Page 1 of 1

wajdaan badal jaate haiN

Posted: Wed Dec 20, 2006 4:40 pm
by tahira Masood
Aziz tareen saathio

salaam-e-khuloos

kaafee Arsah k b'Ad aik taazah ghazal laiker Haazir huee hoN. ummeed haik eh pasand aaey gee aur aap apni raaey se nawaazeiN ge.
wassalaam

lijiay ghazal Haazir hai

Image

1-waqt k saath yeh azhaan badal jaate heiN
sach tau yeh hai keh insaan badal jaate haiN

2-muaa'milaah ghair ka jab hau tau bohat sakht haiN laug
apnee baari peh yeh meezaan badal jaate haiN

3-ASr-e-Haazir maiN kuch aisee baRhi duniyaa daari
naik tab'AoN k bhee maelaan badal jaate haiN

4-Um'r k saath taghayyur bhee hai laazim laikn
dil wahi rehtay haiN abdaan badal jaate haiN

5-Azm-e-momin se Takraa k yeh dekhaa akCar
rukh biphartay huay toofaan badal jaate haiN

6-kayaa gilaah tujh sae badal jaanay kaa ay daust miray
dil tau dil hai yehaan eemaan badal jaate haiN

7-khush gumaani mairee aadat nahiN fitrat hai miree
kaun kehtaa hai keh wijdaan badal jaate haiN

8-jab kisee kaam maiN raazi nah hau Yazdaan tau phir
dekhtay dekhtay samaan badal jaatay haiN

9-sho'Abdah baazi-e-baatil ne woh phooNkaa hai fusooN
kitnay pukhtah bhee hoN eeqaan badal jaate heiN

10-itnee afsurdah ho kioN dekh k badlee duniyaa
Tahira waqt k rujHaan badal jaatay haiN

kitnay pukhtah bhee hoN eeqaan badal jaate heiN

Posted: Wed Dec 20, 2006 5:17 pm
by muhammad_19k
Salam Tahiraa ji,

Aap ki ghazal paRhne ke baad apne kyalaat qalamband kar rahaa hooN. yaqeenun mera andaaz aap saa mutasir kun naheeN. Laikin phir bhi meiN samajhtaa hooN ke woah sub kuch likhne meiN koi aar naheen jo meiN ne mehsoos keeaye. Aap ki shaAer se ye mera qiaas hai ke aap aik bareek nazar rakhti haiN oar maira fazool sa "feed back" bhi kissi na kissi tarah zaroor aap ki leeaye mufeed ho ja-aye ga ( iss meiN kamaal aap ki nazar kaa ho ga -:)


Aap ke tamaam hi mazaaemeen khoobsoorat haiN. mujhe khasoosun jo shaAer sub se achha lagaa uss ka doosra misra meiN ne subject line meiN "paste" kar diaya hai.

1-waqt k saath yeh azhaan badal jaate heiN
sach tau yeh hai keh insaan badal jaate haiN



Ghazal ko doosri martabaa paRhne par mehsoos huwa ke jis taraH ke mazaameen aap ne bandhaiN heN. meqtA iss se bhi ziada dilkash hona chah-aye thaa. dhayaan rakhiaye ga "is se bhi ziada" :-)


2-muaa'milaah ghair ka jab hau tau bohat sakht haiN laug
apnee baari peh yeh meezaan badal jaate haiN

bohat khoobsoorat shaAer hay. mujhe meezaan ke saath "ye" ka andaaza naheeN ho pa raaha ke ye "ye" logoaN" ki taraf ishaara kar rahi hai ya "meezan" ki taraf? oar us ke allaway peh oar yeh ka ikatha isteAmaal bhi shaid koi aisa achha naheeN lag rahaa.

3-ASr-e-Haazir maiN kuch aisee baRhi duniyaa daari
naik tab'AoN k bhee maelaan badal jaate haiN
bohat hi khoob. dhairoaN daad qabool keejiaye.

4-Um'r k saath taghayyur bhee hai laazim laikn
dil wahi rehtay haiN abdaan badal jaate haiN

abdaan badalnaa? meiN yaqeenun samajh rahaa hoaN ke aap taba-aee sikast o raikht ki baat kar raheeN haiN. daikhte haiN ustaad e mohtaram iss ke bare meiN kia farmate haiN.


5-Azm-e-momin se Takraa k yeh dekhaa akCar
rukh biphartay huay toofaan badal jaate haiN


is meiN pehle misrA meiN halka sa shaibaa hota hai jaise ham takrane jaa rahaiN haiN :-). oar doore misraA meiN aap ne wazn ko malhooz khatir rakhte huway "biphray huwa" ( jo poori taaqat meiN ho) ki bajaaye "bipharte huway" ( jo abhi taqwar ho rahaa ho) isteAmaal kiya hai. ye yaqeenun aap ne misra ko vazn meiN rakhne ke leeaye kiya hai. laikin iss compromise ke saath mazmoon ko poora arooj miltaa huwa dikhai naheeN daita.

6-kayaa gilaah tujh sae badal jaanay kaa ay daust miray
dil tau dil hai yehaan eemaan badal jaate haiN
Pehle oar doosre misraA ka rabt? aap agar meri naa samjhi par daantaiN gi to yaqeen jaaniaye bilkul khamoshi se sunooN ga.

7-khush gumaani mairee aadat nahiN fitrat hai miree
kaun kehtaa hai keh wajdaan badal jaate haiN
meiN yahaaN par english likhe baghair neheeN reh sakta :-) . :This is great:


8-jab kisee kaam maiN raazi nah hau Yazdaan tau phir
dekhtay dekhtay samaan badal jaatay haiN

Yazdaan? mere ilm meiN lafz yazdaaN hai. aik baar phir agar meiN apni la ilmi meiN ye question maark lagaa rahooN to maazarat.

9-sho'Abdah baazi-e-baatil ne woh phooNkaa hai fusooN
kitnay pukhtah bhee hoN eeqaan badal jaate heiN


bohat khoobsoorat.


10-itnee afsurdah ho kioN dekh k badlee duniyaa
Tahira waqt k rujHaan badal jaatay haiN.

Ye bhi aik khoobsoorat khayal hai. waise agar kissi taraH "waqt ke ruHjaan" ke baja-aye "dunya ke ruHjaan" baandha jaata toa kia bayan ziada khoobsoorat na ho jaata?

Aik baar phir dasta basta aap ke saamne kharaa hooN. mujhe un tamaam bataoN ke leeaye muaaf farma-aye ga jo meiN ne apni kam ilmi laikin shouq meiN likh deeN. oar agar aap mairi tasheeH farmaa daiN toa meiN aap ka shukar guzar hooN ga.

aap ka mukhlis,
Muhamamd Khawar.

Posted: Thu Dec 21, 2006 8:54 pm
by tahira Masood
moHteram

Assalamo ALaikum w.w

aap ne bohat Ameeq jaaizah liya ahai . maiN aapki aHsaanmand hoN. Inshallah jald mufaSSil jawaab ksaath Haazir hoNgee.

wassalam

Posted: Sat Dec 23, 2006 12:20 pm
by sbashwar
Mohtarama Tahira Sahiba
:salaam:
Bohat achchi ghazal kahi. Sabhi ash'ar munfarid hai. Khas taur par aapka yeh shair pasand ayaa.

6-kayaa gilaah tujh sae badal jaanay kaa ay daust miray
dil tau dil hai yehaan eemaan badal jaate haiN

Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar

Posted: Thu Jan 04, 2007 1:54 am
by tahira Masood
shukeriyah Sara sis

salaam

daers e nazar paRee es post per m'azerat khwaah hoN

aayndah bhee Hauslah afza'ee fermaati rehiye gaa

khush rehiye

wassalam
:rose

Posted: Thu Jan 04, 2007 1:57 am
by tahira Masood
sbashwar wrote:Mohtarama Tahira Sahiba
:salaam:
Bohat achchi ghazal kahi. Sabhi ash'ar munfarid hai. Khas taur par aapka yeh shair pasand ayaa.

6-kayaa gilaah tujh sae badal jaanay kaa ay daust miray
dil tau dil hai yehaan eemaan badal jaate haiN

Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
moHteram

salaam

yeh aap kaa Husn-e-nazar hai

aap ko yeh shaer pasand aaya

mujhay es se baat se beHad khushee huee

aayndah bhee HauSalha afzaa'ee fermte rehiye gaa

sadaa khush rehiN

wassalam