Page 1 of 1
doosere derje ki shehri....
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:51 pm
by tahira Masood
Aziz saathio
salaam-e khuloos
aik aur teraH k aHasaast k saath aurat hi k mozuu per phir qalam uThaaya hai. esae mushaahidah kehaiN
yaa tajrubah samjhieN jo bhee kaheiN. yeh Theek hai keh her insaan ki zindagee k kaee rang hotae heN koee gaaRha koee halkaa yeh unhi maiN sae aik hai.
mulaahizah fermaaiye
aap ki aara meri HauSalah afza'ee kaa baaic hoNgee.
wassalam
woh azal sae
her mulk her qaum ki
dooserae derjeh ki shehri hai
us ka aurat honaa hi
uski khataa Theheri hai
Haq tau yeh hai keh aaj bhee jabkeh
aurat ki naam nehaad aazadi k
buland-o-baaNg d'awe ho rehay haiN
tab bhee woh apne aSal Haq se
meHroom hi reh rehi hai
zulm seh rehi hai
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:59 pm
by muhammad_19k
Salam Tahira ji,
Aazaad shAeri se bohat kam waqif hooN. waise to ghazal ka bhi mujhe "kakh" (punjabi lafz bamaani "khaak") pataa naheeN
. beHar haal aap ke khayaal par zaroor ra-aye day saktaa hay you ko bohat khoobsoorat hai. yaqeen is mozoo par qalm uthaane ki abhi bohat ziada gunjaish mojood hai.
Allah kare zor e qalam oar ziada,
Duago,
Muhammad Khawar.
Posted: Fri Apr 20, 2007 2:59 pm
by tahira Masood
muhammad_19k wrote:Salam Tahira ji,
Aazaad shAeri se bohat kam waqif hooN. waise to ghazal ka bhi mujhe "kakh" (punjabi lafz bamaani "khaak") pataa naheeN
. beHar haal aap ke khayaal par zaroor ra-aye day saktaa hay you ko bohat khoobsoorat hai. yaqeen is mozoo par qalm uthaane ki abhi bohat ziada gunjaish mojood hai.
Allah kare zor e qalam oar ziada,
Duago,
Muhammad Khawar.
Khawar Bha'ee
salaam
aap ne meri is adnaa si koshish per mukhataSir magar jaam'e tabSirah kiyaa hai
meraa bhi yehi kahyaal hai keh iss mozo per aur bhi likhaa jaan chaahiye aur Doob ker likhaa jaana chaahiye
aurat muaashre kaa woh tabaqua hai jo bohat muaccir tareeqe per agli nasloN per aCar andaaz ho saktaa hai
ba aher Haal aik baar phir aap k khiyaalat k liye mamnooN hoN aur bataur-e-khaas shukar guzaar hoN
sadaa khush rehaiN
wassalam