ki tair lab pe thi aa-ee hoee.
"hai kaisi uss bhari mehfil meiN ruswai hoee
2. Naachtaa phirtaa hooN taaj e ishaq meiN Sir par leeaye
Iss se baRh kar oar kia mairii shahanshai hoee.
3. raftaa raftaa ho gaye sur zindigi ke aashkaar
jaise jaise aap se mairee shanasai hoee.
4. KargasoaN jaise sitaaroaN se bhara hai aasamaaN,
chaand jaise faakhtaa ho in mieN ghabrai hoee
5. beej bo kar bughz o nafrat ka jahaaN meiN chaar soo
nasl e aadam phir tabaahi ki tamaashai hoee
6. baagh e rizwaan se toa nikle hi the ham be aabroo
iss jahaaN meiN bhi na kuch apni pazeerai hoee.
7. seenchane arz e wafaa ko apne khooN se jub chale
kyooN huway shikwa kunaaN tum aabla paaee hoee
8. band aankhoaN se zamane meiN chala chalta hooN meiN
aankh meiN tasweer jub se hai tiri aaii hoee
9. chaar din ki zindigi ki kia shikayat "FAIZ" ji
chaar din meiN daikhiaye kia kia na ruswai hoee
10. daikhtaa hooN zulfaiN taire chehre par aye maahtaab
roshi par hai abhi kaali ghata chhaai hoee
11. zindigi se doo badoo Khawar rahaa hooN iss tarah
muskaraa kar lout jaati hai ajal aaai hoee.