Page 1 of 3
lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!
Posted: Mon Dec 25, 2006 6:37 am
by hassan_bashir
yaraan-e-mehfil aadaab!
aap sab kii khidmat meiN eik nayaa silsila haazir hai, ummid hai k hamesha kii tarah is martaba bhii aap sab shaana-ba-shaana ho kar is silsile ko bhi kaamyaab banaayeN ge.
lehaaza lafz haiN:
Duniyaa, Jahaan, Zamaana, Aalam
pehla she'r merii jaanib se haazir hai, k:
duniya jise kehte haiN, jaadoo ka khilauna hai,
mil jaaye to miTTii hai, kho jaaye to sona hai!!
Posted: Mon Dec 25, 2006 7:15 am
by balvinder
sab ko aataa nahee'n duniyaa ko sajaakar jeenaa
zindagee kyaa hai muhabbat ke zabaa'n se suniye
Posted: Mon Dec 25, 2006 11:53 am
by hassan_bashir
mumkin hai zameeN ho voh kisii aur jahaaN kii
tuu jis ko samjhtaa hai falak apne jahaaN kaa
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:30 pm
by balvinder
ilaahee fir mazaa kyaa hai yahaa'n duniyaa mein rahane ka
hayaat-e-jaavidaa'n apnee, na marg-e-naagahaa'n meree
zamaanah
Posted: Tue Dec 26, 2006 1:52 am
by Abdullah Nazir
bahaar-e-gulshan-e-mehr o wafaa kuch aur kehti hei
sitam parvar zamaane kee hawaa kuch aur kehti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Dec 28, 2006 10:01 am
by balvinder
ham hain beemaar-e-muhabbat ye duaa maangte hain
misl-e-akseer na duniyaa mein davaa paidaa ho
zamaanah
Posted: Sat Dec 30, 2006 6:05 pm
by Abdullah Nazir
shaam-e-viSaal hei nah hee SubH-e-jamaal hei
yuN gardish-e-zamaanah ke zer-e-qadam houe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
dunya
Posted: Wed Jan 03, 2007 4:48 am
by Abdullah Nazir
Wo bhee naaraaZ heiN dunya bhee khafaa hei mujh se
hougayie koii tou batlaaye khaTaa kyaa mujh se. .
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
duniya
Posted: Mon Jan 15, 2007 5:15 pm
by Abdullah Nazir
kiyuN nah aapus meiN raheN pyaar se is dunyaa meiN
aakhirat ke liye eHsaas-e-nadaamat hei bahut.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jan 15, 2007 6:55 pm
by MAHROO
ghalat shair
YahaaN sheAr dunyaa, zamaanah waghairah per darkaar hei jis se aap ne inHiraaf kiyaa hei
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:20 am
by hassan_bashir
is bhari duniya meiN koii bhii hamaara na huaa
Ghair to Ghair the apnoN ka sahaara na huaaaa!
duniyaa
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:32 am
by Abdullah Nazir
ik doosre se shikwah kareN yaa ke chup raheN
dunyaa ko dakhl kyaa hei yeh aapus kee baat hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jan 17, 2007 2:37 pm
by hassan_bashir
phir kHo na jaayeN ham kaheeN, duniyaa kii bhiiR meiN
milatii hai paaaaaas aaaaaane kii, mohlat kabhii kabhii
"dunyaa"
Posted: Wed Jan 17, 2007 4:00 pm
by Abdullah Nazir
apne haathoN jo kiyaa houtaa nah sar kham apnaa
kaun kehtaa hameN dunyaa meiN ke majboor heiN ham.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Jan 18, 2007 12:53 pm
by balvinder
abhee khareed lein duniya kahaa'n kee mehngee hai
magar zameer ka saudaa buraa saa lagtaa hai