Page 1 of 1

Aakhir e Saal.

Posted: Tue Dec 26, 2006 9:40 am
by muhammad_19k
Salam Muazazeen e Bazm

aik adna koshishish, aik khayal ke saath haazir hooN.

har saal ke aakhir meiN
ik saal ke aane ki
khushkhabri sunate ho
yooN payar jataate ho

woah saal kab aa-aye ga
jub apni bhi aamdad ki
khushkhabri sunao ge

yooN payar jatao ge.


Aap ki aaraa ka shukriya,
Muhammad Khawar.


Posted: Wed Dec 27, 2006 9:43 am
by ahm4me
Khawar Bhai

Adaab

Aap ki nazm achhi lagi, is ki khas baat is ki be sakhtagi hay,

Khush rahiay,

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.

Posted: Wed Dec 27, 2006 11:45 am
by sbashwar
Mohtaram Khawar Sahib
:salaam:
Woh saal kab ayega? Yeh har aik ke ihsasat ki tarjumani hai. Insha-Allah, Allah se ummid rakhenge ke woh saal aye. :ameen:

Posted: Wed Dec 27, 2006 1:34 pm
by muhammad_19k
Ahmed bhai,

aap ka shukriya.

Posted: Wed Dec 27, 2006 1:37 pm
by muhammad_19k
sbashwar sb,

Ji inshaallah woa saal, woah, woh din, woh lamhaa zaroor aa-aye ga.

ameen.

Posted: Thu Jan 04, 2007 6:15 am
by muhammad_19k
Salam Saraa Ji,

ye yeqeenun aap ka husn e nazar hai jo aam se alfaazh meiN kuch aisi khoobsoorati daikh raheeN haiN. Allah taala se dua go hooN ke aap ki salaheetoaN ko aor ujaagar kare,

shukarguzar,
Muhammad Khawar.