Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa
Posted: Fri Dec 29, 2006 9:59 am
Dosto
Is koshish meN lagaataar rahtaa huN ke mauqa' milte hi kuchh fikr-o-mashq karooN, aur kuchh TooTee phooTee see ban jaaye to bazm meN pesh kar dooN. Isee koshish kaa nateejah hai ke ek ghazal banee hai jo shaayad yahaaN pesh karne ke laayaq hai. Aap hameshah kee taraH meree is ma'moolee see koshish par apne khayaalaat bayaan kareNge to baRee mehrbaanee hogee.
Ghazal pesh hai:
maahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

ham-chashm hai wo maah-jabeeN maah-e-'eed kaa!
shikwah na samjho aah ko jaur-e-shadeed kaa
aahoN meN iltimaas hai lutf-e-mazeed kaa
ham yooN bhi dil meN rakhte haiN shauq-e-sukhanwaree
samjho na keh bahaanah hai guft-o-shaneed kaa.
jaataa kahaaN hai yaar, tu pursaaN kiye baghair?
kaafee naheeN 'ilaaj ko ahsaan deed kaa
badle meN ik nigaah ke eemaan-o-jaan-o-dil!
saudaa hai khoob, 'azm karo gar khareed kaa
saude meN dil ke, dost mire, faaidah na dekh,
'aashiq naheeN hai naam kisee mustafeed kaa
karne lagaa huN qatl gah-e-yaar meN gilaa:
bismil ko kyuN nah deejiye rutbah shaheed kaa!
tadbeer kyaa karega "Munawwar" tu, ba'd-e-marg
saayah na jaaye gar gham-e-'umr-e-madeed kaa?
-----------------------------------------------------------------------------------------
Izhaar-e-khayaalaat farmaakar is adnaa see ghazal kee raunaq baRhaayeN. MaiN aap sabkee raaye kaa muntazir rahuNgaa.
Aapkaa dost
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"