Page 1 of 1

ai dil.e beqaraar Hud kar dee ..............................

Posted: Mon Dec 25, 2006 6:20 pm
by jawaid badauni
Yaraan.e MaHfil
Aadaab

MaiN ne Haal hi meN ek behud puraani Gazal aap logoN ki nazr ki thee. MoHtarmah Sara Jibeen SaHibah ne jo moHtaaje taArruf nahiN haiN, yeh farmaaish ki hai keh maiN kuch aur GazaleN apne ibtedaaii daur ki irsal karooN. Lijiye aaj ek behud puraanee Gazal Haazir.e Khidmat hai. Yeh bhi ibtedaai daur ki Gazal hai jab mujhe choTee zameen meN kahne ka shauq tha aur oos zamaney meN hamare shahr Badaun meN siyaasee rung ki shairee ka riwaaj kuch ziyadah tha. Sada zuban ki Gazal hai. Ummid hai apni garNqadr aara se nawaazeNge.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
------------------------------------------------------------------------------



har nafas intezaar Hud kar dee
ai dil.e beqaraar Hud kar dee


ek Gunchaa bhee muskuraa nah sakaa
ai naseem.e bahaar Hud kar dee


ab tou apna bhee hum ko hosh nahiN
ai tamanna.e yaar Hud kar dee


"baaGbaan"! gul haiN sub ke daaman meN
ek daaman meN Khaar Hud kar dee


aT gayee haiN wafaa ke aaeeney
nafratoN ke Gubaar Hud kar dee


Khoon.e Huq iqtedaar ki Khaatir ?
Saahib.e iqtedaar Hud kar dee


kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.

----------------------------------------------------

Posted: Tue Dec 26, 2006 5:16 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Sahib
:salaam:
Kis sheir par khaas daad dein moshkil hogaya hai. Aapki ghazal har sheir bohat umda hai.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar

Posted: Tue Dec 26, 2006 6:10 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Sahib
:salaam:
Kis sheir par khaas daad dein moshkil hogaya hai. Aapki ghazal har sheir bohat umda hai.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
Azeezi Salem Bashwar SaaHab
W A A S

Aisee purKhuloos daad tou kisee ne nahiN dee hogee. Bohat bohat shukirya. Aapke kalmaat mere liye himmat afzaayee ka baaiiS baney haiN.

Khoosh raheN!

MuKhliS
jawaid

Bahujt khoob, waah waah

Posted: Wed Dec 27, 2006 4:56 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramee o Azeezee
Jawaid Badauni SaaHib

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil puraani ghazal paRhkar bahut luTf aayaa. Yehi tou shaayer kee khoobi houti hei ke jab intidaayi maraaHil meiN kaamyaabi se mashq-e-sukhan kartaa hei tou mustaqbil meiN bhee usko sheAr kehN meiN madad milti hei. Is khoobSoorat ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

har nafas intezaar Hud kar dee
ai dil.e beqaraar Hud kar dee


ek Gunchaa bhee muskuraa nah sakaa
ai naseem.e bahaar Hud kar dee


ab tou apna bhee hum ko hosh nahiN
ai tamanna.e yaar Hud kar dee


"baaGbaan"! gul haiN sub ke daaman meN
ek daaman meN Khaar Hud kar dee


aT gayee haiN wafaa ke aaeeney
nafratoN ke Gubaar Hud kar dee


Khoon.e Huq iqtedaar ki Khaatir ?
Saahib.e iqtedaar Hud kar dee


kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Dec 27, 2006 5:22 pm
by jawaid badauni
MoHtarmee wa maKhdoomi Abdullah
Nazir SaaHab, aadaab

Bohat arsey bAAd aap ka tabasarah mere liye baaiise masarrat hai. Bohat himmat afzaaii hoti hai aap ke kalmaat se. Gazal waqaaii bohat puraanee hai aur is se bohat see yadeN bhi wabastah haiN.

Ummid hai aap ke mizaj baKhair hoNge.

Khair andesh,
Jawaid

Posted: Wed Dec 27, 2006 7:26 pm
by muhammad_19k
Salam Jawaid Sb,

Ghazal bohat achchi hai oar maqtaa bohat khobo ;-).

kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.


wah janab kia be sakhtigi hay iss bayan meiN. "had kar dee" :-)

Allah taalaa aap ko khusho khurram rakhay.

Duago,
Muhammad Khawar.

Posted: Thu Dec 28, 2006 11:38 am
by balvinder
mohatram jawaid sahab
adaab

ummeed hai ba-khairiyat honge..

puraane khazaane se kyaa gauhar dhoondh ke nikaalaa hai aapne..ghazal ka ek-ek-she'r qaabil-e-daad hai aour maqta to kyaa khoob ban parhaa hai.....

iss mukammal ghazal par shukriya-o-daad-o-mubaarak-baad qubool farmaayein...

dua-go
balvinder

Posted: Thu Dec 28, 2006 12:40 pm
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Salam Jawaid Sb,

Ghazal bohat achchi hai oar maqtaa bohat khobo ;-).

kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.


wah janab kia be sakhtigi hay iss bayan meiN. "had kar dee" :-)

Allah taalaa aap ko khusho khurram rakhay.

