Page 1 of 1

Posted: Sun Dec 24, 2006 4:57 am
by muhammad_19k
Good one Saaraa Ji.

Posted: Tue Dec 26, 2006 9:27 am
by Star Mind
Sara behna, aadaab !

bahut Khoob ! vohi aap ka dil-kushaa andaaz ! paRh kar bahut maHzooz hovaa ! saal ka iKhtetaam bahut Khoob rahaa is Havaale se ! ab dekhnaa yeh hai k aaGhaaz kaise hotaa hai ? ;)

DheroN daad !!!!!!!!!!!!

shukriya

Zia Baloch

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Dec 26, 2006 5:48 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHbah,
- -- -

PurkhulooS asleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar beHad khushee houee. Saare ashAar bahut achche heiN, waah waah. Is kaamyaab koushish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

[align=center]Ghazal:

1. din bhi guzar gaya hei yunhi eitebaar meiN
maSroof hei zabaan magar zikr e yaar meiN

2. madham hui hai shamma sitaare bhi sou gaye
dil bujh gayya hei Tool-e-shab-e-intizaar meiN

3. shabnam ke moutee AariZ-e-gul per heiN kiyuN saje
daaman ulajh gayaa to nahiN nouk-e-khaar meiN

4. chaahat bhari thi raah magar hougaye khafaa
meri nigaah khougayi gard o ghubaar meiN

5. kyaa rah sakengi dil se judaa hoke dharkaneiN
khushbu bina bhee phool khile heiN bahaar meiN ?

6. jab jab bhi titliyon se hai poocha tira pataa
sharmaa ke chup gayieN vo haseeN laalahzaar meiN

7. Saara ne jiski yaad meiN kehdee hei yeh ghazal
oos ka hi zikr houta hai lail o nahaar meiN
[/align]


Aapka MukhliS,

Nazir.