Page 1 of 1
Guz#24 ------> lagaate jaayeN ge naara divaaane!
Posted: Fri Dec 22, 2006 8:15 pm
by hassan_bashir
[align=center]
yaraan-e-mehfil, aadaab!
eik muddat k baad mushaire meiN haazrii de rahaa hooN, is maah Ustaad-e-mohtaram ne baRa dil-kash misraa diyaa aur khaaksaar ne bhii is par tabaAzmaayii kii aur natijatan do kalaam hue eik Naat-e-rasool aur dusrii Ghazal, jo k aap kii khidmat meiN haazir haiN, aap sab kii qiimatii aaraa ka inteZaar rahe ga!!
Shukriyah!
Naat-e-Rasool
1-
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza::rahma: ne
2-
diyaa paigham hai mujhko sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
3-
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
4-
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
5-
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
6-
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
7-
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
8-
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
Ghazal
1.
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
2.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
3.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne
4.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
5.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayhyit sajaane!
6.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
7.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
8.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qiyaamat meiN rakhi izzat khuda ne
Hassan[/align]
Re: Guz#24 ------> lagaate jaayeN ge naara divaaane!
Posted: Sat Dec 23, 2006 6:42 am
by haamidbaaqri
hassan_bashir wrote:[align=center]
yaraan-e-mehfil, aadaab!
salaamun alaikum
mohtaram hasan bashir saahib
eik muddat k baad mushaire meiN haazrii de rahaa hooN, is maah Ustaad-e-mohtaram ne baRa dil-kash misraa diyaa aur khaaksaar ne bhii is par tabaAzmaayii kii aur natijatan do kalaam hue eik Naat-e-rasool aur dusrii Ghazal, jo k aap kii khidmat meiN haazir haiN, aap sab kii qiimatii aaraa ka inteZaar rahe ga!!
Shukriyah!
Naat-e-Rasool
1-
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza::rahma: ne
yeh kis firqay kee baat kar rahay hai.n aap?
hamaary 'ilm mei.n ezaafah hauga agar aap iskau waazeh karde.n.
2-
diyaa paigham hai mujh sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
micra e oola mei.n shayed aap mujhko kehna chaahtay hai.n.
baday khushnaseeb hai.n aap...bulaawa jau aaya hai.mubaarak ho.
3-
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
kya 'aqeedat hai waah waah.......
4-
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
beshak yahi muwaddat kee nishaani hai.
bahut khoob ...jazakallah
5-
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
bahut accha sher hai.
6-
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
yaa. rasoolallah(s.a.w.aw.).....leejiye humnay naara' laga diya.
7-
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
aameen.
8-
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
aameen ......ya rabbul aalameen
hasan saahib is purnoor naat per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.waisay iska ajr tau aapko allah(sbhnwt)hi dega apnay habeeb(s.a.w.a.w) kay sadqay mei.n.
Ghazal
1.
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
acche girah hai.
2.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
waah.....
3.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne
khoob
4.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
bahut accha sher hai.......ab woh najoomi nahi.n raha.
5.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
khoob
6.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
accha hai......
7.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
yahaa.n sataanay kaisa rahega...?
8.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qayaamat meiN rakhi izzat khuda ne
bahut khoob
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.
mukhlis
haamidbaaqri
Hassan[/align]
Bahut khoob, achcha kalaam hei maashaaAllah
Posted: Sat Dec 23, 2006 7:21 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Hassan Bashir SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 24 ke miSreA per aapki naAT sherif SAWS aur ghazal bahut pasand aayeeN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza: ne
diyaa paigham hai mujh ko sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
MashaAllah bahut achchi naAt sherif SAWS
hei.
Ghazal
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
Bahut achcha maTlaA hei khoobSoorat gireh ke saath. Waah waah.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
Achcha sheAr hei. Lekin aek TaraH se meHboob ko aap bewafaa kehrahe heiN aur uske waAdaoN ke baare meiN keh rahe heiN ke wo waAde jo us ne kiye thay wo shayad bhulaanhe ke liye nahiN thay. Mafhoom ke liHaaz se taZaad paidaa hourahaa hei.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne [/u]
Achcha sheAr hei. Waah waah.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
Jee seedhaa saadah sheAr hei, waah waah.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
Achcha sheAr hei waah waah. Lafz "mayyat" nahiN balkeh "mayhyit " hei.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
achcha sheAr hei, waah.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
achcha sheAr hei, waah.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qayaamat meiN rakhi izzat khuda n
MaqTaA bhee aapke sheAri mizaaj ke muTaabiq hei. Waah waah.lafz "qiyaamat" hei "qayaamat" nahiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sat Dec 23, 2006 7:41 am
by muhammad_19k
Salam janab Hasan Bashir Sb,
aap ki naat daikh kar bohat khushi hoee oar aap ke naik jazbaat oar khayaal ki jitni taareef kee-jaye kam hai. Naat likhnaa bhi aik saadat ki baat hai.
Jub school life meiN hamare urdu ke teacher ne lafz "naAaat" ki tareef bataai to kahaa ke aisi nazm ya ghazal jis meiN aaqaa-aye do jahaaN ki taareef kee jaa-aye uss naaat kehte haiN.
NaAat yaqun ghazal naheeN hai ke js meiN islaam ke mutallaq har mazmoon baandhaa ja-aye. Laikin phir bhi daikhtaa hooN ke naAaat ke unwaan ke saath likhay huway ashhaar meiN bohat se doore mozooAat par likhe huwaay asshar bhi add kar deejaataiN. Aor aap ki ye koshish bhi uss se bach na saki.
1. lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza: ne
Aap ki aqeedat daikh kar khushi hoee. meiN khud bhi janab Ahmed Raz brailwai RA se mohabbat rakhne waloaN meiN se hooN. laikin unwaan NaAat ho oar matlaa hi kissi oar ki shaan bayan kar raha ho ye aik kaisa muamlaa hi aap khud hi daikhiaye. Kia ghazal ke dairaa kaar ki taraH naAet ka dairaa kar bhi waseeA ho rahaa hai?
2- diyaa paigham hai mujh sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
aap ka jazbaa aap ki mohabbat qabil e qadar hai. meiN ye bhi maanta hooN ke aaj kal aisi hi naAataiN likh jaati haiN oar pasand ki jaati haiN. laikin na jaane kyooN iss forum ke memberaan se mujhe sirf "khalis" cheezoaN ki tawaqqaa hotee hai. ye shair aa ke jazbaat ki toa khoob tarajmaani kartaa hai oar aap ke muqaam ko bhi baRhaata hai ke aap ko bulaayaa ja rahaa hai. Laikin Huzoor e pur noor SAWW ki kia taAreef hoee iss meiN?
3- maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
4- maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
5- naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
Subhaan Allah.
6- aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
mashaalllah
7- nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
Allah taala ham sub ko ye saadat day. ( iss sheAer ko bhi naAet ka hissa bananaa kaise munaasib hai?)
8- madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
Ameen ( sawal wohi hai)
ya baja hai ke likhte waqt apne jazbaat ko bayaan na karna bhi aik ziadti ho sakit hai. laikin kia hee khoob hai ke 5 , 6 tauseef ashhaar meiN aik do hijr, hum, firaq, masti, visal, karam waghiar ke ashhar rakhaiN jaiaN. darja baala naAet mein majmomee taor par daikhiaye to meiN ka seegha har doosri baat par bhari hai.
Agar aap mairi neeyat ko daikhaiN to umeed hai ke iss gustaakhi par muaaf farmaa daiN ge,
oar rahi baat ghazal ki to woah to hai hi zabardast khaas toar par ye wale ashhar,
3.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne
4.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
5.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
Allah taalaa aap ko jaaza day. oar khush rakhay
aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.
Posted: Sun Dec 24, 2006 1:02 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
moHtaram Hasan Bashir SaHib aadaab!
Guzarish 24 ke liye aap kee na'ate mubarkah aor Ghazal donooN hee baRee pasand aaeeN haiN. donooN aSnaaf-e-sukhan meN iz^haar-e-kheYaal ka yeh t^areeq dilshaspee aor jazbiYat se khalee naheeN.
mujh~e ummeed hai keh aap aae,indah bh~ee apnee dilchaspee aor lagawaT ko qae,im rakh~te huwe apnee takhleeqaat se ehl-e-meHfil ke qalb-o-jigar ko garmate raheeN ge.
Naat-e-Rasool
1-
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza: ne
mashAllah
2-
diyaa paigham hai mujh sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
mashAllah
3-
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
mashAllah
4-
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
mashAllah
5-
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
mashAllah
6-
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
mashAllah
7-
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
mashAllah
8-
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
mashAllah
Ghazal
1.
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
waah! waah!
2.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
wah!!
3.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne
waah!
4.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
kiYa kehne!!
5.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
achcha hai!
6.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
waah!
7.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
waah!
8.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qayaamat meiN rakhi izzat khuda ne
waah!!
meree janib se in khubSurat asha'aar par dad aor mubarak baar qubool kijiYe!!
Wassalam
Muz^affar[/align]
Posted: Sun Dec 24, 2006 7:36 pm
by hassan_bashir
sara_j wrote:arrey waaaaaaaaaaaaaahhhhhhh!! jald hi haazir houngi
"ham inteZaar kareN ge tiraa qiyaamat tak"
Re: Guz#24 ------> lagaate jaayeN ge naara divaaane!
Posted: Sun Dec 24, 2006 8:22 pm
by hassan_bashir
haamidbaaqri wrote:
[align=center]
salaamun alaikum
mohtaram hasan bashir saahib
Wa-alaikum-as-salaam Haamid saaHib
Naat-e-Rasool
1-
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza::rahma: ne
yeh kis firqay kee baat kar rahay hai.n aap?
hamaary 'ilm mei.n ezaafah hauga agar aap iskau waazeh karde.n.
Haamid saaHib, mujh khaaksaar ka ilm kuch ziyadah nahiiN, albattaa aksar aulmaa-e-ehl-e-sunnat se suntaa hooN k jis daur meiN deen ko badlaa jaa rahaa tha, kaii log nayaa deen iijaad karne meiN lage the aur islaam ka nashqa bigaar kar saamne laaya jaa rahaa tha, us daur meiN Allah subHan-va-ta'alaa ne "Mujaddadin-e-millat Aala Hazrat Shah Ahmad Raza khaaN Barelvi " ko paida kiyaa thaa, is mard-e-momin ne 72 baatil firqoN k khilaaf naaraa-e-haq balaNd , aur din-e-islaam ka saHeeH naqsha hamaare saamne laa kar rakha
bas yahi baateN mere zeHn meiN thiiN aur meiN yeh she'r likh paaYa.
2-
diyaa paigham hai mujh sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
micra e oola mei.n shayed aap mujhko kehna chaahtay hai.n.
baday khushnaseeb hai.n aap...bulaawa jau aaya hai.mubaarak ho
jii haaN voh typo hai maiN ne durust kar diyaa hai.
aur karam hai mere sarkaar kaa, jald hii un k darbaar-e-muqaddas meiN haazarii hogi, Inshaallah!
Ya mustafa Khudaaaaaara do izn Haazarii ka,
kar looN nazaara aa kar meiN aap kii galii ka!!
3-
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
kya 'aqeedat hai waah waah.......
Shukriyah huzoor!!
4-
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
beshak yahi muwaddat kee nishaani hai.
bahut khoob ...jazakallah
jii, bila shubah janaab!!
5-
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
bahut accha sher hai.
Shukriyah!!
6-
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
yaa. rasoolallah(s.a.w.aw.).....leejiye humnay naara' laga diya.
jii is par Aala hazrat ka eik she'r yaad aa gayaa k:
Khuld meiN hogaa hamaara daakhilaa is shaan se
YA-RASOOLALLAH ka naaraa lagaaate jaayeN ge!!!!
7-
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
aameen.
Summa-Aameen!
8-
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
aameen ......ya rabbul aalameen
Allah-humma-aameen, Ya rabbal-a'alameen!
hasan saahib is purnoor naat per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.waisay iska ajr tau aapko allah(sbhnwt)hi dega apnay habeeb(s.a.w.a.w) kay sadqay mei.n.
Haamid saaHib, dua'a k liYe bahuut shukriyah aur jo shakhs kisii aur kii dua'a meiN Aameen kehne k liYe shirkat kartaa hai, to us baNde kii dua'a par Allah ke Firishte Aameen kehte haiN, Shubhaan-allah!!
Ghazal
1.
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
acche girah hai.
Navaazish!
2.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
waah.....
Shukriyah!
3.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne
khoob
bahuut shukriyah!
4.
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
bahut accha sher hai.......ab woh najoomi nahi.n raha.
mamnoon hooN ---- jii huzoor bajaa farmaaya.
5.
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
khoob
bahut shukriyah!
6.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
accha hai......
achchha, mehrbaani
7.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
yahaa.n sataanay kaisa rahega...?
jii baat to theek hai aur maiN ne shuruu meiN yahii suurat tayyaar kii thii aur baad meiN khayaal aayaa k laHad par kisii ko jagaane kii koshish to kii jaa sakti hai, albatta sataana ghair-munaasib mehsoos huaa aur meiN ne yuuN tabdil kar diyaa.
8.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qayaamat meiN rakhi izzat khuda ne
bahut khoob
bahuuut shukriyah, saahib!
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.