Duago,
Muhammad Khawar.
Azeezi Muhammad Khawar SaaHab

Gazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Masha Allah, ab aap in maHafil meN Khoob dilchaspee le rahe haiN. Achcha hai is se kuch seekhne ka muaqa hi milta hai. MaiN ne bhee in chaupaloN se bohat kuch seekha hai.

Khoosh raheN!

Jawaid

Posted: Thu Dec 28, 2006 12:42 pm
by jawaid badauni
balvinder wrote:mohatram jawaid sahab
adaab

ummeed hai ba-khairiyat honge..

puraane khazaane se kyaa gauhar dhoondh ke nikaalaa hai aapne..ghazal ka ek-ek-she'r qaabil-e-daad hai aour maqta to kyaa khoob ban parhaa hai.....

iss mukammal ghazal par shukriya-o-daad-o-mubaarak-baad qubool farmaayein...

dua-go
balvinder

Azeezi Balvinder Ji, aadaab

"Muddat ke bAAd aapko dekha Khooshee huuwee."

Pahle to itney Taweel arSey ke Baad aap ka Khat baaiise masarrat huuwa aur phir aap ki puKhuloos daad ne mazeed Khooshee meN izaafah kar diya. Bohat bohat shukriya. Ummid hai aaindah bhi aap se rubt qaaiim rahega.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Posted: Thu Dec 28, 2006 2:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Jawaid Badauni SaHib aadaab! :-)

aap ne jo apnee puranee GhazliYaat ko pesh karne ka ehtamaam kiYa hai.yeh purlut^f hone ke sath~ sath~ dil kash bh~ee hai.

qaree ko shae,'ir ke maZ^ee se wabastah takhleeqat se fit^ree lagao hota hai. wajah Saaf z^ahir hai keh qadeem aor zamanah-e-t^iflee ke kalam meN shae'ir ka aaGhaz-e-shabaab, zamanah-e-t^alib-e-e'lmee, aor naojawanee kee tamaam halchal aor baaNkpan ka samundar Th~aTh~eeN marta huwa meHsoos hota hao.

tareekh shahid hai. keh asatezah ne bh~ee jo kamaal ka kalam pesh kiYa hai woh zamanah-e-naojawanee ka hee hai. kiYooNkeh isee daor meN qalb-o-jigar kharjee muHrrakaat se zeyadah mutacir ho kar she'er kehta hai. aor t^abiYat kee rawanee aor jigar kee jaolanee GharZ^ seenah-o-dil kee Hararat isee daor kee marhoon-e-minnat hone ke bae,c pur acar takhleeqat ke ikhtera' ka maojab bantee hai.



har nafas intezaar Hud kar dee
ai dil.e beqaraar Hud kar dee


ek Gunchaa bhee muskuraa nah sakaa
ai naseem.e bahaar Hud kar dee


ab tou apna bhee hum ko hosh nahiN
ai tamanna.e yaar Hud kar dee


"baaGbaan"! gul haiN sub ke daaman meN
ek daaman meN Khaar Hud kar dee


aT gayee haiN wafaa ke aaeeney
nafratoN ke Gubaar Hud kar dee


Khoon.e Huq iqtedaar ki Khaatir ?
Saahib.e iqtedaar Hud kar dee


kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.



meree dilee dad aor mubarak baad qubool farma kar shukriYah ada karne ka maoqa' faraham kijiYa!!

Wassalam
Muz^affar
[/align]

Posted: Thu Dec 28, 2006 7:37 pm
by jawaid badauni
Azeezi Muzaffar Saahab,
Aadaab.o.tasleemaat

Aisee sada.o.nacheez gazal, aisa murassa.o.mukammal tabsarah? Y'aani kya Arz karoN tabsara kalam per bhaari hai. Y'aani keh Hud main ne nahiN aap ne kar dee.

Bhaaii bohat achcha likhte hain aap. Bohat dil se likhte haiN. Aap ke alfaz aap ke khulooS ke tarjumaan hotey haiN. Aapke kalmaat se yaqeenan kisee ki bhi himmat afzaai hoge. Bohat bohat shukriya. Yaqeenan ab mera dil chaahta hai aur aap ke alfaz ne mujhe is taraf maaiil kiya hai keh shayad main jald hi kuch aur ibtedaaii duar ka kalam pesh karooN.

Ummid hai aap se mulaqaat hoti rahegee. Ek baar phir bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid