Page 1 of 1
aek saadah see taazah ghazal- -- - Abdullah Nazir.
Posted: Wed Dec 27, 2006 1:37 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek saadah see ghazal pesh-e-khidmat hei. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahe gaa.
GHAZAL roman meiN:
ghaflat-e-chashm-e-yaar yaad naheeN
ai mire qalb-e-zaar yaad naheeN
veHshat-e-regzaar yaad naheeN
daaman-e-taar taar yaad naheeN
gul khile, phir ujaRgayaa gulshan
kaise guzri bahaar yaad naheeN
yaad itnaa hei raat kaT nah sakee
talkhiy-e-intizaar yaad naheeN
ham ne chouRaa nah daaman-e-ulfat
aatish-e-geer o daar yaad naheeN
raahrau aagayaa hei manzil tak
qehr-e-gard o ghubaar yaad naheeN
raushni din kee hei nigaahaoN meiN
raat bhar kaa khumaar yaad naheeN
khul gaye rehmataoN ke darwaaze
zehn kaa inhtishaar yaad naheeN
shukr-e-parvardigaar hei :Nazir:
Marg-e-lail o nahaar yaad naheeN.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir
[align=center]
[/align]
Re: aek saadah see taazah ghazal- -- - Abdullah Nazir.
Posted: Wed Dec 27, 2006 10:09 am
by ahm4me
Mohtaram Abdullah Nazir Sahib
Adaab
Aap ki ghazal paRhnay ka itifaaq hua aur Janab aap ki ghazal bohat pasand aai. Aap ki ghazal saadgi maiN purkari ki behtrareen micaal hay, Bohat see daad qabool kijay. Darj zel ash'aar ziada pasand aaye.
yaad itnaa hei raat kaT nah sakee
talkhiy-e-intizaar yaad naheeN
raahrau aagayaa hei manzil tak
qehr-e-gard o ghubaar yaad naheeN
raushni din kee hei nigaahaoN meiN
raat bhar kaa khumaar yaad naheeN
Mukhlis,
Muhammad Ahmed.
Posted: Wed Dec 27, 2006 11:50 am
by sbashwar
Mohtaram Nazir sahib
mashallah bohat umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Posted: Thu Dec 28, 2006 4:26 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Bahut bahut shukriyah
Posted: Thu Jan 04, 2007 10:44 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Apni ghazal per aapkaa tafSeeli tabSirah paRhkar khaaksaar ko aayeenah-e-ilm o adab dekhne kee Zaroorat pesh aayi aur andaazah houaa ke aap ne jo kuch likhkhaa hei wo HauSalah-afzaayi se bhee ziyaadah hei. Is bandah-navaazi ke liye maiN aapka beHad shukrguzaar hooN. Allah kare ke maiN us maqaam per pahunch sakooN jisake qaabil aap ne mujhe samjhaa hei. Is faqeer ke liye aap ne jo ganj-e-giraaN-maayah ATaa farmaayaa hei uske liye iHsan-mand hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.