Aameen!
mukhlis
haamidbaaqri
Haamid saaHib,
aap k is mahabbat naameh k liYe behad mamnoon hoon, albattaa is ke badle meiN sirf shukriyah kehnaa na insaafi hogi. --- lekin kyaa kareN k aur koii chaara bhii nahiiN. lehaaza is kalaam par itanii tavajjo dene aur apne ta'assuraat se navaazne k liYe bahut bahut shukriyah qubool keejiYe. :rose
Hassan[/align]
Re: Bahut khoob, achcha kalaam hei maashaaAllah
Posted: Tue Dec 26, 2006 7:57 pm
by hassan_bashir
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Hassan Bashir SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 24 ke miSreA per aapki naAT sherif SAWS aur ghazal bahut pasand aayeeN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Ustaad-e-mohtaram, Assalam-o-alaikum!
aap ne khaaksaar k kalaam par itani tavajjo dii aur apnii mubaarak-baad se navaaza, bass merii mehnat bar aa'ee, aap kii aap kii daad sar-aaNkhoN par, mohtaram!
MULAAHIZAAT:
Naat
lage firqe kaee jab sar uThaane
bachaaya deen ko :Ahmed Raza: ne
diyaa paigham hai mujh ko sabaa ne
bulaaya hai madine mustafaa ne
maiN jaaooN jhoomata Roze pe un k
laguN naateN bhi paRh-paRh kar sunaane
maiN saari ne'amatoN ko haiCh samjhuN
mileN nalain gar sar-par uThaane
naheeN caani koi un ka jahaaN meiN
banaaya hai unheN aisa khudaa ne
aduu jal jaayeN kuch yuuN Ya-Nabi ka
lagaate jaayeN ge NARA divaane
nikalne ko ho miree jaan jis dam
mire aaqa hoN jalvaa-gar sirhaane
madine meiN :Hasan: aaye qaza aur
madine meiN lage miTTii Thikaane
MashaAllah bahut achchi naAt sherif SAWS
hei.
bahuut shukriyah, mohtaram!
Ghazal
agar aa jaaye tu mujh ko manaane
"to shaayad lauT aayeN din puraane"
Bahut achcha maTlaA hei khoobSoorat gireh ke saath. Waah waah.
bahuut bahut shukriyah.
nibhaane k liye shaayad naheeN the
kiye vaade jo the us be-wafaa ne
Achcha sheAr hei. Lekin aek TaraH se meHboob ko aap bewafaa kehrahe heiN aur uske waAdaoN ke baare meiN keh rahe heiN ke wo waAde jo us ne kiye thay wo shayad bhulaanhe ke liye nahiN thay. Mafhoom ke liHaaz se taZaad paidaa hourahaa hei.
jii hazrat, mera kehna ka maqsad yeh thaa jo aap ne samjhaa, ab agar us be-vafaa ne kiYe gaye vaadoN se eik bhii nahiiN nibhaaya to shaayad is meiN taZaad paida hone kii guNjaaiish reh jaatii, agar is par bhii she'r ka mafhoom adaa na ho rahaa ho to apni jaanib se koii soorat zaroor bataaiiYe ga.
masiHa keh rahe haiN log jis ko
baRhaya dard hai us ki davaa ne [/u]
Achcha sheAr hei. Waah waah.
Shukriyah!
najuumi dekh kar haathoN ko bolaa
khuda jaane likha kyaa hai khuda ne
Jee seedhaa saadah sheAr hei, waah waah.
jii, mehrbaanii!!!
palaT kar aa na jaaye saaNs, dekho?
lage to ho miree mayyat sajaane!
Achcha sheAr hei waah waah. Lafz "mayyat" nahiN balkeh "mayhyit " hei.
Navaazish, maiN ne lafz durust kar diyaa hai.
mila mauqa to qaatil bhi mere ghar
chala aaYa janaaze k bahaaaaane
achcha sheAr hei, waah.
Shukriyah.
na aaya chain baad-e-qatl un ko
laHad par bhi chale aaye jagaane
achcha sheAr hei, waah.
Shukriyah.
:Hassan: saaHib gaye jannat to bole
qayaamat meiN rakhi izzat khuda n
MaqTaA bhee aapke sheAri mizaaj ke muTaabiq hei. Waah waah.lafz "qiyaamat" hei "qayaamat" nahiN.
baRii navaazish mohtaram, maiN ne yeh lafz bhii durust farmaa diyaa hai.
mohtaram, aap ne merii donoN takhleeq pasaNd farmaaiiN aur apne ta'assuraat se bhii navaaza, jis k liYe mera shukriyah qubool keejiYe, aaiinda bhii apne kalaam par aap kii qiimatii raaye ka inteZaar rahe ga.
bahuut shukriyah!!!! :rose
Hassan