Page 1 of 1
naye saal ka tohfah guzaarish #24 by haamidbaaqri
Posted: Fri Dec 29, 2006 9:11 am
by haamidbaaqri
dosto
aap sabko eid al azha aur naye saal kee hum dilee mubaarakbaad pesh kartay hai.n. :rose :rose :rose
is khushee kay mouqay per aapkay liye apna aik naacheez tohfah lekar aaye hai.n
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai.........
kaha qur'aan mei.n hum say khuda nay
tujhay paidaa kiya hai aazmaanay
nahi.n hai dahr mei.n mujh jaisa koyee
miree wahdaaniyat kay gaa taraanay
nawaazaa 'aql say humnay hai tujhko
lagaa hai kyu.n bataa khud ko mitaanay
tiree hastee say too waaqif nahi.n hai
chupay anmol hai.n tujh mei.n khazaanay
agar pehchaan laygaa too khudee ko
tiray qadmo.n mei.n hongay yeh zamaanay
baraaye muttaqi jannat banee hai
tujhay bas nekiyaa.n ab hai.n kamaanay
musalmaa.n hai tau phir islaam per chal
salaamee dayngay tujhko yeh zamaanay
zameer apna tataulay gar yeh insaa.n
"tau shaayed laut aaye.n din puraanay"
qalam say inquilab aatay hai.n haamid
kaha humsay hamaaray mustafaa( )nay
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Sat Dec 30, 2006 6:38 am
by haamidbaaqri
wa alaikumussalaam
azeezah sara saahebah
jau hukm aapka
khush rahe.n
aapka bhai
haamid
Posted: Sat Dec 30, 2006 1:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
--------------------------------------------------------------------------------
moHtaram Hamid bh~aee aadaab!
aap ke kalam se mustafeed hone ka maoqa' mila. baRee khubSurat koshish hai. is baar to aap ne khaaSah intez^aar karwaYa.
aap kee a'dam maojudagee meHfil ko kuch~ udaas sa kar rahee th~ee lekin shukr keh aap tashreef le aae!
kaha qur'aan mei.n hum say khuda nay
tujhay paidaa kiya hai aazmaanay
mashAllah!
nahi.n hai dahr mei.n mujh jaisa koyee
miree wahdaaniyat kay gaa taraanay
mashAllah!
nawaazaa 'aql say humnay hai tujhko
lagaa hai kyu.n bataa khud ko mitaanay
mashAllah!
tiree hastee say too waaqif nahi.n hai
chupay anmol hai.n tujh mei.n khazaanay
mashAllah!
agar pehchaan laygaa too khudee ko
tiray qadmo.n mei.n hongay yeh zamaanay
mashAllah!
baraaye muttaqi jannat banee hai
tujhay bas nekiyaa.n ab hai.n kamaanay
mashAllah!
musalmaa.n hai tau phir islaam per chal
salaamee dayngay tujhko yeh zamaanay
mashAllah!
zameer apna tataulay gar yeh insaa.n
"tau shaayed laut aaye.n din puraanay"
mashAllah!
qalam say inquilab aatay hai.n haamid
kaha humsay hamaaray mustafaa(sawaw)nay
mashAllah!
meree janib se dilkash kalam par dad aor mubarak baad qubool kijiYe!aor e'eed kee mubarak baad bh~ee qabl az e'eed qubool kijiYe!
dua'a gao
Muz^affar[/align]
shukriya
Posted: Sun Dec 31, 2006 8:18 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]
--------------------------------------------------------------------------------
moHtaram Hamid bh~aee aadaab!
aap ke kalam se mustafeed hone ka maoqa' mila. baRee khubSurat koshish hai. is baar to aap ne khaaSah intez^aar karwaYa.
aap kee a'dam maojudagee meHfil ko kuch~ udaas sa kar rahee th~ee lekin shukr keh aap tashreef le aae!
kaha qur'aan mei.n hum say khuda nay
tujhay paidaa kiya hai aazmaanay
mashAllah!
nahi.n hai dahr mei.n mujh jaisa koyee
miree wahdaaniyat kay gaa taraanay
mashAllah!
nawaazaa 'aql say humnay hai tujhko
lagaa hai kyu.n bataa khud ko mitaanay
mashAllah!
tiree hastee say too waaqif nahi.n hai
chupay anmol hai.n tujh mei.n khazaanay
mashAllah!
agar pehchaan laygaa too khudee ko
tiray qadmo.n mei.n hongay yeh zamaanay
mashAllah!
baraaye muttaqi jannat banee hai
tujhay bas nekiyaa.n ab hai.n kamaanay
mashAllah!
musalmaa.n hai tau phir islaam per chal
salaamee dayngay tujhko yeh zamaanay
mashAllah!
zameer apna tataulay gar yeh insaa.n
"tau shaayed laut aaye.n din puraanay"
mashAllah!
qalam say inquilab aatay hai.n haamid
kaha humsay hamaaray mustafaa(sawaw)nay
mashAllah!
meree janib se dilkash kalam par dad aor mubarak baad qubool kijiYe!aor e'eed kee mubarak baad bh~ee qabl az e'eed qubool kijiYe!
dua'a gao
Muz^affar[/align]
muzaffar bhai
kaisay hai.n aap?
bahut kam waqt nikaal paatay hai.n hum net kayliye.
bazm mei.n post kee huee har tahreer hum padhna chaahtay hai.n..lekin kya kare.n bahut masroof hai.n hum.
jitna hausakta hai utna waqt hum zaroor daytay hai.n.
insha allah aaindah kaushish kare.nge ziyaadah say ziyaadah waqt denay kee.
kalaam ko pasand farmaanay aur aur apni purkhuloos daad say nawaaznay keloiye hum aapkay mamnoon hi.n.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri